《Abhira ff: Dil tune chuaa》PART 26

Advertisement

In hall

All were waiting for abhira. Keerti and manjiri also changed to heavy lehengas. Abhira comes. They were looking so perfect.

Manjiri puts a kala teeka behind akshara's ear- tujhe kisi ki nazar naa lage...kitni acchi lag rahi hai na

Keerti- sach...bohot acchi lag rahi ho akshu

Abhira smile looking at each other.

Manjiri- chalo akshu...ham ab katha sun lete hai

Akshara nods. She goes with keerti and manjiri. All men sit and talk.

Krish- abhimanyu...teri love story toh mujhe detail me pata hai...par tune kabhi ye nahi bataya ki tujhe akshu se pyaar kab hua

Abhimanyu looks at all and then at krish- tujhe kyo batau...ye mere aur akshu ke beech ki baat hai

Kairav- lekin abhimanyu ye toh akshu ko bhi nahi pata...trust me...jitna maine notice kiya hai tum toh pehli mulakaat se hi akshu ke peeche pade the

Abhimanyu frowns- tumhe kya main koi roadside romeo lagta hu...jab dekho tab aise bolte ho ki main akshu ko ghoorta hu...uske paas jaane ki koshish karta hu...aur ab uske peeche pada tha

All laugh.

Kairav- are baba main mazaak kar raha tha...muh se nikal gaya...ab mujhe nahi pata naa ki us waqt tum akshu se pyaar karte bhi the ya nahi

Krish- aur ye toh bilkul sahi kaha kairav ne...jab se main aaya hu notice kar raha hu ki tu sirf akshu ko dekhe ja raha hai...har do minute me teri nazar usi par jaa rahi hai

All laugh.

Naksh- ab use pareshan karna band karo dono...abhimanyu ye dono toh pagal hai...inhe chodo tum...tum kuch le kyo nahi rahe

Krish- kahi tune akshu ke liye vrat toh nahi rakha na

Abhimanyu looks at him and then at akshara. Kairav and naksh are surprised yet happy that he loves akshara so much.

Naksh- tumne sach me vrat rakha hai

Abhimanyu looks at him- ye vrat toh ek vishwas hai na mamu...apne partner ko pyaar dikhane ke ek tareeka...akshu agar mere liye ye kar sakti hai toh fir main kyo nahi

Naksh kairav and krish smile.

Abhimanyu- aur vaise bhi aapki beti ka koi bharosa nahi...mujhe toh lagta hai use bubble wrap karwa kar rakhna padega...jab dekho tab girti padti rehti hai...kabhi bhi tabiyat kharab ho jati hai...ab aise me akshu bhooki pyaasi rahe aur main khau...ye toh possible nahi hai...agar uska bp low ho gaya toh...behosh ho gayi vo toh...vo do ghante nahi khati na toh use chakkar aane lag jate hai...aaj toh pure din nahi khayegi

Kairav and krish laugh at his words. Naksh glares them.

Kairav- bilkul sahi kaha abhimanyu ne...maine bhi usse yahi kaha tha

Naksh- chup karo kairav...aaj akshu ne apne pati ke liye vrat rakha hai...pure dil se...use kuch nahi hoga...dekh lena

Krish- par papa mujhe lagta hai ki bechare abhimanyu ka bp low zaroor ho jayega...akshu ki chinta me

They all laugh. Abhimanyu too smiles. Akshara keerti and manjiri come back after completing their puja. They all sit together and talk.

Advertisement

In evening

Other birlas too come. Keesh welcomes them. Naksh introduces keerti to them.

Anand- ham toh kayi baar mil chuke hai...hospital related meetings me

Naksh smiles- ji...aur maine kabhi abhimanyu ko meetings me nahi dekha

Harshvardhan- vo kya hai na Abhimanyu hamesha se hi apne kaam me busy raha hai...use uske alawa koi aur dikhta hi nahi hai

Krish comes- vo toh pehle ki baat thi na uncle...ab doctor sahab ko doctory ke alawa gharelu nuskhe bhi samajh aane lage hai

Keesh neil parth nishtha and shefali smiles while birla fakes their smile.

Naksh introduces- ye mera beta hai krish

Anand- krish...if i am not wrong tum abhimanyu ke room mate the na university me...ghar bhi aaye ho tum

Krish nods- ji uncle

He takes blessings of elders and hugs neil.

Neil- krish bhai...bro aur bhabhi kaha hai

Krish- vo log andar hai...chalo guys...yaha bado ki meeting me bore toh mat karo kam se kam

Neil- chalo

All youngsters leaves.

Keerti- aaiye na aap sab

They all sit. Abhira and manjiri join them. Keerti serves them snacks and juices. She sits beside naksh.

Harshvardhan- aap bhi business me involved hai mrs singhania

Keerti- naa baba naa...agar maine business join kiya na toh naksh pehle hi din mujhe office se bahar nikaal denge...ye business vagerah mere bas ki baat nahi hai...filhaal main bas housewife hu...

Naksh interrupts- housewife nahi meri wife hai...keerti agar ek din ghar par naa ho na...toh pura ghar ulat pulat ho jata hai...hamara routine bigad jata hai...aur aap sabko shayad pata nahi hai ek aisa waqt aaya tha jab main toot gaya tha...business toh kya mujhe is baat ka bhi hosh nahi hota tha ki mere paas koi baitha hai...tab keerti hi vo thi jisne akele pura ghar aur business sambhala...bina kisi help ke...i am lucky jo ye meri life me hai...i am so proud of her

All smile except birla elders.

Mahima- don't mind actually aapko dekhkar lagta tha ki aap ambitious hogi...i mean u are so educated.....

Abhimanyu gets angry as they were demeaning keerti.

Keerti interrupts- mahima ji...maine ye success...fame...bachpan se hi bohot dekha hai...nahi dekha tha toh rishto me pyaar...paisa toh hamesha mila tha mujhe...nahi mila tha toh pyaar aur izzat...jab naksh ne vo pyaar aur izzat mujhe di toh uske badle me maine apni puri zindagi unke naam kar di...aur kisne kaha main ambitious nahi...main hu ambitious...lekin usse bhi zyada khushnaseeb hu jo mere life partner ne mere ambition ko apna ambition banaya aur meri help ki use pura karne me...successful toh kayi hote hai...lekin mera maan na yeh hai ki jise aisa pyaar karne wala partner mile...vo sabse zyada successful hota hai

Abhimanyu- bilkul sahi kaha aapne...itni success ka insaan karega kya jab use celebrate karne ke liye koi kareebi ho hi naa

Mahima- par ek successful career chodne ka afsos toh hota hoga

Keerti with a smile- bilkul bhi nahi...khushi hoti hai ki us career ko choda kyoki jis kaaran vo maine kiya tha vo faisla sahi tha...main ek acchi fashion designer thi...par usse bhi acchi maa banna chahti thi...aur baccho ke liye kuch bhi kar lo...kam hi lagta hai...aaj mera beta mujhse itna pyaar karta hai...mujhe aur kuch nahi chahiye

Advertisement

Krish smiles and back hugs her. Mahima gets angry as her children are not so close to her.

Harshvardhan looks at kairav- goenkas nahi aaye...unki beti ka pehla teej hai na

All gets silent. Abhimanyu's anger was increasing. Akshara gets upset.

Naksh- mr birla hamne pehle hi aapko bataya tha ki unke aur hamare beech rishte acche nahi hai...

Keerti interrupts- in fact hai hi nahi...us ghar me kairav aur vansh ke alawa hamara koi apna nahi rehta hai (changes the topic) chaliye puja ki thali saja lete hai

All nods. Keerti manjiri and akshara sit and decorate their respective aarti plates. All see them. Akshara was doing everything as per manjiri and keerti's instructions. Abhimanyu was admiring her.

Keerti- ab ham log teej celebrate karenge...tumhari mumma aur nani ke style me

Akshara smiles brightly. Keerti sings going near akshara and manjiri.

Prem ka aisa rang chadha

Dono rang jaye ek hi rang

Preet ke dhaago se khud ko

Baandh le ek duje ke sang

Keerti dances in the center.

Man mera chahe bas yahi

Pura ho sapna

Sau janmo se bhi aage tak

Saath rahe apna

Keerti goes near naksh and dances with him.

Har pag yu hi tu mila ke rakhna

Khushiyon ke deep jala kar rakhna

Tera saaya ban ke chalna hai mujhe

Mera saaya ban ke tu bhi chalna

Keerti pulls abhira in the center. She gives Akshara's hand in Abhimanyu's palm. Abhimanyu smiles at akshara and holds her hand firmly.

Chhute na kabhi ye saath apna

Gauri shankar hamein var do

Keerti holds akshara's shoulder and signs her towards abhimanyu.

Badhta hi jaaye jo jeevan bhar

Man mein vo prem dhan bhar do

Akshara sings with a shy smile on her face as abhimanyu twirls her.

Muskura ke dekhe vo mujhe

Main muskura ke unhe dekhu

Abhira make a heart with their hands. Keesh smile seeing them happy.

Mil hi jaaye humko kahin pe vo

Soche hum jise

Akshara dances around abhimanyu.

Man mera chahe bas yahi

Pura ho sapna

Sau janmo se bhi aage tak

Saath rahe apna

Abhimanyu holds her hand and twirls her and at last akshara falls on abhimanyu's chest with her hands on his chest. They share an eyelock.

Har pag yu hi tu mila ke rakhna

Khushiyon ke deep jala kar rakhna

Tera saaya ban ke chalna hai mujhe

Mera saaya ban ke tu bhi chalna

Keerti and akshara dance together in the center.

Har pag yu hi tu mila ke rakhna

Khushiyon ke deep jala kar rakhna

Tera saaya ban ke chalna hai mujhe

Mera saaya ban ke tu bhi chalna

All claps. Akshara was smiling very brightly as till now she had only seen videos of her parents celebrating like this but this was the first time she enjoyed it.

Manjiri genuinely happy- keerti ji...aaj sach me bohot maza aaya...maine khud pehli baar aise teej manayi hai...aur main bohot khush hu ki akshu ki pehli teej itne dhoom dhaam se manayi sabne

Keerti smiles as akshara hugs keerti thanking her.

Naksh- accha hi hai...hamare paas bhi akshu ke sath kuch acche palo ki yaadein rahegi

Akshara confused- matlab...aap log kahi jaa rahe hai kya

Naksh- ham yaha bas tumse milne aaye the...parso ham log vapis cape town jaa rahe hai

All are surprised while akshara gets upset.

Akshara- lekin kyo

Naksh cups her face- hame vaha kaam bhi toh karna hai na...aur hamne bilkul plan nahi kiya tha...par we promise agli baar ham plan karke aayenge aur kam se kam do teen mahine yahi rahenge

Akshara is still upset.

Keerti cups akshara's face- akshu...tum udaas kyo ho rahi ho...pichli baar ham log ek dusre se anjaan the...rishta hai...ye jante huye bhi ek dusre se mile nahi kabhi par ab toh hamare dilo me ek dusre ke liye kitna pyaar hai...pehle dilo ki doori thi ab toh sirf jagah ki doori hai

Akshara nods.

Kairav cheers her- aur tu upset kyo ho rahi hai...mamu aur buami cape town jaa rahe hai...tere kamre me nahi...jo tere bikhre huye room me ghum ho jayenge

Akshara pouts. All laughs at her.

Akshara whines- buami dekho na bhaiya ko

Keerti glares kairav.

Kairav- aap jakar dekho buami...aap khud kahoge

Abhimanyu- ye toh main bhi maanta hu...main subah room saaf karke jata hu aur vapis aata hu toh fir se saaf karta hu...mera kamra kam akshu ka departmental store zyada lagta hai

Akshara whines. All laugh as keerti pulls her cheeks.

Manjiri- bas kar ha abhi...kyo bechari meri akshu ko tang kar raha hai...ek toh tere liye bhooki pyaasi subah se baithi hai aur tu hai ki use pareshan kar raha hai

Kairav and krish smile at each other while naksh passes a smile.

Abhimanyu distracts them so that his secret fasting doesn't come out- accha thik hai...nahi karunga aapki bahu ko pareshan...ab aap log thodi der baith jaiye...nahi toh bp kam ho jayega

Akshara frowns- abhi...ye kaisa mood jump hai tumhara...tum kabhi bhi kahi bhi doctorgiri dikha sakte ho na

Abhimanyu glares her- tumse jo keh raha hu na sun lo...sabse pehle toh tum hi behosh hogi

Akshara pouts and looks away.

Mahima- abhimanyu is right...thodi der rest karna is a better option...manjiri tumne dawai bhi nahi li hogi...and akshara don't forget tumhara kuch din pehle hi bohot bada accident hua tha

Akshara and manjiri nods.

Keerti- haa akshu tujhe aaram karna chahiye...bachpan me bhi teri tabiyat bohot jaldi kharab hoti thi...naksh aapko yaad hai kartik kitna pareshan rehta tha iski tabiyat ko lekar

Naksh smiles- hmmm...thoda ro bhi leti thi na toh bukhaar ho jata tha

Kairav- haa kuch zyada hi delicate thi ye...papa toh mazaak me kehte bhi the ki ise bubble wrap karwa kar rakhna padega...aur abhimanyu bhi kuch time pehle yahi keh raha tha

Keesh laugh remembering that while akshara whines but smiles. Abhimanyu holds her hand and gestures her to come with him. Akshara nods. Abhimanyu takes her away after instructing neil to make manjiri rest.

    people are reading<Abhira ff: Dil tune chuaa>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click