《Mo'arka e karbala》Mo'arka e karbala part-3

Advertisement

Imam Husain r.a. ki shahadat par ahl-e-bait ka bura haal tha.

Dusri taraf koofi ek dusre ko mubarakbad de rahe the. Jab Umro Sa'ad aur Shimar ek dusre ko mubarakbad de chuke to Umro sa'ad ne lashkar ko hukm diya ki wo thoda pichhe hate.

Kisi afsar ne kaha kya irada hai. Imam ko qatl kar chuke ho ab kya baaki hai? Kya ab inki laash ko paamal (puri tarah barbad) karayega?

Umro saad ne kaha,

"Haan, Husain ki laash ko paamal kiya jaye."

Ye sun kar sab hairat se usy dekhne lage. Lekin kisi me itni himmat na thi ke usy rokta. (Ahede-jahiliyat me arbon me ye qayeda tha ki dushmano ki laashon ke kaan, naak aur honth kaat kar unhe bhayanak bana dete. Aur phir laashon par ghode ya unt daudate. Jisse wo laash ke tukde tukde ho jaye.)

Aap(s.a.w) ne is tarike ko islam me sakhti se mana kiya tha. Lekin Umro sa'ad ne aap(s.a.w) ke nawase ke sath hi ye zalimana harkat ki. Aur 10 sawaro ko hukm diya ki laash ko pamal kare. Un logo ne Imam ke jism ke tukde tukde kar diye.

Shimar ne Ahle-bait ke khemo me ghus kar lut-maar machadi. Jo kuch saaman haath laga sab le liya. Yahan tak ki aurton ke zewar bhi utar liye. Masum

Sakina ke kaan me chaadi ki baali thi wo tak utarwali. Aurton aur ladkiyon ke saron se chaadare le li. Wo sayyedaniyan jinhe aaj tak aasman ne bhi nange sar na dekha tha. Aaj wo be-parda thi. Unke saron par chaadar tak na rahene di.

Shimar to H.Zainul Abidin ko bhi khatm karna chahta tha. Lekin Umro sa'ad ne usy rok diya.

Tamam ahle-bait ki aurton ko qaid kar ke unto par sawar kiya. Lekin kisi bad-bakht me ye insaniyat na thi ke un ke saro par chadar daal deta. 1 unt par H.Zainul abidin, H.Zainab aur Shaherbano(r.a.) ko ek sath bandha gaya. Aur baaki sab ko bhi isi tarah rassiyon me jakad Kar pure Koofa shaher me ghumaya gaya.

Jab ye qafla guzra toh H.Zainab aur Shaherbano (r.a.) ne apna sar neeche jhuka liya taaki ki gair-mardon par unki nazar na pade.

Umro sa'ad ke hukm par tamam koofiyon ki laash jama kar ke unki namaz-e-janaza padhai gai. Aur unhe dafn bhi kiya gaya. Lekin Imam aur un ke sathiyon ki laash ko dafnaya tak na gaya. Albatta unke sar jism se juda kar liye gaye. Aur un shahidon ke

saron ko neze par chadha kar is tarha tartib di gai. Sab se aage Imam Husain r.a. ka sar, aur unke pichhe ahle-bait ke 18 sar the. Jin me Imam ke bhai, bete, bhanje aur bhatijon ke sar shamil the.

Agle roz yaani 11/Moharram ko Banu Asad , muqam Aazarba se aaye aur unhone tamam laashon ko aur Imam Husain r.a. ki laash ke tukdo ko bhi jama kiya aur sab ko dafna diya.

Tamam qaidyon ko aur saron ko pahle Ibne Ziyad ke saamne pesh kiya gaya. Imam Husain r.a. ka sar ek dhaal par rakh kar us ke saamne laya gaya. Us waqt us ke haath me ek chhadi thi us ne us chhadi ko Imam Husain r.a. ke daanto par laga kar kaha,

"Tum ne nafarmani ki .Akhir saza pai."

Is harkat ko dekh kar kisi ne kuch na kaha. Par wahan par ek sahabi maujud the unho ne Ibne Ziyad par malamat ki aur wahan se chale gaye.

Advertisement

(Yaad rahe ki jab koofi lashkar Ahle bait ko shaheed kar ke aur ba-zahir fateh haasil kar ke koofa pahoncha to koofiyon ne bade josh se un ka istaqbaal kiya. Ye wahi koofi the jinho ne Imam ko bulaya tha aur aaj yehi unki Shahadat par khushiyan mana rahe the.)

Darbar-e-Yazid

Shimar, Bashir bin maalik aur kuch afsaron ke sath fauji dasta le kar ye log qaidyon ke sath Yazid ke darbar keliye rawana huwe. Is khwahish me ki Yazid se kuch inaam paale aur apne kaarname bhi sunaye.

Zainul Abidin ab tak beemar the roz ba roz unki kamzori badhti jaa rahi thi. Koofiyon ki sang-dili aisi ki na to unki dawa ka intezam kiya na khane ka balki un par lohe ki zanjiron ka bojh dal diya. Aap kamzor the aap se

zanjiron ka bojh sambhala na jata tha. Par aapne uff tak na ki , ke shikayat karenge to ye zalim aur khush honge aur taklif badhane me kami na karenge.

Khushi aur inaam ki ummid ne koofiyon ko andha kar diya tha. Wo nihayat tezi se safar kar rahe the. Yahan tak ki wo Damishq pahonch gaye. Shaamiyon ko jab Imam Husain r.a. ki shahadat ki khabar mili to unhe sakh afsos

hua. Unhone koofiyon par sakht malamat ki. Jab ye qafla Damishq me dakhil hua to pura shaher be-saakhta ro pada.

Shimar qaidiyon aur saron ko le kar Yazid ke saamne darbar me haazir hua. Tamam darbari Imam Husain r.a. aur Ahle bait ke saron ko dekh kar hairan reh gaye. Yazid ka itna raub tha ki us ke saamne kisi me kuch kehne ki himmat na thi. Yazid bhi tamam saron ko gaur se dekh raha tha.

jab ye sar us ke qarib laye gaye to wo Imam Husain r.a. ke sar ko dekh kar be-ikhtiyar rone laga.

Yazid ne puchha,

"ye zulm kis ne kiya."

Shimar darr gaya aur usne kaha,

"Ibne-Ziyad ne."

: Maine Ibne ziyad ko ye hukm kab diya tha ki wo Imam ko qatl kar de. Aur unke saron ko mere pas bheje.

Shimar jise inaam ki ummid thi, Ab wo sakht na-ummid ho gaya. Balki uski jaan par ban aai. Wo khamosh khada dar raha tha ki kahin Yazid us ke qatl ka hukm na de de.

Yazid ne kuch der baad kehna shuru kiya,

"Khuda ki qasam Husain r.a. ki maa meri maa se zyada achhi

thi.Unke nana(s.a.w) jo tamam insano me afzal hain. Mere waalid aur H.Ali r.a. me jhagda hua naubat jang tak pahoch gai, lekin mere waalid ne unhe qatl nahi kiya. Isi tarah Imam Husain r.a. aur mere beech bhi tanaza hua, Khuda ki qasam main unhe qatl karna nahi chahta tha. Agar wo mere paas aa jate to main bhi unse apna maamla waise hi taye kar leta, jis tarha unke bhai H.Imam Hasan(r.a) ne mere waalid ke sath kiya tha."

Tamam darbari us ki baat sun kar khamosh rahe.

Shimar ko yaqin hota jaa raha tha ki ab us ke liye koi sakht hukm hoga. Ab usy apne kiye par pachhtawa hone laga, ki usne aisi harkat kyun ki.

Ahle-bait ke sath suluk

Yazid ne tamam aurton ko apne mahel ki aurton ke pas jaane ka hukm diya. Zainul Abidin ko azad kiya.

unka shahi tabib se ilaj karwaya. Aur apne khadimo ko unki timar-dari aur khidmat ka hukm diya. kuch arse baad usne Zainul Abidin ka wazifa muqarar kiya. Jis se Zainul Abidin hamesha khush rahe, unhone kabhi badla lene ki koshish na ki.

Advertisement

Yazid chahe jitna hi bad-fa'al tha par usne Ahle bait ke sath achha suluk kiya tha. ************

(Kuch baatein Jo "Mo'arka e karbala" me nahi mili unhe "Sayyada ka Laal" se liya gaya hai.)

Qaatilaan e Husain ka Anjam

Imam Husain r.a. aur unke saathiyon ka khoon begunah maidan me gir Chuka tha. Par un zaalimo ka Anjam abhi baaqi tha.

Yazeed ka aakhri waqt:

Is kasauti par sab se pahle Yazeed ko dekhna hai. Usy hukumat toh mil gai. Par 39 saal ki umr me usy maut laa-haqq hui. Aur dard e qaulenj ne aa ghera... Usy bar bar H.Zainab r.a. ke alfaz yaad aane lage ki Husain ke khoon se jis saltanat ko banaya hai us par Teri aulad thookegi bhi nahi..

Yazeed ka jab waqt qarib aaya toh us ne apne bete Mawiyah ko bula kar kuch wasiyat karna chahi. Abhi Yazeed ne shuru hi Kiya tha, Ki Mawiyah ne ek cheekh maari aur kaha :

"Khuda is saltanat se mujhe mehfooz rakhe, jis ki buniyad Aale Rasool (s.a.w.) ke khoon par rakhi gai hai."

Yazeed bete ke ye alfaz sun kar tadap gaya, magar Mawiyah laanat bhej Kar Chala gaya. Logo ne bahot samjahya k tera inkar banu-umaiyyah ki saltanat ka khatma hai. Magar wo na mana.

Yazeed haath pair patakhta 3 raat o din qaulenj me is tarah tadpa ki agar ek qatra paani bhi jata toh teer ban kar halaq me utarta. Bhooka pyaasa tadap tadap Kar is duniya se rukhsat hua.

Haamyane banu-umaiyyah ne zabardati Mawiyah ko takht par bithaya, lekin wo cheekh mar Kar bhaga aur ja kar ghar me aisa ghusa ke phir na nikla. Aur Husain Husain ke naare lagata hua mar gaya...

Ab Khuda apna qaher is tarah dhata hai ki Ubaid Saqfi koi baadshah ya ameer nahi tha. Hukumat ya ikhteyar nahi tha. Ek mamuli qaidi, bebas aur laachar, jail ki chaar deewari me qaid, Husain ibn Ali r.a. ki himayat ko uthta hai. Duniya us ka mazaq udati hai. Hukumat usy deewana qarar dete hai. Lekin qudrat apna haath us k sar par rakhti hai, aur us qaidi ko Koofa ka haakim bana deti hai. Mukhtar ka pahla hukm ye hota hai ki wo tamam aadmi Jo maidan-e-jang me Imam Husain r.a. ke khilaf lade the, qatl keliye haazir ho..

Wahi sar-zamin thi, Jahan H.muslim r.a. aur unke bachchon ko panah Dena jurm qarar diya gaya tha. Aaj wahin qaatilaan e Husain keliye munadi karwai ja rahi thi ki agar ek bhi shakhs kisi ghar me chhupa hua Mila toh us gar ki deewarein ukhed li jayengi.

Mukhtar ne apne sardaron ko hukm diya ki Umro Sa'ad, Shimar aur khauli ko mere saamne zinda pesh Kiya jaye.

Baagiyon ka qatl e aam shuru ho gaya tha. Mufsid bhag rahe the. Kuch Basra chale gaye, kuch teh-khano me chhup gaye, kuch jangalon me dubke.. magar Mukhtar ki fauj ne ek ko bhi na chhoda.

Shimar ko teh-khano se, Umro Sa'ad ko pahad ki kho se aur khauli ko jangal se pakad Kar laya gaya.

Umro Sa'ad ne apne aap ko begunah saabit Karne ki bahot koshish ki ke main Yazeed aur ibn Ziyad ke hukm se majbur tha. Imam Husain r.a. ke qatl ki zimmedari un par hai. Main beqasur hu. Is ke jawab me Mukhtar ne hukm diya ke Umro Sa'ad ka beta Jo karbala me apne baap ko madad de raha tha usy laya jaye.

Abu-salma ne usy jaise hi pesh Kiya toh Mukhtar ne jallad ko hukm diya ki Umro Sa'ad ke saamne us ke bete ka sar tan se alag Kar de, taaki usy bhi ehsas ho ki Imam Husain ke Dil par Akbar aur Asgar(r.a.) ki laash dekh kar Kya guzri hogi.

Umro Sa'ad sar peet raha tha. Isharah milte hi jallad ne Umro Sa'ad ki bhi gardan uda di ...

Shimar ka Anjam

Is waqt Shimar kaanp raha tha aur hath jod Kar maafi maang raha tha. K mujh se toh Umro Sa'ad ne kaha tha.

Mukhtar ne kaha , "aye sang-dil insan apna hath utha jis se Imam ki gardan par khanjar phera."

Ye keh Kar Mukhtar ne apni talwar uthai ke Shimar minnat samajat Karne laga ki main pyasa hu, chand qatre Pani pila do. Magar Mukhtar ne us ki ek na suni. Aur us se kaha ki "wo waqt yad Kar jab tu ne masum bachchon aur parda nasheen sayyadaniyon ko Pani keliye tarsa diya tha."

Shimar kuch na keh saka. Aur Mukhtar ka isharah milte hi jallad ne us ka sar tan se juda Kar diya.

Itne me log Hurmila ko le aaye, Mukhtar ko Ali Asgar r.a. ki pyas aur Hurmila ke teer ke khayal ne bilbila diya. Aur hukm diya ki Hurmila ke gale par teeron ki barish karo. Naza ke waqt aakhri teer gale ke aar-paar ho.

Khauli ka Hashr

Hurmila ki lash tadap rahi thi ki khauli ko laya gaya. Usy dekhte hi Mukhtar ne kaha yehi wo siyah-kar hai jis ne Imam ke kaleje me barchha Mara aur sar neze par chadhaya.

Us ke dono hath kat diye gaye, phir dono pair kaatne ka hukm diya gaya. Aur us ka jism bahar phenk diya gaya taaki log us ka Hashr dekh kar ibrat haasil karein..

Ubaidullah bin Ziyad ka qatl

Ab Mukhtar ko Ibn-e-Ziyad ki fikr hui. Kyunki sirf wahi baki reh gaya tha. Mukhtar ne Yazeed bin Anas se kaha ki fauran ibn Ziyad par hamla karo aur usy zinda ya murda jis tarah bhi ho mere samne laao. Doosri taraf Ibrahim bin Malik r.a. se bhi yehi kaha.

Jab dono taraf se chadhai hui toh Ibn Ziyad ne sulah ka paigam bheja jab nakaam raha toh maidan me aaya aur Ibrahim ke haatho Mara gaya.

Us waqt Ibrahim ne naara "Allahu Akbar" buland Kiya. Aur kaha, "Khuda is tarah zalimo ka khatma karta hai."

Is tarah karbala ke mozi ek ek Kar ke fin-naar huwe.

Mukhtar ka daur haqiqatan khudai qaher tha. Jis ne dushmanan e Ahle bait ko un ke aamal ka maza chakhaya. Warna Mukhtar ka saltanat ya hukumat se koi waasta na tha.

Banu Umaiyyah ki saltanat ba-dastur qayem rahi. Usi saltanat me 14 badeshah guzre . Magar Hazrat Umar bin Abdul Aziz ke siwa sab hi ek jaisi khaslat ke Malik the . Yahan tak ki saltanat ka paansa badla aur hukumat Abbasiyon me pahonch gai.....

****** ******** *****

    people are reading<Mo'arka e karbala>
      Close message
      Advertisement
      To Be Continued...
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click