《Kuch Ankahi Baatein》Nanu

Advertisement

Nanu was resting in his room... Anubhav knock the door and asked, "Nanu aap so gaye kya"... Nanu smiled and sit comfortably resting his back at the back rest of bed...

Nanu smiled, "Nahi nahi, andar aa ja, tera hi intzaar kar raha tha... mujhe pata tha tu aane wala hai.. aaja mere paas baith"

He makes him sit near him and look at his curious eyes who had so many questions...

Nanu asked: haan toh pehle yeh bata tujhe aaj ka din kaisa laga... tu khush toh hai na...

Anubhav smiled and replied, " bahut jyaada... yeh mera best birthday tha, aur aapke rehte mujhe kabhi kisi cheej ki kami hui hai kya... aur haan mujhe mera birthday gift bhi bahut achchha laga...

Nanu : Mein yahi chahta hun ki tu hamesha khush rahe... jahaan bhi rahe...

Anubhav hugged him back and said, "nahi mujhe toh hamesha aapke paas hi rehna hai, bas aise hi....

Nanu patted on his head lovingly, "tu toh abhi tak bachcha hi hai... par ab bada ho ja... bahut jimmedariyaan uthaani hai tujhe aage jaakar... mein chahta hun tu mera naam khoob roshan kare.. mere saare sapne poore kare"

Anubhav looks him and asked hesitantly, "voh Nanu, mujhe aapse kuchh puchhna tha, if you don't mind"

Nanu smiled, "haan to puchh itna kya soch raha hai... kya janana chahta hai? Noor ke baare mein na... arey nahi tu kya pukarta hai usse ... haan voh Haseena... bada pyara naam hai, bilkul ussi ki tarah"

Anubhav smiled dreaming about her and said, "haan naam to bahut pyara hai, aur voh bhi"... he realized and shut his mouth, leaving Nanaji giggled on his talks...

Anubhav asked curiously: Vaise Nanu aap Haseena se kab mile the... shayad hamare school ke function mein na ...

Nanu: nahi pehle bhi kai baar dekha the school ke functions mein par kabhi jyada baat nahi hui thi, par asli mulaqat to usse meri Diwali ke din hui thi.. tu bhi toh gaya tha naa mandir mere saath... maine bataya tha na jab ek ladki ne mere paon mein kaanch lagne se bachaya tha... vahi thi yeh teri Haseena... in sab mein usse chot bhi lag gayi thi haath mein... par phir bhi usse meri hi chinta thi... aur tab toh mein achchhe se uska naam bhi nahi jaanta tha...

Advertisement

Anubhav: par aap ne toh uska naam Noor bataya tha baad mein mujhe...

Nanu: Haan voh darasal jab agli baar mujhe mili toh hum pooja ke baad aise hi baith kar baat karne lage toh usne bola ki uske Chachaji usse pyar se Noor bulate hai kabhi kabhi, aur usse mujhe dekh kar bhi vahi ehsaas hota hai, toh mein bhi usse Noor hi bullaun... baad mein kabhi dhyan hi nahi raha usak naam puchhne ka...

Anubhav: oh, toh tabhi aap jab bhi uski bata karte the toh mujhe lagta tha jaise mein usse jaanta hun... mostly usake haath ka prasad khakar.....

Nanu laughed : Haan, voh khaana bhi bahut swadisht banati hai... ek do baar banaakar laayi hai mere liye bhi...

Anubhav said casually, "par mere liye toh roj hi laati hai vaise Nanu aaj voh aapse milkar kuchh udaas thisubah... kuchh huaa hai kya... I mean baad mein uska mood theek tha college mein, par mujhe laga jaise aaj ka poora din voh kuchh khoyi khoyi si thi"

Nanu gets serious and his eyes gets blurred due to wetness... he wiped out his eyes and Anubhav shocked on his reaction, "Nanu I don't want to hurt you.... Agar aap nahi batana chahte toh its okay... maine toh aise hi dekha tha usse aapke saath, toh bas yun hi puchh liya"

Nanu in a serious tone asked him, "Anubhav, agar aaj mein tujhse ek sawaal puchhu toh tu kya uska bilkul sach sach jawaab dega"..

Anubhav: Nanu maine aapse kabhi aaj tak jhuth nahi bola toh phir aaj aap aise kyun puchh rahe ho... aap jo chahe puchh sakte ho mujhse...

Nanu: Anubhav mujhe sach sach bata ki tu Haseena ke baare mein kya sochta hai, teri kya feelings hai.... aaj mujhe tum donon ko saath dekh kar laga ki tu usse sirf dost toh nahi maanta... kuchh tha teri aankhon mein, jo mein tujhse janana chahta hun, tere munh se sunana chahta hun.....Shock was understatement for him as he was not expecting such a blunt and straight question from Nanu that too in such a serious tone... till now he has planned to first express his feelings to Haseena and then inform to Nanu but since todays morning all what he was feeling, his uneasiness and now the discussion with Nanu left him with no other option, to share all his thoughts and feelings in front of him...

Advertisement

He took a deep breath and tells, "Nanu, actually mein aapse kuchh bhi chhupana nahi chahta tha par sahi mauke ka intzaar kar raha tha.. mein khud aapko aa kar Haseena ke baare mein sab batana chahta tha paraise achanak nahi.. mujhe thoda waqt chahiye tha"

Nanu put his hand on his shoulder, "dekh agar tu nahi chahta toh koi nahi, jab man kare tab bata dena, mein tujh par koi dawaab nahi dalna chahta.... mujhe bharosa hai tujhpar ki tu kabhi kuchh galat faisla nahi lega"

Anubhav: Nahi Nanu, aisi koi baat nahi, par mujhe lagta hai ki ab mujhe aapko bata dena chahiye... darasal mein Haseena se pehli baar PVKM school mein pehle din mila tha, aur usse dekhte hi mujhe ek ajeeb sa ehsaas hua, ek alag sa apnapan laga, mein usse pehli najar mein dekhta hi rah gaya aur pata hi nahi chala ki kab mujhe dheere dheere usase pyar ho gaya... Then he narrates the whole story that he never got the chance even to talk to her in whole year but his feelings for her increased day by day and become so strong... after that when he finally planned to talk to her, he had moved to Delhi with Nanu on farewell

Listening this Nanu felt very bad that because of him only he was in such a deep pain but never ever showed to anyone... Tune bataya kyun nahi ussi waqt... mein kaise bhi karke tujhe vaapas le aata...

Anubhav: Nahi Nanu, aapki tabiyat ke saath mein koi risk nahi le sakta tha... uss waqt shayad vohi sahi nirnay tha mera...... na chaahte huye bhi shayad hamari kismat mein hi yeh judaai likhi thi.......

Nanu cried and hugged him tightly...

Mallik house - Since evening Haseena was bit disturbed and lost

Preeti, "kya hua ab tujhe... kis baat se pareshaan hai..jabse Anubhav keg har se nikle hai tu kuchh chup chu psi lag rahi hai... kuchh kaha kya kisi ne"... Haseena shook her head, "nahi bas voh shayad thoda thak gayi... koi baat nahi hai, tu chinta mat kar".. she went out in balcony, looking at sky... "aaj ek din mein kitna kuchh ho gaya... Anubhav Nanu ka naati hai kabhi jaan hi nahi paayi, aur Nanu bhi hamesha usse Ani Ani karte rehte the toh kaise pata chalta.. pata nahi zindagi ab kaun se naye mod par lekar aa gayi hai.. jitna suljhana chahti hun utni hi ulajh rahi hai... I wish ki Nanu apna vaada na tode aur kisi se kuchh na kahe, kuchh baatein parde mein rahe toh hi achchhi hoti hai... pata nahi yeh dn mere liye hamesha itna mushkil aur dard se bhara kyun hota hai... subah kitni himmat jutaai thi ki sab bhool kar Anubhav ki Khushi mein khush rahungi par nahi kar paayi.. I hope usse kuchh mehssos na hua ho.. maine poori koshish kari thi ki meri pareshaani mere chehre par na aaye par voh itna ziddi hai ki har baat samajh jaata hai.. ab pata nahi kal kaise milungi usase.. kya kya sawaal puchhega.. please bhagwan ji ab aur mushkile nahi chahiye"....

    people are reading<Kuch Ankahi Baatein>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click