《MaAn : The fairytale》21-: Tumhi Hamari Ho Manjil My Love♥️

Advertisement

On the occasion of our beloved handsome, most talented, dashing, cute, full of sence of humor, hard working (ufff shabd khtam hi nhi hote inke liye toh)... Etc.. Etcs....

Gaurav Khanna's birthday.. 🎂🎉🎊

Here is the next part.....

Anu ko call karta hu.... Vaise bhi abhi mummy mere room me nhi aayengi.....

Ye Devika itni raat ko kyu call kar rahi hai...

He picked the call....

Hello devu.... Kya huwa...?

Wah wah wah... Tu mujhse pooch raha hai... Kya huwa ... Tu bata.... Anu se baat huwi... Teri?

Haan... Aur aur... Aunty... Unhe toh nhi pata chala na kuch.... Dekh agar aunty aur mukku ko pata chal gaya na... To tu toh gaya....

Ha.. Yaar... Sab jaanta hu.... Nhi pata lagne diya hai maine... Mukku pooch rahi thi... But maine usse kuch pata nhi lagne diya.... Ab teri interrogation khatam ho gayi ho toh... Main anu ko call kar lun..?

Ha han... Kar Le... Raat teri hi hai...

Aye... Chup kar...

Ha.. Haan... Ab toh tu yahi kahega... Ja Ja... Teri raat nikal rahi hai... Jaldi karle call... Agar aaj raat nhi mana paya na... Toh pata hai na.. Kal konsa din hai....

Ha.. Pata hai... Main.. Main.. Mana Lunga..

Ha... Manana hi padega.... Varna kalka din tera happy se sad day ho jayega.... Chal bye... All the best...

Bye...and Thanks

Call cuts

Bell..

K - anu ja kar dekh... Ye 8 baje kon aaya hai...

Ha Maa... Dekhti hu..

She opened the door...

A delivery boy is standing with a bouquet in his hand.......

D.Boy - Ms. Anupama joshi aap hi hai...?

Yes... Main hi hu...

Ma'am ye bouquet aapke liye...

Mere liye?

She takes it... And closed the door...

K - kya hai anu...

Maa... Kuch nhi... Koi address poochne aaya tha...

K - Achcha... Theek hai...

Yeh... Bouquet..

She goes to her room... And locked the door...

There is letter in the bouquet...

Hlw anu..... Sorry for that rude behavior.... Yaar main sach me vaisa nhi karna chahta tha... Bas uss Waqt work load Itna ho gaya tha ki... Mujhe samjh hi nhi aaya ki maine kab... Kab tumse aise baat ki... I'm really really sorry for that...... And I promise.... Main yeah galti... Dubaara kabhi bhi... Kabhi bhi nhi repeat karunga...... Please maaf kardo.... Pls....

Agar maaf kar do... Toh pls mera call answer kar dena....

I love you.... And I love you so much....

Your anuj...

Ye anuj bhi na....

Main nhi maanane wali.... Karte raho....

After sometime Anuj calls her...

Tring Tring... Tring Tring... Tring Tring...

Call disconnected....

Anuj - anu ne call nhi pick kiya Matlab abhi bhi gussa hai... Hey bhagwan ab kya karu main....

Bell...

K - ab Kon hai...

Anu comes running...

Ruk Maa... Main dekhti hu...

Haan. Ja..

Anu takes them and locks the door..

K - ab Kon hai anu...

Koi nhi Maa.. Vo Devika ka kuch samaan tha... Bas vahi aaya hai...

Devika ka?

Haan... Vo uske ghar par nhi ho raha tha na... Deliver... Isliye maine apne ghar ka address de diya...

Achcha... Theek hai...

She goes to her room...

Ab ye kya bhej diya anuj ne....

She opens first bag.... Which contains.... Two boxes...

In one there is a pair of diamond earrings....

Then she opened the second one.... It contains a A❤️A pendant...

A letter...

I'm so sorry Anu....

Then she opened the second bag.... It contains a beautiful dress....

Anu - wowww.... (She jumped)

Nhi anu tu usse gussa hai.... Jyada uchal mat...

Again there is a note...

I love you darling... ❤️

Aaj ke baad jo bhi sabse khaas din hoga... Tum yahi dress pehenna....

Advertisement

And I am sure.... Tum iss dress ki khoobsurati aur bada dogi....

Huhhhh!! Aaye bade..... Main itni asaani se nhi maane wali..... Karte rahiye jo karna hai....

She opens the last bag.....

Which contains three cute teddy bears.....

Anu - teady bear.....

Letter...

Hi anu.... Ye teddy bears hume resemble karta hai....

Dekho Dekho.... Humare naam bhi hai....

She looks at them...

The two big ones have name written on them

Anu and Anuj

And the little one have a heart in its hand....

Anu - isme toh kuch bhi nhi likha...

She again opens the letter

..

Kya huwa... Third wale me kuch nhi likha....

Hmmm.... Ab uss naam ke liye thoda time lagega.... Aur mehnat bhi...😉

Anu blushed hard....

Anu - nhi anupama... Tujhe iski baaton me nhi aana.... Tu gussa thi... Aur gussa hi rahegi....

Again anu's phone rings...

Tring Tring... Tring Tring....

Anu - nhi... Uthaungi.... Karte raho....

After some time.....

K - anu... Kisi ka phone aa raha hai... Utha le...

Anu - nhi Maa... Unknown number hoga....

But bhavesh sees the caller id...

Bhavesh - aree nhi Maa.... Anuj Jiju ka call hai...

K - anuj ka.... Chal anu utha.... Kitni derr se phone kar raha hai.. Bechara...

Anu - Maa... (she tried to protest)

K - utha... Varna main utha dungi...

Anu - nhi... Utha rahi hu...

She picked the call... And goes to her room...

Anu - hello...

Hi anu.... Umm... Vo.. Vo I'm so sorry...

Kya kaam hai...

Anu kya yaar.... Pls Maan jao na... Dekho main promise karta hu... Aage se kabhi bhi aise baat nhi karunga.... Kabhi bhi tumhari baat nhi katunga..... Aur tumhari Saari baatein sununga..... Pls pls Maan jao.... Pls darling... Pls sweetheart.... Pls baby... Pls jaan... Pls...

Anu - bas.... Bas.. Bahut ho gaya.... Aur kitna pls kahoge....

Toh tum Maan gayi....

Maine aisa kab kaha....

Huhhh.... Anooooo

Parso college me milte hai...

H... A.. Anu... Par abhi toh batao na... Maani ki nhi

Parso jab college me milenge... Tab Maan jaungi.... Par abhi nhi... Mujhe tumse poore ek din gussa rehna hai...

Aree ye kya baat huyi..... Ek din gussa rehna hai... Tum reh toh gayi na ek din poora gussa..... Ab bas na anu......

Nhi kaha na.... Nahi maanana mujhe.... Main aaj gussa hu.... Aur agr jyada bole na toh kal bhi baat nhi karungi...

Aree nhi nhi.... Aisa mat karna.... Koi baat nhi.... Aaj ka din toh bas khatam ho hi gaya hai....

TUM kal baat kar lena....

Theek hai... Bye... Main sone ja rahi hu...

Achcha.... Vaise ek baat poochun...

Ha... Kaho..

Kal.. Kal kya kar rahi ho.... Matalab koi plan hai kya tumhara?

Ha... Hai...

Kya?

Vo mujhe college ka kuch kaam karna hai...

Achcha.... Bas college ka hi...

Ha...

Aur kuch nhi hai?

Nahin.. Kyu...

Nhi... Mtlb... Kal kuch hai toh..

Kal kya hai....

Aree tum bhool gayi...

Aree Haan...

Yaad aaya...

Haan... Haan.... Sunday... Sunday hai...

Hey bhagwan.... Kya ladki di hai (he murmured)

Kya kaha...?

Kuch Kuch... Nhi... Vo... Good night..

Hmmm... Good night...

Call cuts

Next morning

Ayee... Mukku ki bachchi.... Ye le phool aur vaha rakh.... Anuj... Vo.. Vo Mala vaha nhi lagegi... Yaha la..... Kya kar raha hai.... Aur aap.... Aap kya kar rahe hai yaha baith kar.... Chaliye... Jaldi.. Anuj ki help kijiye........

Anuj - Maa.... Ye kya hai... Aap mere birthday ki tayiyari mere se hi karwa rahi hain...... Aree mujhe surprise dena chahiye tha na...

Tu Meri help kar raha hai ki nhi.... 😕....

Kar raha hu... Aise toh mat dekho... Aapka raja beta darr jayega...

Anuj's dad laugh...😂...

Aap chup rahiye.... Aur tu... Tujhe agar surprise chahiye toh anu se umeed rakh... Mujhse nhi... Maine bahut surprise de diye, ab meri duty khatam... 😁

Advertisement

Kya mom... Ab aap fir shuru mat hoyiye... (he said shyly)

Kyu na... Hun.... Vaise anu ka call aaya tujhe?

Nhi... Use toh yaad hi nhi hai... (he said sadly)

Yaad nhi hai....? Arre tu aisa kyu bol raha hai.... Anu ko yaad hoga...

Nahi Maa.... Maine usse poocha tha... Par usne kaha... Sunday hai..

Mukku - aree mere bhole bhalu.... Bhabhi mazak kar rahi hogi...

Sach... Fir toh sahi hai....

Vaise ye bhola bhalu kya hai...

Mukku - aree jab itni si baat aapko samjh hi nhi aayi... Toh huye na aap bhole bhalu...

S - chal ab.... Meri help kar....

Anuj thinks

Par agar Sach me Anu ko yaad nhi huwa toh..... Vo mujhse naraaj bhi hai.... Kya jaroorat thi tujhe use naraj Karne ki.... Dekh liya na... Ab uska Anjaam.... Aaya bada... Cultural committee ka head..... Ab bhugat tu.....

S - anuj.... Vaise ek baat poochun?

Haa Maa... Kahiye na...

Tere aur anu ke beech kuch hua hai kya?

Vo... M.. Maa.. Maa... Vo..

Dekh agar tu kuch chhipa raha hai toh... Jaldi bata de..... Kya huwa tum dono ke beech..?

Vo Maa... Maine use... Maine use... Maine

Kya maine use maine use kar raha hai.... Jaldi bol...

Vo maine use daant diya....

Kya... Kya kaha tune.... Tune use daant diya.... Aur... Aur kya kaha

Vo... Thoda sa ignore kar diya...

Thoda sa.... Pakka?

Nhi mtalb... Thoda aur...

Dekh anuj.... Tune agar meri beti ko fir pareshan kiya na.... Toh dekh liyo..

Kya Maa.... Abhi toh aap mujhe beta beta keh rahi thi... Aur ab seedha anuj....

Ha... Fir tune meri beti ko ignore kiya hai....

Mommm.... Mera birthday hai.... Aaj toh mat daanton yaar...

Achcha ji.. ( she holds his ear)

Aah... Aah Maa... Dard ho rah hai...

Ab samjh aaya Anu ko kitna bura laga hoga...

Haan... Maa.... Par maine bahut koshish kari.. Use manane ke liye.... Uske liye saare friends ke sath milkar hero ki tarah gaana gaaya... Dance kiya... Aur Kal raat ko uske ghar pehle bouquet bheja... Fir dher saare gifts bhijwaye..

Achcha.... Aur vo fir bhi nhi maani...

Naahi.... Bilkul bhi nhi.... Keh rahi thi ki use poora din gussa rehna hai....ab Kal hi mujhse baat karegi...

Achcha....

Haa... Maa.... Ab aap hi batao... Main kaise usse baat karun.... Subha maine call bhi kiya tha... Par uska phone not reachable aa raha tha.....

Kanta ji ko call kiya?

Haan... Kiya tha.... Par Maa ne kaha ki vo library gayi hai.....

Ohhh.....

Ab aap hi batao Maa... Mera birthday bhi use yaad nhi raha... Huhhhh..... Itna bhi kya gussa hona....

Aree meri beti ka bhola bhalu...

Kya Maa.... Ab aap bhi... Aab kya nhi samjh aaya mujhe...?

Ohhooo.... Thoda sabr rakh.... Sabr ka fal meetha hota hai......Aur anu par bharosa rakh....

(saying she left)

Huhh? sabr rakhun.... Ab aur kitna rakhu..... Anu... Jaldi karo na... Ab aur sabr nhi hota.....

Sunaina calls him...from the kitchen

Chal ab... Anu ke khayal se bahar aa... Aur meri help kar.... 😁

He goes to the kitchen... And started helping his mother.......

......................................................................

Anuj's phone rings...

Hlw.... Anu...

Ha... Anuj... Vo... Vo...

Kya huwa madam.... Aa gayi meri yaad....

Ha... Bahut bahut bahut jyada....

Toh ab kuch yaad aaya?

Ha... Aaya... Na...

Kya...?

Yahi ki mujhe ghar jaldi aa jana chahiye tha...

Huhhh?? Aur kuch nhi aaya yaad....

Nhi anuj..... Aur kuch nhi aaya.... Ab tum jaldi aao...

Aao....?

Matlab...

Vo anuj.... Main library gayi thi...

Aur mujhe vaha bahut late ho gaya....

Toh matlab.. Tum abhi tak library thi....

Haan.... Main college ki file complete Kar rahi thi.... Pata hi nhi chala kab itni derr ho gayi...

Toh tum ab kaha... Ho?

Anuj.... Main ghar aa rhi thi.... Socha kisi ko pareshan kya karu... Toh akele hi aa gayi.....

Lekin ab darr lag raha hai..... Pls tum aa jao..... Plsss.......

(she started crying)

Achcha... Achcha... Anu... Main aa raha hu.... Tum... Tum pls ro mat.... Pls... Sweetheart don't cry.....

Anu - (sobbing) theek hai... N... Nh.. Nahin. Roungi.... Par tum pls jaldi aao....

Achcha.... Theek hai main... Jaldi aata hun..... Tum batao... Kaha ho... Kaha ho tum?

Vo... Vo.... C... Ch.. Church ke Paas Wale... Pass wale garden me....

Church...?... Achcha... Theek hai main aata hu.... Tum vahi rehna.... Ok...

Hmmm.... Pls jaldi aao.....

Ha.. Han... Aa raha hu.... Jaldi aa raha hu.....

He cuts the call..... And run towards the door...

S - anuj... Anuj beta kaha ja raha hai....

Maa... Vo anu... Anu ko meri jaroorat hai... Main use hi lene ja raha hu....

Par kaha.....

Vo church garden me phas gayi hai vahi ja raha hu.... (he said along with running)

Sunaina smiles....

Pagal chokaro....

Mukku bilkul sahi kehti hai.... Ye bhola bhalu hi hai..... Anu ki itni fikr karta hai.... Aur usse hi ladta hai...

Abhimanyu comes and put his hand on her shoulder

A.K - Vo kehte hain na..... Hum jisse sabse jyada pyaar karte hain.... Usse hi sabse jyada ladte hain....

S - Haan.... Bas Inn dono ka Pyaar humesha hi aisa rahe....

A.K - ladte - jhagdte.... Dono ki dosti kab pyaar me badal gayi... Ye toh na hi hume pata chala...aur na hi inn dono ko.... ( his eyes gets teary)

S - ab bas Haan.... Ab aap mat shuru ho jana..... Abhi tak anuj ro raha tha... Aur ab aap...

Aree.... Main ro thodi na rah hu.... Ye toh bas khushi ke aanshun hain....

And they both started laughing....

Here anuj is driving his car so fast...

( bhai.... Thoda dheere chala lo.... Aapka track record bahut khrab hai.... Hum sab darr jate hain....)

Anu... Main aa raha hu.... Jaldi aa raha hu.... Tum ghabrana mat....

Ohho.... Ye church aaj itna door kyu lag raha hai.... Aur din toh bahut jaldi aa jata hai...

( besabr Kapadia 😁)

He reached at the garden...

Yeh anu kaha hai... Bol toh rahi thi ki.. Yahi garden me hun....

Suddenly... Someone's anklet's sound

He followed the sound and reached the nearby pool....

There is a romantic setup... A beautiful tent.... Decorated with fairy lights and flowers.... Lighting elements in pool...

The whole place is decorated with fairy lights....

Anuj becomes mesmerized by seeing all this.... But as his lady love comes his heart skips beating....

Wearing a plain shiny black saree.... Pairing with his gifted earing and pendent.....

Looking breathtakingly gorgeous.....

She comes towards him... And stops in front of him....

Anuj who is still looking at her... Doesn't notice that she is standing so close to him...

Anu waited for him.. But he doesn't say anything and just looking at her without blinking his eyes...

After some time anu kissed his cheek and said

This makes him aware oh his surroundings.... He instantly kissed her cheek... And lifted her, holding her just below from her hips.... And started screaming ""....

Anu tapped his shoulder and asks him to place her back on the ground....

Anuj - ohhh... Sorry sorry.... Vo kuch jyada hi excited ho gaya tha...

Koi baat nhi Kapadia ji... Aaj tumhara hi din hai...

Toh.. Tum.. Mujh..mujhse naraz toh nhi ho...

Umm... Nhi... Vo toh jab tum college me gana ga rahe the tabhi Maan gayi thi...

Hwww.... Fir mujhe bataya kyu nhi...

Vo isliye... Kyuki mujhe pata tha ki mera cute sa, bholu sa would be..... Mere liye achche achche gift layega....

Achcha ji... Toh... Ye baat hai... Mrs would be Kapadia....

Hmm... Vaise tumne bataya nhi... Ki main kaisi lag rahi hu...

Lagta hai tumne mere reaction par focus hi nhi kiya.... Vo Kehte he na... ( he come close to her ear and said huskily) Qayamat dha rahi ho...

And placed a firm kiss on her cheek....

She detached from him and sits on her one knee

So, Mr Anuj Kapadia..... Kya aap mere sath apni birthday night spend karenge.... Till 10 Pm...

10 pm?

Haan... Vo mummy ( anuj's mom) ne mujhe bas 10 baje tak ka time diya hai na... Isliye... Fir uske baat family ke sath bhi toh celebrate karna hai....

Toh matlab mom ko pata tha... Iss sab ke baare me?

Haan.... Aaj sham ko hi permission maangi thi.... Ab jaldi kaho na... Mere ghutne me Dard ho raha hai... Aise baith kar....

Ohhh.... Sorry soryy..

Bas sorry bulwa lo.... Tumse....

Aree.... Han... Yaar... Ye bhi koi poochne wali baat hai.... Main toh tumhare Saath sirf birthday night hi nhi.... Sabhi nights and days spend karna chahta hu......

She stands and hugs him tightly........

(ekdam kasske 🤗)

and said....

Anuj aaj tumhare birthday me mujhe tumhari kayi sari wishes poori karni hai...so pehle sabse newest se shuru karen....

Anuj -... Huhh.... Konsi. Wa....

(before he complete his sentence anu placed her lips on his)

A long, passionate, dominating yet submising and desiress kiss.....

For a couple of seconds.... He doesn't reciprocate... But after realising that it's not his dream...he started reciprocating....

For the much needed oxygen... They parted...

Anuj - The most beautiful and expensive gift ever.. Thank you so much anu.... And need this gift everyday...

Anu shocked... (Kapadia ji rocked)

Bhapp....

Hww... Meri wish poori nhi karogi.. Anu...

Wishes sirf birthday wale din hi poori hoti hai... Offer sirf aajke liye hi hai... Kal band ho jayega...

Achcha.... Toh iss offer me aur kon kon se moments hain....

Bahut hai....abhi toh sirf shuruaati huyi hai... Darling.... Abhi toh poori raat baki hai...

Saying she runs from there and hid somewhere...

Anu... Anu... Kahan gayi.... Anooo....

Anujjj........

Hlw..... So... Its a happy birthday of our Gaurav khanna sir and Anuj Kapadia.... And how can I miss this day....

Quiet long.... Likhte likhte pata hi nhi chala... Kab yaha tak kheech diya...😅😅...

..

Maine reread nhi kiya hai... So agar koi error ho toh pls maaf kar dena...

Keep commenting... And keep voting...

Stay happy, blessed and healthy....

    people are reading<MaAn : The fairytale>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click