《Mr and Mrs Shekhawat》PART 24

Advertisement

Next day.

Sanyukta was preparing breakfast for everyone.

Randhir came to the kitchen and grabbed her arm.

"You want to get late on first day of your job" He said

"Randhir...please..." before she could speak he dragged her out of kitchen.

"Go and get ready...jaldi..." he said

Sanyukta followed his words.

"Kya pehne hum?" She thought.

"Wahi jisme tum comfortable hogi" He said

"Randhir please understand...Randhir..."

"Hum ek week badh join kar sakte hai" She said

"You are joining from today only..." "Let me select a dress for you" He said and started searching in her wardrobe.

He selected kurti and salwaar for her.

"Come on get ready fast..." He said and closed the door of the room

behind.

Dadi,Harsh and Renuka were in living area

"Aap sabse baat karni hai muje..." He said

"Bolo beta..." Harsh said

"Shayad aap logo ko aacha nahi lagega par...yeh mera aur Sanyukta ka unanimous decision hai" Randhir said

"Sanyukta ko job mili hai...as lecturer in college"

"Aur aaj uska pehla din hai...." Randhir declared.

Sanyukta joined him in next few seconds.

There was utter silence in the room until Dadi bursted in anger.

"Yeh sab kya hai Randhir?"

"Tumhe pata hai...humare ghar ki bahu naukri nahi kar sakti"

"Aur Sanyukta bahu tum...tumhe shaadi se pehle hi bataya gaya tha ki nahi" Dadi shouted.

Sanyukta looked down.

She had tears in her eyes.

"Aapko jo kehna hai mujse kahiye...." "Main chahta hu Sanyukta job kare" Randhir said

"Iss ghar ke reet rivaz bhul gaye ho tum Randhir" Dadi questioned him

"Kaise reet rivaz Dadi..."

"Saar dhakna..."

"Khana sabke saath na khana..." "Naukri karna allowed nahi..."

"Kaise reevaz hai yeh..."

"Reet Rivaz woh hote hai jo khushi de...na ki kisi ka dum ghute in reet rivaz se..." He said

Advertisement

"Randhir...." Dadi shouted

"Dadi...please..." "Main kabhi nahi chahta tha ki meri wife ek housewife banke rahe"

"Main nahi chahta ki woh pura din bas ghar ka kaam karti rahe..."

"Main chahta hu Sanyukta independent bane..."

"Job kare..."

"Dadi aajkal ki ladkiyaan itni career oriented hoti hai..."

"Aur yeh sheher bhi aaisa hai...jaha job karna zaruri hai"

"Mere office main kitni ladies hai jo married hai...par kaam aur ghar dono sambhal sakti hai"

"AUR SANYUKTA BHI YEH KAR SAKTI HAI" "WOH GHAR AUR JOB DONO EK SAATH HANDLE KAR SAKTI HAI"

"Aur Dadi...yeh koi office main kaam karne nahi ja rahi..."

"Yeh college main lecturer hai..." "Students ko padhayegi...isse better job ho hi nahi sakti..."

"Aur mere jaise 10-12 ghante isse bahar bhi nahi rehna padega..." "Shaam ko 4 baaje ghar bhi aajayegi..."

"Muje mehsoos nahi hua...par Sanyukta ne bohot kuch sacrifice kar diya hai humari shaadi ke liye"

"Mere liye..."

"Humare family ke liye..."

"Aab main usse aur zyada sacrifice nahi karne dunga"

"Woh young hai,educated hai...capable hai Dadi..."

"Uske bhi kuch sapne hai..."

"Jisko pura karne ka haq usse hai..." Randhir said

"Toh aab yeh ghar iske paiso se chalega..." Dadi said

"Nahi Dadi...ghar toh mere paise hi chalega..."

"Sanyukta ka paise...hum humare ...hum dono ke jo sapne hai...uske liye bacha ke rakhenge" Randhir said

"Aur yeh aapke liye...alag hai" "Humare liye mere paise...Sanyukta ke paise...ek hi hai..." Randhir said

"Aur kal ko baache honge tab kya karogi?" Dadi roared at Sanyukta.

"Baache ke baare main...humne socha nahi hai...aur aage kuch dino tak nahi sochne wale..."

"Koi jaldi nahi hai Dadi..."

"Sanyukta sirf 23 saal ki hai..."

Advertisement

"Usse koi bhi iss baare main force nahi karega..."

"Koi bhi nahi..." Randhir stated his point.

"Mere ghar ki bahu ghar ki dehleez paar kare yeh muje manjoor nahi" Dadi shouted again in anger

"Aur meri patni...ek housewife banke baithe...aapne sapne sacrifice kare...yeh main bardast nahi karunga..." Randhir said

"Dadi...kal kisne dekha hai" "Kal ko aagar meri job chali jaye...ya muje kuch hojaye...mera baad Sanyukta ko kisi aur pe dependent nahi rehna padega..."

"Main usse independent banana chahta hu"

"Woh ghar pe pura din akeli hoti hai" "Kya karegi pura din ghar pe..."

"Aur Dadi...jitna khayal woh mera iss ghar ka rakhti hai...koi nahi rakhta..." "Please samajne ki koshish kijiye..." "Agar meri koi behen hoti...usse job karni hoti...toh aap kya karte" Randhir said

"Harsh...Renuka...tum dono chup kyu khade ho...samjao isse..." Dadi said

They both kept mum.

"Come on Sanyukta..." "We are getting late...lets go..." Randhir said

"Randhir..." "Par..."

"Chalo Sanyukta..." Randhir raised his voice.

Sanyukta touched Renuka and Harsh's feet.

They blessed them.

"All the very best Sanyukta..." Harsh said

"I am proud of you Randhir..." Harsh said

"Kash main bhi...Renuka ke liye stand le pata...jaise tumne aaj Sanyukta ke liye hai" "I am very proud of you..." Harsh said

TBC

Thanks for reading

Please leave your comments

    people are reading<Mr and Mrs Shekhawat>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click