《Abhira ff: Dil tune chuaa》PART 20

Advertisement

In mahima's cabin

Mahima- what...mr naksh singhania akshara ke mama hai

Harshvardhan- haa bhabhi

Anand- harsh...fir toh hame kaafi dhyaan rakhna hoga...kahi aisa na ho ki akshara ki taraf hamare bartaav ki vajah se mr singhania hamare hospital ke sath partnership cancel kar de...mr singhania ke funds ki vajah se hi ye hospital chalta hai...he is our main trustee

Harshvardhan- aap sahi keh rahe hai bhaisaab...mr singhania akshara ke mama hai...hame is baat ka fayda uthana chahiye

Mahima- u are right...ye hospital ke liye beneficial hoga...lekin dhyaan rahe...abhimanyu ko ye pata nahi chalna chahiye varna aap toh jante hai vo kya bawaal karega

Anand and Harshvardhan nods.

Mahima- aur aap dono bhi akshara ki taraf thode soft ho jaiye...ab bahu hai hamari...jo hua usme uski kya galti...aur fir ye socho ki abhimanyu khush hai...uski khushi se zyada kya chahiye hame...aur kya pata...ho sakta hai Akshara ki vajah se abhimanyu dobara ham sabke kareeb aa jaye

Harshvardhan- main jitni bhi koshish kar lu...par us akshara ko dekh kar khoon khaulta hai mera...aur vo kya abhimanyu ko mere kareeb layegi...usi ne toh door kiya hai Abhimanyu ko mujhse

Mahima chuckles- tum toh aise bol rahe ho jaise akshara ki hamari zindagi me aane se pehle abhimanyu tumhare sath party karta tha...grow up harsh

Mahima leaves saying this.

In birla house

Abhimanyu enters with naksh who sees around the house.

Abhimanyu shouts- akshu...akshu

Manjiri comes hearing him- abhi...kya hua

Abhimanyu looks at manjiri- maa...akshu kaha hai

Manjiri- beta vo toh apne kamre me hai...tu kyo shor kar raha hai (looks at naksh) aap...namaste

Naksh smiles and joins his hands- namaste

Manjiri looks at abhimanyu.

Abhimanyu- maa ye....

Abhimanyu was interrupted by a loud beaming voice of akshara.

Akshara excited- abhi

Akshara comes down the stairs wearing a pink saree with open hair. She was wearing matching earrings and bangles. Her neck was adorned with mangalsutra and her maang with sindoor. She was wearing anklets which was creating a soothing sound. Abhimanyu was mesmerized seeing her. Akshara stands in front of abhimanyu. In excitement akshara didn't notice naksh.

Akshara excitedly- abhi...dekho...maine khud saree pehni hai...maa ne sikhayi...aur tumhe pata hai (proudly) main hamare kamre se yaha tak bina gire aayi hu

Manjiri smiles seeing her so cheerful while naksh was admiring akshara. Abhimanyu laughs hearing her.

Advertisement

Akshara twirls- main kaisi lag rahi hu...lag rahi hu na bilkul tumhari nayi naveli dulhan ki tarah...bohot complaint kar rahe the na tum (raises her eyebrows) ab bolo

Abhimanyu cups her face- bohot pyaari lag rahi ho...sabse zyada khubsoorat

Akshara smiles happily and jumps on him. Abhimanyu holds her protectively and hugs her. Manjiri smiles seeing them and does a thu thu thu.

Akshara breaks the hug- tumhe pata hai...ab main na roz aise hi tayyar houngi...mujhe saree ki practice bhi ho jayegi...aur main girungi bhi nahi toh tum mujhe chidha bhi nahi paoge

Abhimanyu smiles seeing her so happy.

Manjiri teases akshara- abhi fir toh tu subah chaar baje uth kar tayyar ho jana...kyoki agar akshu roz aise tayyar hogi na toh tu roz hospital jane me late ho jayega

Abhimanyu looks at manjiri with confusion. Akshara signs manjiri not to tell.

Manjiri smiles- teri akshu ko itna pyaara lagne me teen ghante lage hai

Abhimanyu widens his eyes and looks at akshara who was pouting.

Abhimanyu- akshu seriously...teen ghante...tumhe pata hai na teen ghante me main teen hazaar baar tayyar ho sakta hu aur tum ek baar tayyar hone me teen ghante lagati ho

Akshara frowns- haa toh main pehli baar khud se saree pehen rahi thi na abhi...jab aadat ho jayegi toh jaldi ho jayega

Abhimanyu shakes his head at her drama- tum bhi na akshu...kitni badi nautanki ho...dekh rahe ho aap maa...aapki bahu ko apne pati se zyada apne saree lehenge ki chinta hai

Manjiri laughs. Akshara frowns.

Akshara whines- abhi

Akshara was about to hit abhimanyu when she notices naksh and stops.

Akshara embarrassed- aap

Now Manjiri and abhimanyu too remember naksh. Akshara looks at abhimanyu and then hides behind him hesitantly.

Manjiri- maaf kijiyega...aap aaiye na...baithiye (looks at abhimanyu) abhi

Abhimanyu smiles- maa...ye bohot hi khaas hai (holds akshara's shoulders) specially akshu ke liye

Manjiri and akshara are surprised.

Akshara looks at abhimanyu- tum kya keh rahe ho abhi...main inhe nahi janti (looks at naksh) ham mile hai kya kabhi...kyoki mujhe yaad nahi

Naksh gets sad.

Abhimanyu cups akshara's face- akshu...koshish karo...ho sakta hai tumhe yaad aa jaye

Naksh- rehne do Abhimanyu...isme iski koi galti nahi hai (comes near akshara and caresses her hair lovingly) akshu

Akshara is surprised. She doesn't feel uncomfortable with him.

Akshara innocently- aap kaun hai

Naksh- mera naam naksh singhania hai

Advertisement

Akshara frowns thinking but as she realises where she heard this name she widens her eyes being shocked.

Akshara stammers- sin..singhania...matlab mumma ki fam..family (looks at naksh) aap mere ma..mamu hai na

Naksh smiles and nods. Akshara gets emotional. Manjiri looks at abhimanyu in surprise. Abhimanyu nods. Manjiri smiles.

Naksh opens his arms and akshara hugs him. Akshara cries. Naksh consoles her.

Akshara breaks the hug- aap sach me naksh mamu hai na...maine aaj tak aapke baare me sirf padha tha...mumma ki diary me...aaj pehli baar aapse mil rahi hu (confused) ham mile hai kya pehle bhi

Naksh smiles- tum bohot choti thi us waqt...tumhe yaad nahi hoga...par mujhe yaad hai...kartik se lad kar tumhe apni godh me liya tha...tumhari mumma se bhi pehle...bilkul apni maa par gayi ho...hai na...use bhi aise sajne sawarne ka bohot shauk tha...vo bhi ghanto lagati thi tayyar hone me

Akshara giggles- maine na mumma ki diary me padha tha ki aap unka kitna dhyaan rakhte the...aapke aur papa ki dosti ke baare me bhi mumma ne likha tha

Naksh smiles- tumhe tumhari mumma ke baare me main sab kuch bataunga

Akshara smiles wholeheartedly. Naksh hugs her and kisses her forehead.

Naksh emotional- yakeen nahi hota...itni si thi tum jab tumhe pehli baar dekha tha aur ab...itni badi ho gayi...shadi kar li (looks at manjiri and abhimanyu) mujhe toh aisa lag raha hai jaise kal hi toh iski maa ko vidaa kiya tha aur aaj usi ki beti ki bidaai ho gayi

Manjiri smiles- isi ko waqt kehte hai bhaisaab...jis behen ko dulhan ke roop me dekha tha aaj usi ki beti ko kisi ki suhaagan bane dekhna...main samajh sakti hu...sach kahu toh abhi tak toh mujhe vishwas nahi ho paya ki mere bete ki shadi ho gayi hai

Naksh- sahi keh rahi hai aap

Manjiri holds akshara's shoulders- vaise ek baat kahu...aapki beti bohot hi pyaari hai...mere ghar aakar isne khushiya bikher di hai...hamare is doctoro ke khandaan me raunak le aayi hai ye...main kabhi aapki behen se toh mili nahi par aap hi se kehna chahti hu ki mujhe itni pyaari beti dene ke liye bohot bohot shukriya

Akshara smiles hearing manjiri. Naksh too smiles wholeheartedly. Abhimanyu admires Manjiri and akshara's bond.

Naksh- aur main aapse shukriya kehna chahta hu ki meri bacchi ko itna pyaar dene ke liye...uski zindagi me maa ki kami puri karne ke liye (looks at abhimanyu) aur sabse bada thankyou toh tumhe abhimanyu...akshu ko uski maa gift karne ke liye

Abhimanyu smiles- ye aapki beti zaroor hai lekin ab meri wife bhi hai...aur maine jo kiya apni wife ki khushi ke liye kiya

Naksh smiles.

Akshara- mamu...keerti mami kaha hai

Naksh chuckles- tum kabse keerti ko mami bulane lagi...tum hi ne toh unhe buami ka naam diya tha...aur tumhari dekha dekhi kairav bhi unhe buami kehne lag gaya

Akshara surprised- buami

Naksh- haa...bua aur mami ka short form...jab tumne pehli baar sabke samne keerti ko buami bulaya tha na...kartik ne proudly kaha tha ki uski beti puri baap par gayi hai

Akshara laughs cutely.

Naksh looks at manjiri- actually keerti chah rahi thi ki akshu aur abhimanyu aaj raat hamare ghar dinner par aaye...kairav bhi aa raha hai...aur mera beta bhi aaj hi aa raha hai...toh agar ye dono bhi aate toh sabse mil paate....

Manjiri interrupts- ha ha kyo nahi...zaroor (looks at abhimanyu) tu free toh hai na abhi

Abhimanyu nods- haa maa (looks at naksh) don't worry mamu...main aur akshu aa jayenge

Naksh smiles- thik hai...toh fir main tumhe address message karta hu

Abhimanyu- haa par aapke paas mera number nahi hoga na...aap le lijiye

Naksh- mere paas tumhara number hai Abhimanyu...bhul gaye hospital ke sabhi doctors ke numbers trustee ke paas hote hai

Abhimanyu smiles- oh yes...maa...akshu...mamu hamare birla hospital ke main trustee bhi hai

Manjiri- oh...tune kabhi bataya nahi inke baare me

Abhimanyu- main kaise batata maa...mujhe toh khud aaj pata chala hai...aapko toh pata hai sir ki in board meetings me mera dhyaan kaha rehta hai

Manjiri glares him- haa sab pata hai...apni saari neend in meetings me hi nikalta hai tu

Abhimanyu chuckles. Akshara hides her smile.

Naksh- thik hai toh fir ham aaj raat ko milte hai

Manjiri- are aise kaise...khana kha kar jaiye

Naksh- fir kabhi...darasal agar maine abhi ghar jakar keerti ki madad nahi ki toh mujhe raat ka khana nahi milega

All laugh. Naksh bids them bye. Akshara was so happy. She hugs manjiri.

Akshara- maa aapko pata hai main pehli baar mamu se mil rahi hu...matlab bachpan me mili thi par mujhe yaad nahi...aaj unse milkar bohot accha lag raha hai...aise lag raha hai maano papa samne aa gaye ho

Manjiri- vo bhi tujhse bohot pyaar karte hai

Akshara hugs her again.

Manjiri- accha ab tum dono aa jao...khana kha lo...abhi ja jakar muh haath dho le...akshu iski madad kar

Abhira nods. Manjiri leaves. They go in their room.

    people are reading<Abhira ff: Dil tune chuaa>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click