Mo'arka e karbala Chapter 1
Advertisement
16 Ramadan 40 san Hijri ko subah ke waqt Hazrat Ali(r.a) par hamla kiya gaya, jisse talwar dimag ko katkar peshani tak utar aayi.
Hazrat Ali(r.a) ka ilaaj shuru hua par zakham bharne ki bajaye aur badhne laga. Unhone apne beton ko bula kar ye hukm diya ke۔۔۔۔
''Hamesha Qur'an Majid par amal karna, ALLAH ke hukm ko manne me kisi ki malamat ka khauf na karna, parhezgaari ikhtiyar karna, duniya ki khwahish na karna, ye khubsoorat bala hai. Kisi baat ke haasil na hone pe afsos na karna. Hamesha haq baat kehna.
Yatimon par rahem aur bekason ki madad karna. Mazloomon ke madadgar rehna. Zaalimon ki kabhi himayat na karna. Hurmat-e-Islam par kat marna.''
17,Ramadan 40 san Hijri ko Hazrat Ali(r.a) ne wafat payi.
Hazrat Imam Hasan (r.a.) aur Hazrat Imam Husain(r.a) ke alawa bhi Hazrat Ali Murtuza (r.a) ki aur aulad thi. Bibi Fatima(r.a) ke inteqal ke baad Aap ne 8 nikah kiye, lekin ek waqt me 4 biwiyon se zyada kabhi na rahi. Unke 14
ladke aur 17 ladkiyan thi.
Hazrat Imam Hasan(r.a) bahot hi nek aur samajhdar insan the, ladai jang se unhe sakht nafrat thi.
Hazrat Ali(r.a) ki wafat ke baad logon ne Imam Hasan(r.a) ke
haath par Bait(devotion) ki. Ye bait KOOFA me ki gai. Kyun ki Hazrat Ali(r.a) ne madina ko chhod kar Koofa ko Daarul- saltanat (capital) banaya tha. Unhone Koofiyon par bharosa kiya, par sab se zyada unhin logon ne taklif di. Kyun ki Koofi bade hi dagabaaz, makkar, aur chaalbaz the.
Imam ko un par itmenan na tha. Unka irada tha ki Koofa se Madina Munawwara chale jayein par Koofiyon ne jaane na diya.
Hazrat Ali(r.a) ke daur me hi Islami saltanat ke 2 hisse ho gaye the. Ek par Hazrat Ali(r.a) hukmran the aur doosre par Hazrat Ameer Mawiya(r.a).
Hazrat Imam Hasan(r.a) musalmano ke dost the, wo nahi chahte the ki musalman aapas me ladein. Isliye unhone Khilafat
se dast-bardaar hone ka faisla kiya. Ye khabar paate hi
koofiyon ne Aap ko pareshan karna shuru kar diya.
Hazrat Imam Hasan(r.a) ne khilafat se dast-bardar hone ki 3 shartein rakhi.
1) Ameer Mawiya(r.a) Kitaab-ALLAH aur Sunnate Rasool(s.a.w) par amal kare.
2) Pahle ki mukhalifaton ko bhool jayein.
3)Hamare taraf-daron ko amaan de kar sab ki hifazat ka iqrar
karein.
Abdullah bin Aamir ne ye shartein manzoor ki aur usy
Hazrat Mawiya r.a. ke saamne pesh kiya.
3 shartein toh wohi thi...
par usne apni taraf se kuch sharton ka izafa kardiya.
1) Har saal aap (H.Mawiya) 5 lakh darham Hazrat Imam Hasan(r.a) ko diya kare.
2) H.Mawiya ki wafat ke baad Khilafat Hazrat Imam Hasan(r.a) ko mile.
3) Suba Ehwaz aur Faaras ka kharaj(tax) Hazrat Imam Hasan (r.a) ko mile.
H.Mawiya ne kaha Hazrat Imam Hasan(r.a) ki niyat saaf hai unki jo bhi shartein hain mujhe manzoor hain.
Hazrat Imam Hasan(r.a) ki
Shahadat :
Imam Hasan(r.a) sulah par qayam rahe, par unhone koofiyon par bharosa na kiya. Unse pareshan hokar koofa se Madina chale aaye. Madina me 10 saal sukun se rahe.
Imam Hasan(r.a.) ki biwi kisi baat par unse na-khush thi, Us arse (period) me kisi sang dil ne Sayyeda ke lal ko zeher de diya. Shak Jaada(unki biwi) par kiya gaya. Koi sakht kism ka zeher tha. Aisa sakht ke Imam Hasan(r.a.) ke kaleje ke tukde uda diye. Qai(vomit) ke zariye khoon aur gosht ke tukde nikal gaye. Saare aziz jama ho gaye. Imam Hasan (r.a.) ne farmaya:
Advertisement
''pyare bhai jo muqaddar tha wo pesh aaya. Ye pehla mauka nahi hai ke mujhe zeher diya gaya hai isse pehla bhi 2 martaba diya ja chuka hai magar us waqt asar na hua ab ho gaya.''
"Mere aziz bhai! mujhe ye tajruba(experience) hua hai ke
hamare khandan me Nabuwat aur Khilafat jama nahi reh sakti.
Is baat ko har waqt yaad rakhna ke yahi koofi hai jinho ne pehle
Hazrat Ali(r.a) ke haath par bait ki, phir unhe pareshan kiya aur
aakhir me unhe shaheed kar diya. Iske baad unho ne mere
haath par bait ki aur mujhe sataya. Unse wafa ki umeed nahi hai, wo sakht dhokebaaz hain.''
Itna kehte hi tabiyat aur bigadne lagi. Naza ka aalam taari ho gaya. Kuch kehna chate the par wo keh na paye aur maut ne aa ghera...
Hazrat Imam Husain r.a.
Yun toh Mohammad sallallahu alaihi wasallam ko apne tamam ummatiyon se mohabbat thi, lekin Aap apni beti ko bahot chahte the. Aap(s.a.w) ne Bibi Fatima(r.a) ka nikah Hazrat Ali(r.a) se kiya tha. Jin se
Hazrat Imam Hasan aur Hazrat Imam Husain(r.a) paida huwe. Imam Husain(r.a) ki paidaish par Hazrat Jibrail(a.s) ne khabar di ke ye bachcha ummat ke haath se Shaheed hoga.
Huzur(s.a.w) ne Jibrail(a.s) ke kehne ke mutabik bade bete ka naam Shabbar (HASAN) aur chhote bete ka naam Shabbir (HUSAIN) rakha.
Hazrat Imam Husain jab 6.5saal ke the toh Aap ke Nana Hazrat Mohammad(s.a.w) ka wisaal (inteqal) ho gaya. Kuch waqt baad waalida Bibi Fatima(r.a) ka bhi wisaal ho gaya.
Imam Husain(r.a) bade parhezgar aur ibadat guzar
the. Ibadat ka ye haal tha ki farz, wajib, sunnat-e-muakkida
ke alawa 1000 nafil roz ada kiya karte the. Aur Tauba wa
Astagfaar kasrat se padhte the.
Ka Nikah
Shahran jo ke Iran ke Badshah ki beti thi, aur jang me qaid ho kar aayi thi. Hazrat Umar Farooq(r.a) ne unki ijazat se unka nikah Imam Husain(r.a) se kar diya.
Imam(r.a) ne unhe musalman karke azad kiya aur unka naam SHAHER BANO rakha.
Ameer Mawiya(r.a) ke dimag me us waqt tak ye khayal bhi nahi aaya tha ke Yazeed ki khilafat ki koshish kare. Ab Mugaira ke kehne se unke bhi dil me ye khayal aya. Aur unki sab se badi tamanna bhi ho gai ke jis tarah
bhi ho Yazeed ko khalifa banaye.
Yazeed ke khalifa banne par Khaas taur par H.Abd-
ur-Rehman bin Abubakar(r.a), H.Abdullah bin Umar(r.a),
H.Imam Husain(r.a) aur H.Abdullah bin Zubair(r.a) ne sakht mukhalefat ki. Madina ke logon ne bhi bait na ki.
Ameer Mawiya ka jab aakhri waqt qarib aa gaya toh unhone Yazeed ko bula kar kaha ke "main tumhari Waliahedi ki koshish kar raha hun. Tum musalmano ke sath kis tarah pesh aaoge?"
Yazeed ne kaha "Main Kitaab-ALLAH aur Sunnate
Rasool(s.a.w) par amal karunga."
Mawiya(r.a) ne kaha theek hai."Lekin Sunnat e Siddiqui, Sunnat e Farooq aur Seerat e Usmaan(r.a) par bhi amal karna."
Yazeed ne kaha "NAHI, Mere liye Kitaab-Allah aur Sunnate Rasool (s.a.w) hi kaafi hai."
Hazrat Imam Husain(r.a) ka kehna ye tha ki Marwan ke kehne par Waleed mujhse bait keliye israar kar raha hai, Aur main Yazeed ki bait par hargiz tayyar nahi hun. Isliye yahan se jana hi behtar hai. Main darta hun ki meri wajah se musalman aapas me na lad padein, isliye Madina chhodna hi munasib hai.
4-Shaaban 60 Hijri ko aap Makka Muazzama ke liye rawana huwe.
Advertisement
Jab H.Abdullah bin Zubair(r.a) aur H.Imam Husain(r.a) Makkah pahonche toh logon ne badi khushi aur josh se unka Istaqbal (welcome) kiya.
Logon ki raaye ye thi ke Imam Husain(r.a) bahot seedhe hain aur unhe hukumat ki khwahish bhi nahi hai. Isliye bait keliye kehna bekaar hai wo nahi maanenge. Lekin H.Abdullah bin Zubair(r.a) siyasat-daan (politician) bhi hain aur
hukumat ke khwahishmand bhi. Unke haath par bait li jaaye.
Logon ke israr par H.Abdullah bin Zubair(r.a) ne bait lena qubul kiya. Usi roz se Makkah se Yazeed ki hukumat khatm hogai.
H.Abdullah bin Zubair(r.a) ki hukumat qayem hogai thi. Aur ab Yazeed se bait ka koi masla nahi tha. Us waqt jab Imam Husain(r.a) itmenan se ALLAH SUB'HANAHU ki ibadat me masroof the. Koofiyon ke khat unke pas aana shuru huwe. Un khaton ki tadaad (numbers) 150 tak hogai.
Aakhri khat jis me tamam buzurg hastiyon ke dastakhat (sign) the. Us khat ka Mazmun (topic) ye tha.....
Hum ne be-shumar khat aap ki khidmat me bheje, par aap ne ab tak kisi ka jawab nahi diya. Humne H.Ali(r.a) ka bhi sath
diya tha aur H.Imam Hasan(r.a) ki bhi madad ki thi. Khuda ki
kasam hum Islam ki khatir jaan dene keliye har waqt tayyar
hain. Rasool(s.a.w) par fida hona hum fakhr samajhte hain.
Hum Yazeed ki bait par na-khush hain. Hum toh aap se bait karne par taiyyar hain. Humara ye bharosa hai ki khilafat aap ka
haq hai aur aap ko milna chahiye. 1 lakh se zyada log Aap ke haath par bait karna chahte hai. Aap jaldi yahan aaiye aur apni
hukumat ko sambhaliye. Agar Aap tashrif na laaye toh hum
qayamat ke din Allah se faryad kareinge, ke Rasool(s.a.w) ke
nawase (grandson) ko hum ne bulaya tha ke wo aayein aur
hame Zaalim se chhudayein par wo na aaye. Aap us waqt jawab dijiyega.... WasSalaam.
Is khat ne Imam Husain(r.a) par bada gehra asar kiya. Aap jaante the ki koofi dhoke-baz hain. lekin qayamat ke din sawal kiye jaane ke khauf ne unhe koofiyon ki baat maanne par majbur kar diya.
Logon ke samjhane par aap ne ye taye kiya ki pehle aap kisi aur ko koofa bhejenge jo wahan jaakar dekhe ki wo log jo keh rahe hain kitna sach hai. Phir us ke mutabik amal kiya jayega.
H.Imam Husain(r.a) ne apne chachazad bhai H.Muslim Bin Aqeel(r.a) ko bulaya aur koofa jane ke liye kaha.
:Koofa ke log jhoote aur dhokebaaz hain. Mera khayal hai ke unki baat par bharosa nahi karna chahiye.
:Lekin wo musalman hain, aur musalmano ki baat par bharosa karna chahiye, isliye maine tumhe yaha bulaya hai.
:Mujhe koi aitraaz nahi hai magar behtar yeh hota ke aap kisi aur ko bhej dete.
:Main kisi aur ko bhej sakta hun magar zyada munasib tumhe samajhta hun.
: Behtar hai main tayyar hun.
H.Imam(r.a.) ne ek khat ke sath aap ko rawana kiya.
Unke sath unke 2 masoom bete MUHAMMAD aur
IBRAHEEM bhi rawana huwe.
Makkah se Koofa jaane ka raasta Madina ho kar guzarta tha. Madina se aap ne 2 rahbar (guide) sath liye jo unhe aage ka raasta Bata sakein. Garmi ka zamana tha, tez garm hawa chal rahi thi. Paani ka door door tak nishan na tha. Jitna paani sath
laye the wo bhi khatm ho chuka tha. Ab bachche to kya bade bhi bhook aur pyas se pareshan ho rahe the. Bachchon ki haalat dekh kar dono rahbar paani ki
talash me nikle. Masoomo ki jaan bachane keliye apni
jaan ki baazi laga di.
H.Muslim bachchon ko ummid dilate ki abhi paani aa jayega. Dopaher se zara pehle paani ki talash me rawana huwe the, aur ab shaam hone aai thi unka dur
dur tak thikana nahi tha. Dono masumo ki pyas se haalat kharab ho rahi thi. Majburan Asar ke waqt H.Muslim r.a. rahbaron aur paani ki talash me nikle.
Kuch hi meel dur ja kar aisa dardnak manzar dekha ki unhe bahot sadma hua. Ret ke dher ke niche ek aadmi daba hua tha, jis ka sar ret me dhasa hua tha aur sirf pair upar the. Badi mushkil se usy bahar nikala toh dekh
kar aur gamgin hue, ye wohi rahbar tha jo paani ki talash
me gaya tha. kuch duri par aise hi dusre rahbar ki bhi lash mili. Pyas ki shiddat se unki zabane bahar nikli hui thi. Aap ne dono ki namaz-e-janaza padhi aur unhe wahin dafna diya.
Bachche pyaas se behosh ho rahe the. Shaam dhalte hi dono masumo ko oont(camel) par sawar kiya aur aage ke safar ke liye rawana huwe. Hawa me
thandak aa gai thi. Dono masumo ne kuch aankhein kholi. Oont bhi tezi se bhagne laga. Raaston ka andaza nahi tha isliye oont jahan le jareha tha chale jarahe the. Kuch door jakar oont ruk gaya, Aage badhne ko tayyar hi na tha. H.Muslim r.a. ne raat wahin guzarne ka irada kiya. Subha ki raushni jab phaeli toh dekha ki kuch doori par paani hai. Bachchon ko pani pilaya phir khud piya aur kuch din wahin par qayaam (stay) kiya. Wahan par ek qaafle se mulaqat hui, jo Makkah jarahe the. Muslim ne unse us jagah ka naam puchha. Unhon ne bataya ki ise "Batan-e-khabit" kahte hain. H.Muslim r.a. ne ek khat likh kar unhe diya, jisme safar me pesh aane wali sari pareshaniyan likhi thi. Aur ye bhi likha tha ki main is safar ko Namubarak samajhta hun.
Ye khat Imam Husain(r.a) keliye tha. H.Muslimr.a. wahin ruke rahe. Kuch dino me khat ka jawab bhi aa gaye. Jis me likha tha ki "Mera khayal hai ki Aap sirf buzdili kar rahe hain. Koofa to aap ko jana hi hoga."
Imam ka ye jawab pa Kar majburan unhe aage safar keliye rawana hona pada.
Koofiyon ka josh
Koofiyon ne bade josh ke sath H.Muslim r.a. ka istaqbaal (welcome) kiya. Aur Imam Husain(r.a) ki khilafat keliye H.Muslim r.a. ke haath par bait karne lage.
Logon ki kasrat itni zyada thi ki 7 ghanto me 1200 logo ne bait ki. Bait se faarig hokar aap ne Imam Husain r.a. ko khat likha.
"Main khairyat se koofa pahonch gaya hun. Yahan ke logaon ne bade khuloos aur josh ke sath mera istaqbal kiya. In logon ke dilon me aap ki mohabbat dekh kar meri saari bad-gumaani khatm hogai hai. In logon ka irada hai ki Yazeed ki khilafat aur saltanat ka takhta ulat diya jaaye. Jab aap yahan aayenge to laakhon aadmi aap ke haath par bait kareinge. Isliye aap jaldi aaiye.". Wassalam....
Logon ki bait ka haal koofa ke Governer (Nomaan bin Shabbir) ko bhi pata chala. Wo bahot nek aur hamdard tha. Usne logon se kaha. "Main nahi chahta ki
mere ahed me koofa me koi fitna fasad ho. Tum bagawatna karoge fasad na karoge toh main bhi tum par koi sakhti na karunga. Lekin agar tum ne shuruwat ki toh phir main kisi ko na chhodunga."
Yazeed ke chahne walon ko ye baat pasand nahi aai, Unhon ne kaha ki Nomaan bin Shabbir (governer) galti kar rahe hain. Aise toh Imam ko chahne walon ke hausle aur badh jaayenge. Unhone khufiya taur par Yazeed ko ek khat likha. Jisme unhon ne koofa ke sare haalat bateye aur Noman ki shikayat bhi ki.
Yazeed ke Mahel me Zalzala
Khat milte hi Yazeed pareshan hogaya. Ittefaq se usi waqt uska haajib (lord of chamber) "Sir John Romi" jo ek isaai(christian) tha, wahan aa gaya. Usne pareshani ki wajah puchhi. Toh Yazeed ne bataya ki,
"meri saltanat ke tukde hone lage hain. Makkah par Abdullah bin Zubair ne qabza kar liya hai. Madina wale bait (devotion) karne ko tayyar nahi hain aur ab koofa wale bhi Imam Husain r.a. ko khalifa banana chahte hain. Maloom huwa hai ki Imam ne apne bhai Muslimr.a. ko koofa bheja hai."
ye toh bahot pareshani ki baat hai. koofa ke log toh waise hi sarkash aur jangju hain. Aur wahan ka Governer to bahot rahemdil aur narm mizajhai. Unse to ye ummid nahi ki ja sakti ke wo logon ko seedha karenge. Un logon keliye to koi sakht dil aur jaabir haakim hona chahiye jo unki sarkashi ko khatm kar sake.
: Kya tumhare khayal me koi shakhs hai?
: Aisa aadmi Basra ka Governer Ubaidullah bin
Ziyaad hai.
Ubaidullah bin Ziyad Yazeed ka chachazad bhaitha. Bahot hi sakht dil aur berahem hone ki wajah se uske waalid ne usy kisi jagah ki hukumat nahi di thi.
Waalid ke inteqal ke baad apne chacha Amir Mawiya se
bahot aajizi (request) kar ke kuch ilaqon (area) ki hukumat
li thi. Amir Mawiya ki nigrani me tha is liye koi harkat-baazi na kar saka. Yazeed bhi usse na khush tha, par is waqt yehi
munasib laga ke usy hi koofa ka governer banaya jaaye.
Sir John ne usy khat likha, jis me uski taarif ke sath sath ye bhi likha ki...
"Hame pata chala hai ki H.Muslim koofa me aa gaye hain aur log unke hath par bait kar chuke hain. Hum Ubaidullah bin Ziyad ko Basra ke sath sath Koofa ki hukumat bhi dena chahte hain. Hum chahte hain ki aap wahan ja kar logon ko siyasat aur taaqat se samajhayen. Aur unhe seedha karein. H.Muslim ko ya toh wahan se nikal dein ya phir qatl kar dein. Koofa walo ko samjha dein ki fitne fasad se baaz aa jaye warna haal bura hoga."
Advertisement
Devil of the Heavens
In a world of magic and a land where martial artists rule , a Devil from another world is reborn in this land unknown to him. Little did they know about this Devil, who in his time was called an Asura -a person with the power to slay the gods . What will this world make him? Will he once again rule over the lands rampaging and spreading chaos? Or will he just be forgotten? Only time will tell.
8 163Queen of the Rings
What if Arwen Evenstar became a member of the Fellowship, only to succumb to the temptation of the Ring? The love story of Arwen and Sauron.
8 108Sun and Moon ☆ Haechan
☆Soulmate au☆They were fated togetherCover by @lor-beer
8 172False Assumptions
After running away from her last foster care Mariah was living on the streets for a few years. She makes a decision that almost lands her in jail but instead she gets taken in by Ms.Valentine the best thing to ever happen to her...Chris and his siblings have had a hard life, but one things for certain his mom always made a way. Helping his mom take care of his siblings and working to help pay the bills, he had to step up early but he never complains...Chris see's Mariah as a stuck up brat, who's never had to worry about anything in her life. She sees him as an arrogant asshole, who can't admit when he's wrong. After being forced to work together on a project they realize their assumptions are way off.
8 177Legends meet the 100
DC's Legends of Tomorrow accidentally end up on Earth 100 (which is where the events of the 100 take place) right before S3 E07 and without the whole Alie problem going on. The legends are the group at the end of season 5 plus Charlie and without Mick's daughter (Zari, Nate, Charlie, Behrad, Constantine, Ava, Mick, Sara, Astra).This crossover wasn't originally my idea, but I'll try to stay true to most events and characters.
8 175My Dear Lan Zhan || Xianwang [Under-going Maintainance]
⚒UNDER GOING EDITING⚒[CHAPTERS CANNOT BE SEEN UNLESS IT IS NOW OK.]Book 1 of "My Dear" series"I appriciate if you hands off Lan Zhan.""Wei Ying is the most beautiful cultivator i've ever laid eyes upon on, Demon or not"Lan Wanji recives letters each from the same person, He doesent know who they are and what is their intention to him.(All will be Lan Wanji's point of view or 3rd persons point of view..)Best Rankings 🏅#10 - Lan Wanji (8/8/22)Other Titles To Call It:- 親愛的藍湛- Secret AdmirerNote 📝If you are reading this outside wattpad, It is not me and someone stoled my work. I only write in Wattpad not somewhere else. Please do not support the stolen work and support me here instead thank you ❤Another Note 📝Mo Dao Zu Shi / MDZS is made by Mo Xiang Tong Xiu or MXTX. Characters doesen't belong to me (obviously) but some characters arent introduced in MDZS so that characters belongs to me.Shoutouts 📢Thank you for my friends on discord for helping me to make an storyline for this. It was really fun working with you all!Thank you. Rius, arleen. For helping me too! Working with you all is really fun honestly! ^^
8 96