《Akshat Aur Guddan Ki Atrangi Kahaaniyaan》💛SHIKAYATEIN 💛

Advertisement

Guddan was in kitchen...She was making tea for her..Just then Daadi came there searching Guddan...

Daadi-Guddan Beta!!

Guddan-Maa!!Aap yahaan???Kuch chahiye tha kya aapko???Humein awaaz de deti na!!!Aapne kyun takleef uthayi?!!!

Daadi-Nahin,Beta!!Main toh tujhe hi dhoondh rahi thi!!!Tujhse baat karni thi!!

Guddan-Ji,Maa!!!Kahiye na..Kya baat hai!!??

Daadi-Tu mere saath kamre mein chal zara!!Aa jaa!!

Guddan-Ji!!!

They both went to Daadi's room..Daadi sat on the bed and indicated Guddan to sit..

Guddan-Ji,Maa!!Batayiye kya baat hai!!??

Daadi-Beta!!Agar tujhse kuch puchoon toh sach sach batayegi!!??

Guddan-(confused)Haan,Maa!!Kyun nahin!!Aap aisa kyun keh rahin hain!!??

Daadi-(holding Guddan's hands)Beta!!!Jab se tu iss ghar mein,mere parivaar mein aayi hai tab se mere iss ghar mein rang hi rang bhar gayein hain!!Tune apne atrangi andaaz se iss ghar ko khushaal kardiya hai!!Tu iss ghar ka saubhagya hai,Beta!!! Mere Lalla ke liye,iss parivaar ke liye tune bahut kuch kiya hai!!Par shayad hum tujhe tere hisse ki khushi nahin de paayein hain!!!

Guddan-Maa!!Aap aisa kyun keh rahin hain!!??

Daadi-Haan,Beta!!!Aaj mujhe bolne de,mat rok!!Beta!!Tune humesha iss parivaar ke baare mein aur mere Lalla ke baare mein socha hai!!Woh sab kuch kiya hai jo iss parivaar ke hit mein raha hai!!Humesha hum sabko pyaar diya,khushi di!!!Par shayad hum tujhe badle mein woh pyaar aur izzat nahin de paayein hain!!!Tu iss ghar ke liye baar baar apne jaan par khel gayi!!Kitne kurbaaniyan di!!Par humnein,na jaane kitni baar tera dil aur bharosa toda hai!!Pehle bahuon ne tujhe Saas ka maan samman nahin diya!!Lalla ne tujhe apni patni ka darja nahin diya!!Phir jab Antara aayi,toh uss par andha vishwaas karke humnein tujhpar bharosa nahin kiya!!Tujhe kharikhoti sunayi!!Tera dil toda!!Tera saath nahin diya!!Phir Revti ki nadaani ki wajah se tune itna kuch saha!!Phir Alisha ki nadaaniyaan!!Tab bhi humne tera bharosa nahin kiya jab Alisha ne Vikrant par jhootha ilzaam lagaya tha!!Vikrant ne tujhe maarne ki koshish ki!!!Phir uss Antara ne wapas aakar teri zindagi ko tabah kardiya!!Merr Lalla ne bhi tere pyaar aur teri mamta par sawaal uthaya!!Kitna galat kiya tere saath!!Kitna kuch saha tune inn 5 saalon mein!!Par phir bhi tune uff tak nahin kiya!!Humesha haste haste har dard ko bardaasht kar diya!!Apna ghar parivaar tak chod diya!!Ab jaake tujhe sukoon aur chain ki saans lene ka mauka mila!!

Guddan-Maa,hum iss baare mein baat kyun kar rahein hain!!Yeh humara ateet hai!!Isse bhul jaane mein hi sabki bhalayi hai!!Hum kyun gade murdde ukhad rahein hain!!Humein iss baare mein baat nahin karni hai!!

Daadi-Beta!!Main jaanti hoon!!Inn baaton ka zikr kar ke dard ke alawa kuch nahin milega!!Par,Beta!!Tu bhi toh insaan hai!!Tere bhi toh jazbaat hain!!Tujhe bhi toh hum se shikayatein hongi na!!Musibatein tal gayi hain,musibaton ki wajah bhi!!Par ab bhi agar kuch bacha hai toh woh hai tere dil ki baatein!!Haan,Meri bacchi!!Jab tak dil ka bojh halka na kar diya jaayein toh sukoon nahin milta!!Dil bhari sa lagta hai!!Isiliye bol rahi hoon,beta!!Apni saari shikayatein,saari bhadaas nikal de,baant mere saath!! Main jaanti hoon,tu isliye nahin bol rahi hai taaki kisika dil na toote!!Mahol na bigde ghar ka!!Par,Beta!!Jab tak tu dil ka dard nahin baantengi mann halka nahin hoga!!Maa hoon main!!Apne bacchon ke dil ko acche se samajhti hoon!!Bol,bacche!!Apni Maa ke saamne saara dil kholkar rakhde!!

Advertisement

Guddan decided to do so..She started..

Guddan-Sahi kaha aapne,Maa!!Shikayatein toh bahut hain!!Par samajh mein nahin aata kahaan se shuru karein!!Pehle jab bahuon ne aur Jindal Sahab ne humein nahi apnaya tha tab bura toh laga tha!!Bahut bura laga tha!!Par humne khudko sambhal liya kyunki hum jaante thein ki humein unke dilon mein jagah banane mein waqt lagega!!Par,Maa!!Humare sabr ka baandh kamzor tab pada jab aapne aur Jindal Sahab ne humein acchi tarah se jaanne ke bawajood bhi humpar bharosa nahin kiya!!Maana ki aap Antara ko acche se jaante thein aur uspar aapko bharosa tha jo ki jayez hain!!Kyunki use aap saalon se jaante the par humein chand mahine bas!!Par bharosa toh humne bhi kamaya tha na!!Aapne soch bhi kaise liya ki aapki Guddan apne faayde aur audhe ke liye galat ka saath degi aur kisiko nuksaan pahunchane ki koshish karegi!!Bahut bura laga tha yeh dekhkar ki humara pyaar aur bharosa kamzor padgaya tha uski saazishon ke saamne!!Humein bahut bura laga tha jab aapne humara saath chod diya!!Apni Gudiya par bharosa nahin kiya tha aapne!!Jab ki aap hi hain jo har kadam par aankh band kar ke humara saath deti hain!!Phir bhi humne sab kuch bhulakar phir se sacchd dil se aap dono ko maaf karke apna liya kyunki galati puri tarah se aapki nahin thi!!Alisha ke waqt bhi humpar bharosa na karna jaayez tha kyunki ek pita kabhi nahin soch sakta ki uski beti itna bada galat kadam utha sakti hai badle ki aag mein!!Vikrant ne bhi humein hi nahin balki poore parivaar ko apna nishana banaya tha!!Par humare sabar ka baandh toh tab toota jab wapas uss Antara ki burayi jeet gayi aur humara pyaar haar gaya!!Pehle toh humari baat par bharosa nahin kiya Jindal Sahab ne aur uss Antara ki sacchai jaanne ke bawajood uske jhooth mein phas kar usiki madad li humare bhalai ke liye!!Aur phir,humein ek patni aur ek maa ke roop mein acche se pehchaanne ke bawajood unhone hum par sawaal uthaya!!Humein galat samjha humpar bharosa nahin kiya!!Humara haq uss aurat ko de diya jisne humesha humari khushiyon ko aag laagayi!!Ek kaatil hone ke bawajood iss baat par bharosa nahin kiya ki usne apni beti ka khoon kiya hai!!Aur apni Guddan ko acchi tarah se jaante hue bhi yeh maan liya ki hum apne hi bacche ko.....(cried hard)!!!Humein bahut bura laga uss din!!Humare sabar kaa baandh toot gaya uss din!!Unka gussa unke pyaar par haavi ho gaya!!Uske baad bhi ek baar bhi hunein dhoondhne ki koshish nahin ki!!Ulta humein jalane ke liye jhoothi shaadi ka natak kiya!!Sirf humein hi nahin,poore parivaar ko yahaan tak ki khudko bhi takleef dete rahien!!Barbaad kardiya khudko!!Yahaan tak ki bahuon ne bhi humse sawaal kiya ki humne haar kyun maan li!!Ek baar ke liye bhi khud ko humari jagah rakhkar socha hai!!Kya hum khushi khushi chodkar gayein the aap sab ko!!Nahin na!!Hum hi humesha sab ko kyun samjhein!!Koi humein kyun nahin samajhta!!Hum hi humesha rishton ko jode rakhne ki koshish kyun karein!!Kya baaki sab ka koi farz nahin banta!!Hum hi humesha apne rishton ke liye kyun ladein,samjhauta karein!!Are uss din toh aapne aur baaki sabne aankh moond kar humara saath diya!!Par Jindal Sahab!!Humse beintehaa mohabbat karne ke bawajood humara saath chod diya!!Kyun,Maa!!!Kyun bharosa nahin kiya unhone hum par!!Maa,hum aur nahin lad saktein!!Bachpan se lekar aaj tak sabse ladte hi aayein hain,yahaan tak ki khud se bhi!!Ab aur himmat nahin hain hum mein!!Hum haar jaayenge,Maa!!!Hum haar jaayenge!!Aur na ho payega humse yoon ladna!!Na ho payega!!

Advertisement

Guddan cried bitterly,keeping her head on Daadi's lap.Daadi felt bad for her daughter and felt guilty for her pain and sorrow..She kissed her forehead..She kept caressing her hairs..After a lot of crying,being exhausted Guddan slept there..Daadi took care of her..Just then she looked at the door..Akshat was standing there with tearful eyes..He had overheard the entire conversation..He felt very guilty..He couldn't face Guddan and before Daadi could stop him,he left the place..Daadi made Guddan sleep on the bed properly and went behind Akshat..

Akshat was crying near swimming pool..He was remembering all his deeds that had pained his Guddan..That had made his Guddan cry..Daadi came there to console him..Upon seeing her,he immediately hugged her and cried his heart out..Daadi did let him cry and release his sorrow..

Akshat-Maa!!Maine kitna galat kiya hai apni Guddan ke saath!!Uske dard ki wajah sirf aur sirf main hoon,Maa!!Usne kya kuch nahin kiya mere liye iss parivaar ke liye!!Par maine badle mein use dukh aur dard ke alawa kuch nahin diya!!Waada kiya tha ki uski zindagi khushiyon se bhar dunga..par maine toh use aansuon se bhar diya!!Kitna bura hoon main!!Pyaar kiya par bharosa nahin!!Kabhi kabhi sochta hoon ki Maine use deserve hi nahin karta..Par kya karoon!!Pyaar bhi toh bepannah karta hoon naa,Maa!!Aapne dekha na!!Uski bhalayi ke liye use khud se door karne ki koshish ki bhi toh mera kya haal ho gaya!!Toh kaise karta use apne aap se door!!Main ek accha pati nahin ban paya,Maa!!!Apna Patidharm nahin nibhapaya main,Maa!!!Dekhiye na!!Yahaan tak ki maine ek baar bhi uske dil ka haal jaanne ki koshish nahin ki maine!!Ek baar bhi use encourage nahin kiya ki woh apna mann halka kare mere saamne!!Itna nakamyaab hoon main,Maa!!

He cried vigorously..Daadi kept consoling him..

Daadi-Beta!!Galati hum sab se hui hai!!Par us galati ko baar baar yaad karne ke bajay agar use sudharne ki koshish mein lag jayenge na,toh apni Guddan ko saari khushi de paayenge jiski woh haqdaar hai!!Haan,Beta!!Aise haar maan lene se kuch nahin hoga!!Balki koshish kar use saari khushiyon se bhar dene ki!!Use itna pyaar de ki woh saare gum bhuljaye!!

"Maa sahi keh rahi hain,Jindal Sahab!!"

Daadi and Akshat turned to see Guddan standing there..Guddan's sleep was disturbed and she searched Daadi..She reached pool area while searching her and found the mother-son duo there..She overheard the entire conversation..She was very emotional..She couldn't see her Jindal Sahab being so vulnerable..

Guddan approached to her Jindal Sahab..

Guddan-Maante hain ki aapse galatiyaan hui hain!!Aapne humein bahut rulaya bhi hai!!Par humari khushi ki wajah bhi sirf aap hi hain!!Hum aaj jis muqaam par hain uska credit aapka hai!!Agar aapne hummein woh khoya hua confidence na jagaya hota,toh shayad aapke bina bhi hum kabhi itne confident aur kaamyaab nahin bane hote!!Aapko pata hai,humare career ke shuruaat se hi jab bhi koi problem aayi,humne humesha aapko yaad kiya!!Jaise aapko yaad karte the saari pareshaniyaan khatam!!Jo hua use bhul jaayiye!!Ab aapki punishment yeh hai ki aap humein dher saara pyaar aur khushiyaan denge!!Humari wishes poori karenge!!Samjhein!!!

Akshat and Daadi chuckled at her sweet talks..

Akshat-Jo hukoom,Mere Aaka!!

Daadi-Haaye meri bacchi!!Itne bhaari maahol ko bhi apni baaton se halka kar hi leti hai na tu!!Hmmm!!

She pulled her nose..Guddan chuckled like a kid..The trio shared a family hug..Daadi was very happy seeing her children happy..

Hello hello hello!!!Here is my latest update!!I hope you all will like this!!I am so so sorry for making all of you wait for my story!!Par kya karoon!!Koi idea hi nahin aa raha tha!!Dimaag khali ho gaya hai mera!!Bahut bahut sochne ke baad yeh idea aaya!!Upar se cousins ko bhi time de rahi hoon!!So scope hi nahin sochne ka!!Apne ghar mein waqt milta tha!!Yahaan mil hi nahin raha khali waqt!!Jab dekho masti mazaak aur games!!Aap sab please please please suggest kijiye na ideas!!Mere kuch ideas previous comment box mein hain!!Unhein dekh rahi hoon!!Par aap sab naye ideas bhi dijiye please!! Please vote and comment!!Share your ideas!!Stay safe and stay at home!! Thank you so much 😊.....

Regards.

Aradhana☺️..

    people are reading<Akshat Aur Guddan Ki Atrangi Kahaaniyaan>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click