《Abhira ff: Dil tune chuaa》PART 17

Advertisement

In goenka house

Kairav came back from office and saw manish waiting while others were looking tensed.

Kairav- kya hua bade papa

Manish angrily- ye toh tum batao...jab maine mana kiya tha ki koi bhi us ladki ke sath koi rishta nahi rakhega fir tum kyo gaye kairav

Kairav calmly- aapke liye akshu ajnabi ban sakti hai...mere liye nahi...vo meri behen hai...aur aapne hi sikhaya tha ki bhai behen ka rishta ek aisa rishta hota hai jo zindagi bhar badalta nahi hai...toh fir main kaise badal du...aur aaj akshu ka birthday tha...vo vaise hi aaj ke din upset rehti hai...main chahta tha ki thodi der ke liye hi sahi main use khushiya du...mujhe nahi lagta maine kuch galat kiya hai

Saying this kairav leaves. Manish fumes in anger. Arohi also gets angry.

In kairav's room

Kairav calls akshara but she was not picking up the call. Even abhimanyu wasn't picking up the call.

Kairav tensed- kamaal hai...akshu ko toh aadat hai phone switch off rakhne ki lekin abhimanyu...uska phone toh hamesha on rehta hai...fir utha kyo nahi raha...i hope sab thik ho...neil ko karta hu

Kairav calls neil.

Neil- hello...haa kairav

Kairav- neil sab thik toh hai na...akshu aur abhimanyu dono hi mera phone nahi utha rahe

Neil smiles- aur uthane bhi nahi vale kairav

Kairav confused- matlab

Neil- maine aur maa ne bhai aur akshara ke liye hotel me aaj raat ka honeymoon suite book kiya hai

Kairav- oh...main toh dar hi gaya tha...chalo accha hai...isi bahane dono thoda quality time spend kar lenge

Neil- haa

Kairav- ok...main baad me baat karta hu...bye

Neil- bye

They hang up the call.

Kairav smiles- thank god...kam se kam akshu abhimanyu ke sath khush hai...dono beeti baatein bhul kar aage badne ki koshish kar rahe hai...in dono ko bas aise hi khush rakhna bhagwan ji

Advertisement

Next morning, hotel

Abhimanyu wakes up and sees akshara sleeping like a baby in his arms. She was looking so cute. Abhimanyu smiles and kisses her nose. Akshara snuggles more into him. Abhimanyu pulls her more closer to himself and hugs her. He caresses her lips lightly.

Abhimanyu admiring her- tum itni pyaari ho akshu...kaise koi tumse pyaar na kare

Abhimanyu remembers his phone and takes it and switches it on. Thankfully there were no messages from the hospital or any emergency where he was required. He checks his mails.

Akshara wakes up and sees abhimanyu on his phone. Abhimanyu notices her movements and keeps his phone aside.

Akshara smiles sleepily- good morning abhi

Abhimanyu smiles at her- morning my love

Akshara blushes as she remembers last night and their condition right now. Abhimanyu notices it.

Abhimanyu teases her- akshu...tum kal raat ke baad bhi sharma rahi ho...not bad

Akshara blushes more- abhi...us baare me mujhse baat mat karo

Abhimanyu teases her- are kyo...kal raat meri zindagi ki sabse khubsoorat raat thi aur mujhe yakeen hai ki aisi khubsoorat raat meri zindagi me aur bhi aayegi (makes her look at him) aayegi na

Akshara hides herself in his chest. Abhimanyu laughs at her shyness.

Akshara hits him- tum bohot kharab ho abhi...mujhe pareshan kar rahe ho

Abhimanyu smiles- accha baba...sorry...nahi karunga pareshan...ab chale...tayyar ho jaye

Akshara lazily- mujhe neend aa rahi hai abhi

Abhimanyu- i know...ek baar ham ghar pohoch jaye...fir i promise main tumhe nahi disturb karunga...tum jitna marzi utna so lena...par abhi hame chalna chahiye...please akshu

Akshara pouts.

Abhimanyu teasingly- vaise mere paas ek idea hai

Akshara- kya

Abhimanyu naughtily- main tumhe tayyar kar du...i am sure kal raat ke baad koi problem nahi hogi

Advertisement

Akshara widens her eyes and hits him.

Abhimanyu- kya yaar akshu...tumhe toh ek nayi naveli dulhan ki tarah behave karna chahiye aur tum ho ki apne pati ko rijhane ki jagah maar rahi ho

Akshara blushes and gets up after wrapping herself in the blanket. She was about to go in the washroom when abhimanyu comes and lifts her. Akshara gasps.

Akshara- abhi chodo mujhe

Abhimanyu takes her to washroom.

Akshara pleads- abhi...tum jo kahoge main karungi...please abhi chod do mujhe...please

Abhimanyu makes her stand in the washroom.

Abhimanyu- yaad rakhna...jo main kahunga vo karna padega

Saying this abhimanyu leaves. Akshara sighs and closes the door. She sees herself in the mirror and smiles. She takes a bath and wears the bathrobe as she did not brought her clothes.

She comes out of washroom and see that abhimanyu has already ordered the breakfast and was waiting for her. Abhimanyu was mesmerized seeing her in bathrobe. Akshara lowers her eyes.

Abhimanyu- akshu...tumhara ghar jane ka man nahi hai kya...matlab mujhe koi problem nahi hai...ham reh sakte hai yaha

Akshara whines- abhi...main kapde le jana bhul gayi thi

Abhimanyu- accha baba thik hai...tum change kar lo...main fresh hokar aaya...fir sath me breakfast karenge

Akshara nods. Abhimanyu leaves to washroom. Akshara changes into a blue salwar suit that manjiri had packed for her. Abhimanyu too came out and they had their breakfast with abhimanyu feeding akshara romantically while akshara also feeds abhimanyu.

In birla house

Abhira walks in and sees manjiri waiting for them.

Manjiri- aa gaye tum dono...naashta Kiya na

Akshara nods- ji maa...aapne kiya naashta...aur dawai li

Manjiri nods- haa baba...maine le liya sab

Abhimanyu- mujhe hospital jana hai...main apna samaan lekar aata hu

Manjiri and akshara nods. Abhimanyu goes in his room. Manjiri looks at akshara teasingly.

Manjiri- toh kaisa raha sab...mere bete ne nikaal diye na saare dar

Akshara blushes- maa

Manjiri smiles- kya maa...maa se kya sharmana...maa toh saheli hoti hai...samjhi (cups akshara's face) meri kanha ji se ye hi prarthana hai ki tumhare chehre ki hasi aisi hi bani rahe...tu aur abhi hamesha aise hi haste muskurate raho...dekho toh zara...kal raat ki chamak abhi tak chehre par dikh rahi hai (takes her balaiya) thu thu thu

Akshara blushes and hugs manjiri happily.

Manjiri too hugs her happily. Manjiri kisses akshara's head. Abhimanyu comes and see them.

Abhimanyu takes manjiri's blessings- maa main hospital ja raha hu (looks at akshara) bye...take care

Akshara smiles- bye...tum bhi apna dhyaan rakhna

Abhimanyu nods. He hugs manjiri and whispers a thankyou in her ears and leaves. Manjiri laughs.

Manjiri looks at akshara- chalo...main tumhari madad kar deti hu...tumhare saara samaan jamana hoga na kamre me

Akshara nods. They both go in abhira's room. Manjiri helps akshara to arrange all her things.

Akshara- thank god maa...aapne help kar di...varna mujhe toh samajh hi nahi aa raha tha ki shuru kaha se karu

Manjiri smiles- aisa hi hota hai...jab nayi nayi grahasti shuru hoti hai na toh samajh hi nahi aata ki kya kare...kaise kare...aur fir kuch saalo baad usi grahasti me ham aise rum jate hai ki neend me bhi koi puche na ki ye samaan kaha rakha hai...toh bhi hame pata hota hai

Akshara laughs- main bohot lucky hu maa jo is ghar me mere sath aap hai...mujhe hamesha support karne ke liye

Manjiri- ab maa support nahi karegi toh kaun karega...main hamesha tere sath hu...tere sath kabhi galat nahi hone dungi

Akshara smiles.

    people are reading<Abhira ff: Dil tune chuaa>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click