《Sangharsh ( Abhira story)》Part 5

Advertisement

Abhimanyu Neil se wo Dona file leta hai aur mein akshara ke doctor ka ph.no. tha abhi unhe phone karke unhe akshra ki haalat ke baare batata hai aur unhe request karta hai udaipur aane ke liye kyuki wo akshara ki case history jaanti hai to operation mein wo helpful hogi, wo udaipur aane ke liye Maan jaati hai.

Dusri taraf Goenka’s ki haalat bhi theek nahi hai kyuki who abhi tak is baat ko except nahi kar paa rahe hai ki Akashra is had tak dard mein thi aur wo sab is baat se anjaan the.

Manish- maa mujhe toh yakeen nahi ho raha hai ki humari akshu ki yeh haalat ho gayi hai kahi na kahi is sab ke jimmedar hum sab hai

Suhasini – haan Manish tum sahi keh rahe ho hume toh samajh nahi aa raha hai hum se itni badi bhool kaise ho gayi.

Manish- ( crying sadly ) maa hum toh naira saamna bhi nahi kar paayenge marne ke baad ki kahi us ne pooch liya ki kyu humne uski bacchi ke saath aisa kiya.

Kairav – (sobbing badly) badi mumma akshu theek ho jayegi na mujhe bahut dar lag raha hai.

Swarna – apne aap ko sambhalo beta akshu ko kuch nahi hoga dekha wo bilkul theek ho jayegi.

Suhasini – haan tum dono hi aise tut jaoge toh akshara ka khayal kaise rakhoge aur waise bhi akashara ek baar theek ho jaaye hum sab apni galtiyon ki maafi us se maange aur mujhe pura yakeen hai ki wo hume maaf kar degi.

Manish – haan maa mujhe bhi pata hai ki akashra hume maaf kar degi par maa mujhe ek baat samjhme nahi aa rahi hai ki kya hum Singhania’s ko akshara ke baare mein bataye ki nahi ........

Is se pehele wo kuch bolte ki tabhi unhe kuch aisa sunai deta hai sab shocked ho jaate hai, yaha tak ki birla’s bhi kyuki unhe yakeen nahi hota kya itna bada business man yaha Kya kar raha hai aur wo Goenka’s ko kaise jaante hai.

Man – wah kairav bete pichle kai saalon se aap hume dokha de rahe the yeh keh kar ki akashra hostel mein hai aur kisi se baat nahi karna chahti aur jaise hi ghar aayegi aap turant hume batayenge wow kitni aasani se aapne jhoot bola khair yeh bhi chalo hum maan gaye lekin aaj humari bacchi hospital mein hai yeh baat bhi aap ne hume batani jaruri nahi samjhi kitni aasani se aapne apne nanu ( yes this man is Naitik Singhania) ko dhoka diya aapne I didn’t expect this from you.

Advertisement

Kairav - nanu woh ...woh mai

Naitik – khair aapse hum baad mein baat karte hai , aur waise bhi ab mai wo galti nahi karunga Jo Maine 20 saal pehle ki thi aur haan Mr.Manish Goenka mujhe vansh ne sab kuch bata diya mai apni bacchi ko kuch nahi hone dunga aur haan agar mujhe uski haalat ke baare jara sa bhi andaza hota toh mai use aap logo ke paas hargis nahi rehne deta khair ab bhi kuch nahi bigda hai operation ke baad akashara humare saat humare Ghar chalegi aur aap log us se milna toh dur uski sakal bhi nahi dekh sakte or meri bacchi akashra ko uski jindagi ki saari khushiyan milengi jiski who hakdaar hai aur yeh natik singhaniya ka apni beti naira se wada hai

Manish – dekhiye Naitik ji hum maante hai ki humse galti hui hai uske liye hum bahut sarminda bhi lekin iska matlab yeh nahi hai ki aap humari poti ko humse dur kar denge.

Naitik – aapki poti wow lagta hai aapko bahut badi galatfahmi hai kyuki meri knowledge ke according aapki toh ek hi poti hai Aarohi Goenka, akashra ko toh aapne abhi char mahine pehle hi apne ghar bulaya hai hostel se aur haan maine toh yaha tak bhi suna hai ki pichle 12 saalon se aapke ghar se kisi use ek baar bhi phone nahi kiya yaha tak ki uske birthdays mein bhi nahi aisa kaisa rishta nibhaya hai aapne khair mai yeh sab behes mein nahi padna chahta hoon yeh aap bhi jaante hai ki akashra aur kairav ki legal custody humare paas hai so aap legally bhi kuch nahi kar sakte.

Yeh keh kar Naitik waha se akashra ke ward ki taraf chala jaata hai.

In akashara’s ward

Naitik akashara ki haalat dekh kar rone lagate hai aur us se maafi maangne lagte hai.

Akashara – (jise abhi hosh aata ) nanu

Naitik – haan meri bacchi ab tere nanu aagaye hai na ab sab theek ho jayega mai tujhe kuch nahi hone dunga aur ab tu bilkul fikr mat kar bus mujhse wada kar ki tu himmat nahi haregi chahe kuch bhi ho jaaye aur kabhi bhi koi bhi bure khayal apne man me nahi laayegi wada kar .

Advertisement

Akashara – lekin nanu aap toh jaan hi gaye hoge sab kuch fir bhi aap aisi jhoothi umeed kyu rakh rahe hai aap log jitni jaldi is sach ko except kar lengi utana hi accha hoga please mai nahi chahti mere jaane ke baad koi bhi dukhi ho please Nanu.

Naitik – beta tumhe pata hai joh bina kosish ke haar maan jata hai wo kitna galat hota aur waise bhi tumhe pata hai tumhari mummy kitni bahadur thi usne apni life mein kitne dukh sahe par kabhi bhi haar nahi maani aur hausla nahi haara humesha muskilo ka dat kar saamna kiya aur tum us naira ki beti hoke aisi baate kar rahi ho beta tumne ladna hoga is Jang ko aur jitna hoga aur kisi ke liye nahi apne liye apni khushi ke liye.

Akashara – ji nanu ab chahe kuch bhi ho jaaye mai har mushkil ka saamna karuni aapko pata hai aaj pehli baar kisi se apni mummy ke baare mein kuch suna hai par nanu aap mujhse promise kijiye ki aap mujhe meri mummy ke baare mein sab kuch batayenge mai jaan na chahti hoon ki who kaisi thi .

Naitik – in emotional voice ) bilkul meri bacchi aur haan ab se tum mere saath rahogi na ki Goenka’s ke saath theek hai.

Akashara happily emotional – ji nanu

Thodi der akashara aur Naitik aise hi baatein karte hai aur jab akashu so jaati hai to Naitik room se bahar aa jaata hai waha use abhimanyu dikhta hai wo Abhimanyu ke paas jata hai aur kehta hai

Naitik – dekhiye Dr. Abhimanyu mai jaanta hoon ki aap akashara se bahut pyaar karte hai aur wo bhi aapse bahut pyaar karti hai par abhi uski aisi haalat nahi hai ki hum abhi is baare mein koi bhi baat kare is liye I request you aap abhi sirf ek Dr hone ka farz nibhaye aur maine yaha pe mere ek friend hai Dr James unhe bhi bulwaya hai aap toh jaante hi honge unhe bahut acche sergon hai aur wo akshara ko operate karne mein aapki help karenge kuch bhi karke meri bacchi ko bacha lijiye I beg u, woh meri naira ki aakhri nishaani hai mere paas.

Abhimanyu – Mr. Singhania aap bilkul bhi fikr mat kariye chahe kuch bhi ho jaaye mai akashara ko kuch bhi nahi hone dunga aur ab humari help karne ke liye Dr James bhi hai .

Naitik – thank you very much .

Thodi der mein waha Dr James bhi aa jaatein hai aur Naitik aur Abhimanyu se milte hai aur waha se operation ki taiyari ke liye liye chale jaatein hai aur Naitik , Goenka’sand birla’s waha pe intzaar karte hai.kyuki thodi der mein operation start hoga.

( Guys as I tell you earlier that I don’t know anything about medical field is liye operation wala part mein skip kar rahi hoon hope aap sab samjhenge )

Operation success full hota kyuki bachne ke chances bahut kam the is liye doctors akashra ko bacha to lete hai par khatra ab bhi tha kyuki agar use ugle 24 ganto mein hosh nahi aaya toh coma mein chali jayegi.

Sab log yeh sunkar bahut shocked hote hai aur bhagwan se prathana karte hai.

So guys aaj ke liye bas itna hi hope aap logo go ko meri story pasand aa rahi hogi aur delay karne ke liye sorry.

Aur haan meri story mein akashara sr. jinda hai aur us accident ke baad coma mein thi abhi 6 months pehele hi coma se uthi thi.

Thank you

MS.

    people are reading<Sangharsh ( Abhira story)>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click