《Abhira ff: Dil tune chuaa》PART 1

Advertisement

It starts when abhimanyu and akshara were in temple after confessing their love. Abhimanyu wanted to marry her right there.

Akshara- nahi abhi...ham apne parivaaro ke bina agar shadi kar bhi le tab bhi khush nahi reh payenge...tum hi batao...kya tum nahi chahte ki tumhari maa tumhe phere lete huye dekhe...tumhare bhai behen tumhari baarat me naache (abhimanyu sighs) chahte ho na...toh fir ham aisa kadam nahi uthayenge...ham dono families ko manayenge aur sabke aashirwaad se shadi karenge

Abhimanyu was about to say something when they were interrupted by a loud voice.

Voice- akshu

Akshara and abhimanyu look and find kairav standing there angrily. Akshara gets scared. Abhimanyu notices this and holds akshara's hand. Akshara looks at abhimanyu's stern face and kairav's angry face. Kairav walks near them. He looks at their entwined hands. He looks at akshara.

Kairav calmly yet sternly- tu yaha kya kar rahi hai...tujhe ghar par aaram karne ko kaha tha na

Akshara scared- bhaiya vo...bhaiya...

Abhimanyu interrupts firmly- akshu ko maine bulaya tha...uski koi galti nahi hai

Kairav looks at abhimanyu- main apni behen se baat kar raha hu abhimanyu...tumhe ham bhai behen ke beech bolne ka koi hak nahi hai...stay out of it

Abhimanyu looks at akshara who was very scared looking at kairav.

Abhimanyu calmly- i know that...please ek baar hamari baat sun lo...

Kairav interrupts- kehne sunne ke liye tumhe bohot waqt milega...pura khandaan aa raha hai yaha (looks at both of them) tum dono se sawal karne

Akshara lowers her head.

Kairav looks at her- tu neeche kyo dekh rahi hai akshu...jab itna sab kar hi liya hai toh fir ab kyo sharmana...ab toh bas sabko batana hai ki tum dono ne aisa kiya kyo

Tears flow from akshara's eyes.

Advertisement

Abhimanyu irritated- ek baar sun toh lo ham kyo yaha aaye hai...fir jo kehna hai keh lena...pyaar kiya hai hamne ek dusre se...koi gunaah nahi kiya hai

Kairav snaps at him- gunaah nahi tha lekin tum dono ki harkato ne tumhare pyaar ko gunaah ka naam de hi diya...arohi ne lakh galtiya ki hogi par use is tarah mandap par akela chodkar tumne bhi koi bravery award jeetne wala kaam nahi kiya hai abhimanyu...nahi karni thi usse shadi toh ghar aakar sabke samne mana karna chahiye tha...uski izzat is tarah mitti me milane ka kisne hak de diya tumhe (points at akshara) akshu se pyaar karte ho na tum...rishta akshu ke sath hai na...arohi se toh koi rishta nahi tumhara...toh fir kis hak se use itni takleef di tumne

Abhimanyu gets quiet as kairav was right. Akshara too feels bad.

Kairav looks at akshara- aur tu...tilak wale din se roz main tujhse puchta aaya hu ki akshu tu agar abhimanyu se pyaar karti hai toh bata mujhe...tere man me kya hai bol de...par tune nahi kaha...ek baar bhi nahi...tujhe kya lagta hai tere haath par maine mehendi se bana hua abhimanyu ka chehra nahi dekha...sagai aur sangeet me tujhe rote huye nahi dekha...akshu main tera bada bhai hu...chup khada rehta hu iska matlab ye nahi ki meri nazar tujh par nahi hai...samjhi tu

Akshara is shocked that kairav knows everything. She was crying. Abhimanyu couldn't see akshara crying and looks at fuming kairav.

Abhimanyu calmly- fine...i agree...tum sahi keh rahe ho...hamne shayad yaha aakar galat kiya par trust me ham shadi nahi karne wale the...bas bhagwan se pray karne aaye the...yakeen karo hamara...mera nahi toh kam se kam apni behen ka...vo kabhi apni family ke against nahi jayegi

Advertisement

Kairav chuckles- mujhe bhi yahi lagta tha lekin jab se tum hamari zindagi me aaye ho sab badal gaya hai...ye akshu...pure parivaar ke khilaaf jati hai sirf tumhare liye...us din bade papa ke mana karne ke bavjood tumhe bachane ke liye hospital aayi...ruby ke khilaaf gavahi dene ke liye...us din tumne mujhse pucha tha na ki akshu ne aisa kya kaha ki maine use yaha aane diya...toh suno...akshu ne kaha tha ki agar abhimanyu pyaar me badnaam ho sakta hai toh main pyaar me barbaad hone ko tayyar hu

Abhimanyu is shocked and looks at akshara whose head was low and tears were flowing from her eyes.

Abhimanyu smiles- iska matlab toh saaf hai na kairav ki akshu bhi mujhse utna hi pyaar karti hai jitna ki main usse karta hu...tumhe pata hai us aag se bhi mujhe akshu ne bachaya tha arohi ne nahi...arohi ne jhootha credit le liya tha...aur jab maa beemar huyi thi toh unke liye pooja bhi akshu ne rakhwayi thi...unke liye tel bheja tha neil ke sath...tum hi batao kairav ye pyaar nahi toh kya hai

Kairav looks at him- agar ye pyaar hamesha se tha toh fir arohi ko umeed kyo di tumne...jab akshu se pyaar karte the toh arohi ke liye shadi ka rishta kyo laye the...mujhe tumse nafrat isi din se hone lagi thi jab tumne meri ek behen ko pyaar ka ehsaas karwane ke liye meri dusri behen ke emotions ke sath khela...tumhe kya lagta hai mujhe samajh nahi aa raha tha ki tum akshu ko jealous feel karwana chahte the...use takleef dena chahte the taki vo tumse aakar keh de ki vo bhi tumse pyaar karti hai

Abhimanyu looks at kairav in surprise as he was absolutely right.

Akshara cryingly holds kairav's arm- bhaiya...i am sorry...bhaiya...

Kairav looks at her softly- nahi akshu...is baar tera sorry sab thik nahi kar sakta (cups her face) ek baar aakar kehti mujhse ki bhaiya main abhimanyu se pyaar karti hu...main sabse ladta tere liye par ab tum dono ne mere liye koi mauka hi nahi choda ki main tum dono ko defend kar saku...tum dono ke pyaar ko defend kar saku...kya kahu main sabse ki aaj in dono ne jo kiya uske liye inhe maaf kar dijiye...nahi akshu...aise nahi hota beta

Abhimanyu- aur arohi...jo hamne uske sath kiya vo galat tha...main manta hu lekin jo usne kiya vo bhi galat hai kairav...usne mujhse jhooth bola...ek nahi kayi baar

Akshara wipes her tears- haa bhaiya...aur aru ne aaj bhi jhooth bola ham sabse...vo parlour nahi gayi thi bhaiya balki kisi medical exam me appear hone gayi thi

Abhimanyu and kairav are shocked.

Kairav- what

Akshara nods- haa bhaiya aur jo paise usne aapse liye the...chalees lakh...vo kisi necklace ke liye nahi the...balki usi exam me seat khareed ne ke liye usne vo paise liye the

Kairav and abhimanyu are more shocked.

    people are reading<Abhira ff: Dil tune chuaa>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click