《Abhira ff: Dil tune chuaa》PART 14

Advertisement

Next day morning

Akshara wakes up and sees abhimanyu seeing her.

Akshara- tum mujhe aise kyo dekh rahe ho

Abhimanyu- tumhare liye kuch hai...chalo

In garden

Abhimanyu brings akshara while closing her eyes.

Akshara- abhi kya kar rahe ho tum...main gir jaungi

Abhimanyu- are baba surprise hai tumhare liye

He removes his hand. Akshara was surprised seeing kairav standing there. She smiles and jumps on him happily. Kairav holds her protectively and twirls her around.

She giggles.

Kairav happily- happy birthday princess (puts her on ground and cups her face) a very happy birthday to u (kisses her forehead) hamesha aise hi haste reh (pinches her nose)

Akshara happily- bhaiya aap...yaha...thankyou bhaiya (looks at abhimanyu neil and manjiri) aap teeno ko bhi...thankyou so much...mere liye itna sab karne ke liye

They all smiles.

Akshara emotionally- thankyou bhaiya...bade papa ke mana karne ke bavjood aap yaha aaye...aur mera birthday special bana diya...mujhe toh yaad bhi nahi tha ki aaj mera birthday hai

Kairav teases her- mere sirf yaha aane se tera birthday special ho gaya na...matlab main bach gaya...ab mujhe tujhe koi gifts nahi dene padenge

All chuckles while akshara pouts.

Akshara- nahi mujhe gift chahiye...aur vaise bhi aapke gifts hamesha special hote hai...mujhe chahiye...zaroor aapne meri painting banayi hogi

Kairav smiles and cups her face- tujhe agar vo chahiye toh main teri painting bhi bana dunga par filhaal kuch aur gift hai tere liye...jo painting se bhi zyada special hai

Akshara confused- kya

Kairav takes a box and gives it to akshara. Kairav gestures her to open it. She opens it and was surprised seeing a voice recording device and a teddy bear.

Akshara confused- bhaiya ye kya hai

Others were also surprised.

Kairav keeps the box on table and then takes out the teddy from the box. He gives it to akshara and gestures her to press its nose. Akshara does it confusedly.

Naira's voice- mumma ki aankho ke taare...kairav aur akshu sabse pyaare...i love u kairav...i love u akshu

Advertisement

Akshara was shocked hearing it. Tears flow from her eyes. She looks at kairav who smiles at her.

Kairav emotional- jis picnic par mumma ka accident hua tha...vaha jane se pehle mumma ne ye record kiya tha...shayad unhe pata tha ki us picnic ke baad hamare paas sirf unki ye aawaz hi rahegi...khair aaj se ye tera

Akshara emotionally- ye sirf mere liye nahi hai...aapke liye bhi hai

Kairav smiles- janta hu...tujhe maine ye itne saalo tak nahi diya kyoki main janta tha tu ise bhi mumma ki baaki cheezo ke saath band kar degi taki aru ko unhe dekh kar bura na lage

Akshara's smile vanishes.

Kairav- par aaj tujhe de raha hu kyoki tujhe iski zaroorat hai...vaha ghar par toh jab bhi tujhe mumma ki yaad aati thi...main hota tha tere paas...yaha ye tere kaam aayega...aur main sirf mumma nahi laya hu tere liye...papa bhi hai...ek minute

Kairav takes the voice recorder and on it.

Kartik's voice- sweetie cutie...oh my beauty beauty...sweetie cutie...papa ki tu hai heart beat...sweetie cutie...mumma ko lage chahe jaise...sweetie cutie...papa ki princess hai tu...tere liye na koi rule...mumma ki lori na sunna kabhi...she is old school...sweetie cutie...cutie sweetie...oh my beauty beauty...cutie sweetie...oh my beauty beauty

Akshara was surprised hearing it. She giggles hearing it. She looks at kairav.

Akshara- papa ki rap lori

Kairav smiles- hmmm...aaj bhi kuch nahi badla...pehle bhi isi ko sunkar khush hoti thi aur aaj bhi

Akshara happily- haa toh...mere papa ne mere liye banayi thi ye lori...aur ye world ki best lori hai

Kairav- ha ha pata hai...papa ne kabhi is lori ko kisi se share nahi kiya...aur tu bhi unhi ki aawaz me sunkar khush hoti thi...tujhe pata hai jab papa ne pehli baar ye lori sunai thi na tab mumma aur unka jhagda ho gaya tha...mumma ne gusse me kaha tha ki kartik ye baby hai babes nahi

Advertisement

Akshara laughs hearing it. Abhimanyu smiles seeing her laughing wholeheartedly after a long time.

Akshara- bas bas ab aap mere papa ka mazaak mat udaao

Kairav- aaj maine tujhe mumma papa gift kiye hai...jab bhi upset ho...unhe sun lena...aur isi tarah khush hokar unhe yaad karna...mera bas chalta toh main unhe tere paas le aata par chah kar bhi main ye nahi kar sakta lekin akshu...mumma papa ne hamesha chaha hai ki ham dono hamesha khush rahe...unhone ham dono ke liye bohot kuch kiya hai...main janta hu tujhe toh naira mumma shayad yaad bhi nahi hogi lekin akshu vo tujhse bohot pyaar karti thi...tujh me na mujhe unhi ki jhalak dikhti hai...u know u are the perfect combo of mumma papa...mumma ki tarah sherni aur papa ki tarah mendak (kisses her forehead) we all love u

Akshara hugs him tightly- i love u too bhaiya...thankyou mujhe mere birthday par mere mumma papa dene ke liye

Kairav smiles. His phone rings. He checks.

Kairav- office se hai...mujhe jana padega...par main tujhse baad me milne aaunga

Akshara nods. He hugs her. Kairav goes near abhimanyu.

Kairav- meri akshu ki khushiyo ke khaatir itna sab kuch karne ke liye thankyou abhimanyu...ab mujhe confirm ho gaya hai ki jo faisla maine liya tha sabke khilaaf jakar vo galat nahi tha

Abhimanyu- thanks toh mujhe tumhe kehna chahiye...mujhe meri akshu dene ke liye

Kairav smiles. He hugs him. He meets neil and then manjiri. He leaves. Abhimanyu goes near akshara and wipes her tears. He nods in no.

Manjiri cups her face- akshu...aise nahi rote...bhagwan ne tumhe kitna pyaara bhai diya hai jise tumhari itni fikra hai...ab chalo muskurao

Akshara smiles. Abhimanyu also smiles seeing her.

Manjiri- accha ab hamse bhi toh apne tohfe lo

Manjiri takes a jewelry box and gives it to akshara.

Manjiri- akshu...ye haar na mujhe meri saas ne diya tha...jab main is ghar me bahu bankar aayi thi...aaj main ise apni bahu ko de rahi hu...aur tum na ise apni bahu ko dena

Akshara smiles. Abhimanyu too smiles.

Manjiri looks at abhimanyu- tu kya has raha hai...chal...pehna meri bahu ko ye haar

Abhimanyu nods. He takes the necklace and makes akshara wear it. Akshara blushes.

Manjiri- kitna pyaara lag raha hai ye tum par

She kisses her forehead. Akshara bends and touches manjiri's feet. Manjiri blesses her.

Neil- akshara...ye meri taraf se

Neil forwards an envelope. Akshara takes it and opens it. She widens her eyes. Abhimanyu notices that.

Abhimanyu suspicious- aisa kya diya hai tune (looks at akshara) dikhao mujhe

He takes the envelope. Manjiri and neil smile.

Abhimanyu shocked- ye kya hai

Neil- akshara ka birthday gift...aur aapko bina kisi matlab ka gift

Manjiri laughs.

Abhimanyu- maa aap has rahi hai...aapko pata tha ye

Manjiri- ha beta...maine hi kaha tha neil se aisa kuch karne ko

Abhimanyu- par kyo maa

Manjiri- kyoki beta main janti hu...pati patni banne ke baad bhi tum dono abhi tak apne beech ke faaslo ko mita nahi paye ho...main nahi janti tum dono ko kya rok raha hai par beta...har rishte ko na mazboot banana padta hai...ham dono toh bas tumhe mauka de rahe hai...koshish toh tumhe hi karni hogi

Neil- haa bhai...isliye aaj maine aapke aur akshara ke liye green avenue hotel me honeymoon suite book kiya hai

Manjiri- time se chale jana dono

Saying this manjiri leaves. Neil smiles teasingly.

Abhimanyu notices it- ho gaya na tera...ab chal bhaag yaha se

Neil runs away laughing while abhimanyu smiles seeing his antics. He looks at akshara whose head was low. He holds her elbow and makes her face him.

Abhimanyu- kya hua

Akshara nods in no and hugs him. Abhimanyu too hugs her.

Abhimanyu- sabse apna gift le liya...mujhse nahi logi

Akshara looks at him still being in the hug- mujhe toh tum mil gaye...aur ab kuch nahi chahiye

Abhimanyu smiles- par maine tumhare liye kuch kiya hai...something special for my someone special

Akshara blushes. Abhimanyu smiles.

Abhimanyu- chalo

    people are reading<Abhira ff: Dil tune chuaa>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click