《Sangharsh ( Abhira story)》Part - 4

Advertisement

Neil : akashra tum kya kah rahi ho agar tum accept kar leti to Tum dono Khush hi rehte na.

Akashra : pata hai Neel kabhi kabhi chijen jitni aasaan lagti hai utni hoti nahin hai, abhi maine tumhen bataya tha na ki main 4 mahine pehle hi hostel se yahan Ghar aayi hoon pata hai 4 mahine pehle jis din mein ghar aayi thi us se ek din pehle mujhe panic attack aaya , doctor ne mera full body checkup kara tha aur uski reports aane se pehle hi mai yahan aa gai thi , mujhe meri reports us din Mili thi jis din abhimanyu rishta lekar aaya tha.

Neil – kya ! ( ghabrayi hui aawaj mein) kya tha us reports mein akshra batao mujhe please tell me.

Akshra : woh pehle tum promise Karo chahe kuch bhi ho jaaye tum yeh baat kisi ko nahi bataoge.

Neel (in mind) : mai promise kar deta hoon kyuki waise bhi yeh baat to camera's ke through sab sun hi rahe honge, lekin agar mai promise nahi karunga toh yeh baat kabhi Pata nahi chalegi aur mai apne muh se kisi ko kuch nahi batao ga toh promise bhi nahi

tutega Haan yahi sahi rahega, sorry Akashra lekin bhai ka Jan na jaruri hai varna mein yeh kabhi nahi karta.

Akashra - kya soch rahe ho Neil

Neil - nahi kuch nahi dekho akshara Mai tumse promise krta hoon please ab to batao kya baat hai aur tumhari reports mein kya hai.

Akshara - Neil Maine tumhen abhi bataya tha na ki main hostel mein thi aath saal ki age se actually tab waha mujhe kabhi bhi ghar pe se kisi ne call nahi Kiya aur na hi koi kabhi Milne aata tha dheere dheere se in sab ki wajah se mujhe loneliness feel hone laga jiski wajah se mein depression mein chali gayi aur fir mujhe panic attacks bhi aane lage, har choti choti baat mein mind trigger hone lagta khas karke jab koi mere ghar ki baat karta maine toh dil se yeh maan liya ki mai is duniya bilkul akeli hoon is liye jab kabhi koi mere Ghar walon ka naam leta ya mujhe unke baare mein puchta toh aur bhi buri tarah panic attacks aane lag Gaye the.

Advertisement

Hostel mein sabne mujhe bahut samjhaya ki main doctor ko dikhao par mai talti gayi, kisi tarah se ji rahi thi par jab raat ko neend aana bhi band ho gaya to maine 12 sal ki umr mein doctor checkup karwaya tha toh doctor ne mujhe bataya tha ki main bahut depressed hoon koi bhi baat mujhe trigger karti hai jis ki wajah se yeh sab ho raha hai (like panic attacks,neend na aana etc ) isiliye mai aapna mind divert Karu un baato mein jo mujhe pasand hai kai, counseling karwao kyu ki agar maine yeh sab ignore Kiya toh kahi yeh sab badh na jaaye aur is wajah se meri jaan ko bhi khatra ho sakta hai, isiliye Maine doctor aunty ke kehne pe apni loneliness aur dukh se bahar aane ke liye counseling sessions liye aur music ka Sahara liya, tumhe pata hai actually ismein ghar walon ne bhi indirectly meri madad hi ki kyunki voh mujhe kabhi phone nahin karte the to isiliye mujhe unke bare mein sochne ka time nahin mila , meine music per hi apna Sara Dhyan focus kar diya dheere dheere attacks kam ho gaye lekin unki vajah se khatra ab bhi tha par pehele se thoda kam, aur aise hi 12 saal beet gaye.

Akashara ki baat sunkar sab log bahut dukhi hote hai khas kar ke goenka unhe dukh ke saath saath sarmindagi bhi hoti hai aur Abhimanyu ko toh aisa lagta hai jaise kisi ne uska dil hi nikal liya ho sine se.

Neil : fir kya hua akashra…

Akashara – fir ek din pata nahi kya hua ghar se kairav bhaiya ne phone karke ghar aane ko kaha,man toh nahi tha mera par mai kisi ka dil nahi todna chahti thi is liye maan gayi aur jis din bhaiyaa ka phone aaya biti saari baatein yaad aa gayi aur us din mujhe itna bura panic attack aaya tha ki meri body do ghante Tak paralyze Rahi ( sorry doctor readers yeh sab apne man se likh rahi hoon mujhe medical field ka koi knowledge nahi hai 🙏 ) tab doctor ne mera full body checkup kara aur uski report abhi kuch din pehele mujhe Mili hai.

Advertisement

Neil : please akashra batao kya hai us reports mein.

Akashra : us reports mein yeh hai ki mera heart bahut weak hai mein koi bhi jhataka ab sehen nahin kar sakti agar mera depression kam nahin hua to yeh mere liye jaanleva saabit hogiAur doctor ne operation ke liye bola hai jisme mere bachne ke chances 1% hai par maine operation ke liye mana kar diya .........

Neil : Akshra yeh kya keh rahi ho tum atleast ek baar apni family se consent Karo please aisa decision jaldbaazi mein mat lo please.

Akashra : Neil sach kahu toh mai ab jeena nahi chahti main Bus intezar kar rahi hun maut ka aur ab mere pass jyada time nahin hai, kyunki ek sachchai toh yeh hai ki ab main is duniya mein nahin jina chahti, ab main apni Naira mumma ke pass jana chahti hun kyunki vahi ek thi is puri duniya mein Jo mujhse Bina kisi sarton ke sabse jyada pyar karti thi , khair yeh sab chodo aur ab Tum hi batao mein kaise Abhimanyu ko apni life mein aane deti kya yeh uske sath Anyaay nahin hoga, haan maanti hoon ki meri na se abhimanyu ko thoda dukh hoga use gussa aaega lekin aage jakar uski jindagi mein jab koi aisa jivansathi aaega Jo us se bahut pyar Karega toh voh mujhe bhul jaega aur apni life mein bahut khush rahega, aur rahi baat mere Ghar walon ki vaise bhi unhe meri jarurat nahin hai unko toh sirf Aarohi ki hi jarurat hai to isiliye voh bhi mujhe yaad nahin karenge sab ki life bahut khush hogi, mere yaha nahin Rehane se kisi Ko fark nahin padta yeh sab keh kar woh Achanak se behosh Ho jaati hai.

Yeh dekhkar sab bahut ghabra jate hai aur Neel ki awaaz sunkar sab log hall se kamre mein aa jaate Hain aur Akshara ko dekhkar bahut ghabra jaate Hain Abhimanyu usse apni bahon mein utha kar hospital le jata hai Jahan uska checkup hota hai aur yeh pata chalta hai ki uska heart bahut weak agar 1 week mein operation nahin kiya Gaya to uski jaan ja sakti hai ab uske pass jyada time nahin bacha operation kisi bhi halat mein karna hoga aur operation ke baad bhi bachne ke chances 1% hai.

Goenka family mein kisi Ko yakin nahin hota ki Akshara is sab se gujri hai, unhen is baat ka Vishwas nahin hota ki unhone Akshara ko itna bada dukh de diye ki voh is duniya mein jina nahin chahti hai.

Aarohi ko bhi bahut guilty feel hota hai lekin ab bhi uske man se Akshara ke liye bitterness Kam nahi hui thi.

Birla's to yeh soch ke hi hairaan hai ki itni Kam umr mein akshara ne kya kya saha hai.

abhimanyu ka haal toh kisi se chupa nahi hai woh abhi kuch nahi sochna chahta ise bas abhi kisi bhi haalat mein Akashra ko bachana hai aur us ke liye woh jameen aasman ek kar dega par apni akshu ko kuch nahi hone dega.

Abhimanyu ko aise dekh kar Neil uske paas jaata hai kyuki kisi ki bhi himmat nahi hoti us se kuch bhi kehne ki aur Manjiri abhi mandir gayi hai akshara ke liye Puja karne ke liye.

Neil - Bhai aap theek toh ho

Abhi - hmmm......Neil tum akshu ki reports ki file le aaye.

Neil - haan bhai yeh lo aur bhai un reports ke saath mujhe yeh ek or file bhi rakhi thi mujhe thoda odd Laga is liye yeh bhi le aaya.

Please do like comment and share 🙂.

    people are reading<Sangharsh ( Abhira story)>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click