《Zindagi Ka Safar ( The Journey Of Life)》Chapter 49. Ishq e kamil (part II)

Advertisement

Jab saans lena bhi ek azab ho...

Jab jeena bhu dushwar ho...

Jab zindgani benam si ho....

Aur yaad us yaar ki ho...

Toh yeh lamha bojh sa lagta hai,

Har zarra kakh sa lagta hai...

Yeh ansu bahana bhi bas benam sa lagta hai...

In ko ponchne wala hi ek khawab sa lagta hai....

"M...mama... so...soha ...kaha hai?" When I looked upwards she was still there looking at me with a smile.

She was looking like an illusion now....

Who would fade away anytime.

"Aur kitna tang karo gay ussay?" I frowned and then I heard laughing sounds.

I opened my eyes and looked at everyone.

Everyone was smiling.

Ifra was laughing and haarib was holding his stomach while laughing.

Zuhaib smiled and alia was also laughing.

Yeh sab ko kia ho gaya hai?

I looked back at soha or may be her soul.

She was smiling too.

Mom was also smiling looking at me.

"Mom? Yeh kia...soha... sab hans kiu rahy han?"

"Sherry! Ab badla pura ho gaya! Bhabi! You rock!" Haarib laughed and I frowned deeper.

Yeh ho kia raha hai?

"I am alive Sheharyar! Yeh sab ap ko thoooora sa sabaq dene k liye drama kia tha. " soha spoke from behind and I looked at her and then at them.

"My plan worked! Kia acting ki hai bhabi ap ne! Shakal dekhne wali thi sherry ki..." haarib again laughed and came towards me.

"Sorry bhai! Humai bhi plan ka hissa banna para. Ab galati ki thori si toh saza milni chahiye thi na ap ko..." alia hold her ears but again laughed.

Meri jaan nikli hui thi yaha aur in sab ko mazaq suj raha tha?

With fuming anger, I looked at everyone.

"YEH KOI MAZAQ NAHI THA! " I stormed out of room.

-------

"YEH KOI MAZAQ NAHI THA! " Sheharyar shouted and stormed out of room.

"Kuch ziyada toh nahi ho gaya?" Ifra worridly said and I nodded.

Advertisement

"Don't worry! I'll handle. " I walked out of room towards the main door.

He was out and about to go out of house.

"Aj phir wahi galati duhra rahy han ap. " I spoke out loud enough for him to hear.

He stilled again but didn't moved.

I walked down thw stairs while speaking,

"Muhabbat ko yu thukra k ap pehly bhi yu hi ja chukay han....

Yaqeen ki doori itni kachi thi k meri ankho mai likhi apni muhabbat ko na dekh saky thy ap...."

I reached the final stair and walked towards him while he had turned around and was looking at me.

"Muhabbat toh ho gai thi ap ko....

Par muhabbat ko nibhana nahi aya...

Ishq k is lambay safar mai ap toh mere sath do pal ko bhi na chal saky thy...

Chor gaye thay bheech rastay apni be-yaqeeni aur be-aitabari k sath...

Aj phir wahi kar k ja rahy han..."

"Aj phir se loat k ai hun ap k pas... sirf muhabbat ki bina par....

Ab is muhabbat ko itna na azmaye k muhabbat se hi nafrat ho jaye!" I choked back my sob when he hugged me tightly.

"Mai...itna dar ...gaya tha...tum aisa mazaq...ph..phir kabhi mat karna....mai... meri jaan nikal gai thi...." he held me so tightly and so did I.

We both were engrossed in each other.

Lafz khatam ho gye jazbaat k agy....

lafzo ma woh bayan na ho paya jo jazbaat ne kr dikhaya

Beshak is shaks ne mujhe bohat dukh aur taklefai di hai...

Par shayad jin se ap muhabat karty ho, un se door rehna mumkin nahi hota...

Yeh baat bhi sach hai k jin ko dil mai rakhty han, wahi dil tor jaty han....

Par jab wahi dil us insan k hone se jee uthay toh shayad us dil tor jane ko galati samajh k maaf kar dena chahiye....

Subha ka bhula agar raat ko ghar laot aye toh usay bhula nahi kehty...

Advertisement

Aur woh kia kehty han,

Agr bazi ishq ki bazi ha toh jo chahy laga lo...

dar kaise?

agr jeet gaye toh kia kehna...

agr hare bhi toh bazi matt nhi...

"Muhabbat,ishq ya piyar.... aj tak mujhe karna to nahi aya....

Par aj qasam kha k kehta hun,

Ye do pal ko jo tumhay khone ka tasawur tha woh mere liye yu tha jaisay mujh se kisi ne meri saansai cheen li hon....

Mujhe kisi ne aisi jagah mara ho jaha pani bhi nahi mila...

Agar Insan ko moat k baad ki zindagi dekh k khoofzada ho jaye wase hi tumhare bagair zindagi ka tasawur bhi is se kam na tha..." Sheharyar hold my face and both out foreheads rested on each others.

Eyes closed...

Forgetting this world....

Lost in moment.....

"Mai maafi k qabil to nahi hun aur na hi mera amal qabil e maafi hai!

Par soha! I promise.... I would do everything to get back your trust and love.

Mujh se pehla sa ishq karna toh tumhare bas mai nahi ho ga par mai wada karta hun! Tumhare hissay ki har khushi tumhay lautane ki...

Just...never leave me again ever....

Zindagi k is safar mai mera sath kabhi na chorna. Manta hun galati hui thi mujh se.....bheech rasty chor gaya tha tumhay par ab ki baat is safar mai door jane ka sawal hi paida nahi hota....

Is dafa is rishtay ko yaqeen aur piyar k aisay mazboot bandhan mai bandha hai k kabhi nahi chooty ga..." his each word was a whisper while I was fighting with my own demons inside.

Muhabbat k mujrim ko maaf kar dena itna asan nahi hota....

Ek maa kisi insan ki wajah se apne bachay ko kho day aur phir bhi us insan ko maaf kar de.... ye mumkin to nahi hota....

Par shayad baba sahi kehty han....

Nafrat aur badlay ki agg ek jingari ki tarha hoti hai, jo jis k dil mai ho sab se pehly ussi ko jalati hai.

Aur wase bhi jab woh Allah hamare sab gunnah maaf kar deta hai toh hum kon hoty han kisi se yu naraz rehne waly....

Han mana k pehly jaisi muhabbat nahi rahy gi par muhabbat ka poda(plant) toh izterab, yaqeen aur piyar ki mitti mai bara hota hai na...

Toh bas isi ass par aj mai, Soha Sheharyar Ali, apne is husband ko maaf karti hun! Dil se maaf karti hun....

Inhay muhabbat karne ka ek aur moqa deti hun....

Ishq karne ki ek aur wajah deti hun...

Jeene ki ek aur tamanna deti hun...

Sheharyar Ali! Aj phir se ap ko ek moqa de rahi hun.... is umeed par k ab ki baar hamara sath is zindagi kay safar mai kabhi nahi chotay ga....

Muhabbat mai lakh mushkilay aye par yaqeen ka daman ab ki baar nahi chotay ga....

Sath chahye do pal ka ho par dooriyan ab nahi aye gi....

Safar kitna hi mushkil kiu na ho...

Sath chalay gay toh har mushkil ko hal kar le gay....

Ishq ki ek nai dastan likh le gay...

"Hamara ishq kamil na sahi par ishq sadiq aur sacha zaror ho ga...."

~~~~~~~~~~

Happy now?

A bigg wali happy ending....

Yar ab jaha haarib ho waha mazaq na ho... ho hi nahi sakta ..

Ab haarib miya ka plan tha toh ho gaya

Ishq e kamil....

So,finally finally the story have been ended but the end is still to happen....

Woh kehty han na 'picture abhi baqi hai mere dost!'

Muhabbat itni asan nahi hoti jitni dikhti hai... muhabbat karna asan hai, nibhana mushkil...

Soha aur Sheharyar ka ye safar toh shayad yaha khatam ho jaye par humari zindagio ka safar chalta rahy ga isi yaqeen aur itabar k sath k muhabbat nafrat ko mita deti hai par be yaqeeni muhabbat ka gala ghont deti hai.

With love,

Khushi

    people are reading<Zindagi Ka Safar ( The Journey Of Life)>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click