《Rebirth : Once Again birth Of Love》My story

Advertisement

(Hello friends how are you first of all I'm sorry for not updating because I was confused about this story line but I'm now clear. And guys I'm presenting the female protagonist skin colour brownish type .and now enjoy the story.)

Continue : Ankita POV :-

Jab maine papa ko bataya tab Woh bohot khush hue pur main jaanti thi ki unke pas paise nhi hain mujhe Mumbai bhejne Ke liye. Isliye papa ne decide kiya ki Woh kisi se paise udhar mangenge ,maine unhe bohot mana kiya pur unhone meri baat ek baar bhi nhi mani aur Woh chale gaye apne ek dost Ke ghaar. Woh bohot der tak nhi aye, main thodi der Ke liye bathroom gayi thi aur jab bahar ayi maine dekha ki mummy ro rhi thi. Maine unse pucha tab unhone bataya ki papa ne unke dost Ke samne girgiraya tabhi jakar unhone paise diye ,mera toh khoon khol raha tha Yeh sab sunke but mujhe awaz uthne ki izazat nhi thi.

Aur Aap sab ko kya lagta hain ki Yeh pehli baar hai nhi balki inn sabki Hume adat ho gayi thi ki humare Sath kya hone wala hai Hume koun khari khoti suna ne wala hain. Yeh paiso ki tangi humare ghar par tab se hui jab se papa aur mummy ne mashi ki shadi karwai thi, ghar me aur log thee par mummy badi behen thi Isliye sab logo ne shadi ki puri zimmedari mummy Ke kandho par daal diya tha aur tab main 10th standard me thi aur mere pas kitab nhi thee aur mummy ne tabhi se dusro se udhar manga tha aur papa ki chutti khatam ho gayi thi par Woh nhi gaye shadi Ke karan Isliye unki 2 mahine ki salary Kaat di gayi thi aur tabhi se humara bura din shuru ho gaya tha. Aur papa jab army se retire ho gaye thee tab unhone akar ghar bana diya gaon me par ghar banate waqt aas pas Ke logo ne aur unn mazdooro ne papa ko dhoka dekar unse Jyada paise Mar liye thee. Naa Jane mummy aur papa ko aur kitne logo Ke samne jhukna hoga mere karan kyunki kahi na kahi Yeh sab meri bhi jid Ke karan hua hain. But life itni easy nhi hain mummy jab papa se shadi karke nayi ayi thi ghar par tab papa bohot hi garib the aur mummy ko gaon wale pasand nhi karte the aur dada ji Ke Jane Ke baad unki life aur bhi kathin ho gayi thi kyunki tab mummy par gaon Ke mard log unka picha karte rehte the aur papa unke saath nhi rehte the Woh bahar rehte the Isliye papa mummy aur bua ko apne Sath hi le gaye Waha se. Aur iss Tarah main thodi rajasthan, Delhi aur aise kayi jagah se belong karti hoon kyunki wahi mera Bachpan tha. But meri yaha tak ki journey bhi asan nhi thi Kyunki mere janam Ke waqt mera rang Gora nahi tha aur mera nose bhi achi nhi thi Isliye sabhi rishte daro Ke maan me mere bare Yeh bhao aa gaye the ki dekhne main achi nhi hoon Kali hoon aur Yeh sab taane maine apne sabhi rishte daro se sun chuki hoon yaha tak ki meri khud ki badi Maa se . But mujhe meri mummy ne , papa aur bua ne mujhe apne Dil se apnaya aur mujhe inn sab tano se koyi fark nhi padta kyunki abb main apne mummy, papa aur mere bhai ke liye kuch karna chahti hoon aur aisa din bhi ayega jab sab log jinhone bhi Hume dukh pahuchaya hain Woh humse maafi mangenge kyunki abb har koyi Hume bhul Chuka hain.

Advertisement

Kuch iss Tarah hai meri life.

End of POV.

***********************************

    people are reading<Rebirth : Once Again birth Of Love>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click