《Zindagi Ka Safar ( The Journey Of Life)》Zindagi ka Safar

Advertisement

~~~~~~

Raaste Kahan Khatm Hote Hain Zindgi Ke Safar Mein,

Manzil Toh Wahi Hai Jahan Khwahishein Tham Jayein.

Manzilon Ke Gham Mein Rone Se Manzilein Nahi Milti,

Haunsle Bhi Toot Jate Hain Aksar Udaas Rehne Se.

~~~~~~~~~~

Hum ek rastay par chaltay chaltay na jaane kitnay mushkil jagaho se guzartay han...

Na jaane kitnay galat mor mur jaty han...

Na jaane kitnay hi anjan logo se mil jaty han...

Na jaane kitnay hi apno ko paraya kar jaty han...

Na jaane kitni hi anjan raho ko par kar k manzil ko door khara paaty han...

Phir agar manzil gareeb ho, phir bhi usay na paa sako toh is sare safar aur mushkilat ka kia mol?

Bas samajh lo,

Every journey have an ending...

Every start have a stop...

Everything have to end anytime...sooner or later...

What doesn't ends is!

Love...

Care...

Respect and truth!

Yeh zindagi ka safar ap k paida hone se ap k marne tak ka safar nahi hota....

Yeh har us saans ka safar hai jo hum teh karty han...

Yeh har us rishtay ka safar hai jo humara apne beloved ones k sath hai...

Yeh har us galati ka safar hai jis se hum jeena sekhtay han...

Yeh har us khushi ka safar hai jo hum dosro ko dety han...

Yeh har us jazbay ka safar hai jo hum mehsos karty han...

Yeh tumhara ya mera safar nahi hai...

Yeh humara safar hai...ek dosre k sath achai karne ka safar...

Ek dosre ki madad karne ka safar...

Hum toh khatam ho jaye gay par ye safar nahi...

****

Basically ye r mere liye sirf ek kahani nahi hai....

Yeh jazbaat ka woh ek panna hai jo shayad har insan apni zindagi mai mehsos karta hai...

From being freely living to being with a stranger...

From being completely unknown to friends...

Advertisement

From being friends to be loved!

From loved to be runied...

And from ruined to repair...

In all this while what remains constant is your love and your parents....

Yeh kahani thi us rishtay ki jo

Ek beti ka baap se jo piyar ka rishta hota hai...

Us rishtay ka khaloos aur sachai thi is kahani mai...

Yeh kahani thi us bete ki jo maa ko us ka asal muqam aur izzat dena janta ho...

Yeh kahani thi har us larki ki jo shayad kahi na kahi apni kisi khami ki wajah se is dunya se bhagti ho...

Yeh kahani har us insan ki hai jo rishto ma itna uljh gya ho k khud ko un mai khoo dia ho...

Har woh shakhs jo khud ko bhula k dosro ki khushi ka khayal rakhay...

    people are reading<Zindagi Ka Safar ( The Journey Of Life)>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click