《Abhira ff: Dil tune chuaa》PART 19

Advertisement

In lobby

Abhimanyu and naksh were waiting. Abhimanyu was arranging some papers. Naksh was seeing abhimanyu working being so focused.

Rohan- sir

Abhimanyu hands him the papes- doctor rohan...kal ki surgery me aap mujhe assist karenge...ye rahe patient ki reports...study them well...aur aaj ki aapki aur baaki team members ki reports collect karke mere cabin me rakhiyega...agar koi problem ho toh call me immediately

Rohan- yes sir

Abhimanyu- kal ki surgery important hai...agar aapko koi bhi doubts hai toh pehle hi clear kar lena please...u can call me anytime

Rohan nods- ok sir

Abhimanyu- u may leave

Rohan leaves.

Abhimanyu looks at naksh- chale mamu

Naksh nods. They were about to go when they stop as arohi comes face to face. Abhimanyu looks away in anger while naksh was about to walk away when he reads her name and was shocked.

Naksh- arohi

Arohi looks at him confused- aap mujhe itne jaane pehchane kaise lag rahe hai...kahi toh dekha hai maine aapko (widens her eyes realising) maine mumma ki wedding album me aapko dekha tha...badi mumma ne bataya bhi tha mujhe aapke baare me (smiles) naksh mamu...right

Naksh coldly- fufaji...mamu main kairav aur akshu ka hu...tum sirf kartik ki beti ho...isliye tumse bhi sirf ek rishta hai...main tumhara sirf fufaji hu...aur kuch nahi

Arohi gets shocked hearing him. Abhimanyu also looks surprised but then he thought arohi deserved this.

Arohi- lekin aapne mumma ko bhi behen maana tha

Naksh- par maine use kabhi bhi naira ke barabar hak nahi diya tha...mere liye tumhari mumma hamesha se sirf kartik ki dusri biwi thi...haa par main sirat ki izzat bohot karta hu...usne meri behen ke baccho ko maa ka pyaar diya

Arohi gets upset- ofcourse...i am sorry main bhul gayi thi...actually main hi pagal thi jo aapse rishta jod rahi thi...aap mere lagte hi kya ho...the answer is nothing...and by the way aap yaha kya kar rahe hai (looks at abhimanyu and then again at naksh) oh apne damaad se milne aaye the aap...so sweet...par aap shayad bhul rahe hai ki agar bade papa ko pata chalega ki aap yaha hai toh kya hoga...aapko pata hai na

Advertisement

Naksh chuckles- tumhe kya lagta hai arohi...main tumhare bade papa se darta hu...mujhe goenkas ki power mat dikhao...jab tum paida nahi hui thi...uske bhi saalo pehle se goenkas ko janta hu main...meri behen ki shadi karwayi thi maine vaha...unke ghar ki beti se maine shadi ki thi...kartik ki vajah se ye rishte shuru huye the...aur usi ki maut par sab rishte khatam kiye the maine...kartik naira...main aur keerti...mansi amol...gayu aur samarth chachu...kitne rishte singhanias aur goenkas ke beech hai...tumhe toh pata bhi nahi hai...so u better be quiet

Arohi was about to say something when abhimanyu interrupts her.

Abhimanyu sternly- doctor arohi...ye aapki workplace hai...aapka ghar nahi...yaha mujhe aapse sirf kaam ki umeed hai...tamashe ki nahi...u get that

Arohi looks at abhimanyu angrily- hamare ghar ke matter me bolne wale tum hote kaun ho

Abhimanyu sternly- aapka senior...jo aapki laparwahi se pareshan hokar aapko second warning de raha hai...and i hope aapko pata hai yaha ke rules...yaha teesri warning ki jagah termination letter haath me milta hai...agar aap chahti hai ki main aapko vo termination letter du...toh please continue your behavior

Arohi looks at him surprised- second warning...like seriously...second se pehle first bhi aata hai...bhul gaye kya

Abhimanyu chuckles- nahi mujhe yaad hai...par shayad aap md ki seat ko bhul gayi...hai na

Arohi gets shocked.

Abhimanyu- don't think i forgot...aur mujhe laga ki aap itni intelligent toh hai ki use as your first warning le lengi

Arohi looks away.

Abhimanyu takes a step closer and speaks softly yet in a warning tone- aur ye jo tum mind games khel rahi ho na akshu ke sath...band kar do...har situation me tumne mujhse meri maa cheeni...tumne mujhse mere papa cheene...bla bla bla...band kar do...sab pata hai mujhe tum akshu ke sath kya kar rahi ho...us din bhi warn kiya tha ki akshu se door raho...aaj fir se kar raha hu...agli baar warning nahi dunga balki action lunga...tum jo doctor hone ka itna ghamand kar rahi ho...let me tell u...do minute nahi lagenge mujhe tumhara career barbaad karne me...birla hospital toh chodo...kisi charitable trust tak me job nahi kar paogi...doctor abhimanyu birla ki position medical world me janti ho na tum...agar nahi janti toh mere cabin me jo soft board hai na...vo dekh lo...mere achievements aur position acche se pata chal jayegi...ek baat yaad rakhna...tumne akshu ko jitna pareshan karna tha tumne kar liya...akshu ab meri patni hai...ab agar use tumhari vajah se zara si bhi takleef hui na toh trust me main tumse tumhari sabse pyaari cheez cheen lunga...tumhara career...and u know me...main aisa kar sakta hu...chahta toh tumhare kiye huye fraud ki vajah se tumhe jail bhej sakta tha...tumhara medical license cancel kar sakta tha...suspend kar sakta tha...par nahi kiya...janti ho kyo...kyoki meri wife tumse bohot pyaar karti hai...toh ye meri akshu ka ehsaan maano ki tum aaj bhi apne naam ke aage doctor laga paa rahi ho...i hope tum meri baat samjhogi

Advertisement

Arohi looks at him- ise samjhana kehte hai

Abhimanyu nods in no and says calmly- main tumhe samjha nahi raha hu...threaten kar raha hu tumhe...and trust me main akshu jitna accha nahi hu aur isse zyada accha akshu ko banne bhi nahi dunga

Arohi gets angry but knows that abhimanyu can do what he says specially when it's about akshara.

Abhimanyu- get back to work

Arohi leaves quietly. Naksh was amazed at how abhimanyu protected akshara. He was now sure that akshara is in good hands. He could see kartik in Abhimanyu. The same love that kartik had for naira now Abhimanyu has for akshara.

Abhimanyu looks at naksh- chale

Naksh nods. They leave the hospital.

    people are reading<Abhira ff: Dil tune chuaa>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click