《An Akshan FF- Sauda(deal of love)》Chapter 6
Advertisement
(Akshat's voiceover)
Lagbhag 15 saal pehli ki baat hai... maine Antara Mehta se shadi ki thi. Mai usse bohot pyaar karta tha. Vo bhale hi mujhse bohot pyaar na karti ho par, meri khushi ka dhyaan humesha usne rakha. Us vakt mai ek company me job kar raha tha. Use lagta tha ki badi company me job hone ki vajah se, ghar me bohot paisa aata hoga. Par Aisa nahi tha, mai imandari se job karta tha isliye, salary ke alawa mai kuch nahi lata tha. Antara ko paiso ka bohot shauk tha, vo unhi khayalo me khoi rehti thi....
Vakt gujarta gaya... hume rajesh aur nisha jaise pyare 2 bacche hue. Mujhe laga dhire dhire Antara ke dimag se yeh amiri ka bhoot utar jayega..... Vo humare baccho ko bhi amiron ki tarah behave karne ke liye kehti rehti thi...Uski demands badhne lagi... par mai uske shayad hi koi shauk pure kar paya. Is baat ko lekar ghar me jhagde hone lage...
An- Akshat, yeh imandari ki naukri karne se kuch nahi hone vala. Tum jante bhi ho tum jitne paise late ho, utne me mai mushkil se ghar ka kharcha nikal pati hu. Are baccho ki bhi toh iccha hoti hogi, nayi nayi chize lene ki.... Par hum unke liye utna bhi nahi kar pate.....Aise humare ghar me khushiya kaise ayengi....
Aj- Antara paisa hi sab kuch nahi hota... Aur humare baccha samajdar hai.. vo bekar ki jid kabhi nahi karenge...Vo jitna milta hai usme khush hai......
An- Hota hai....paisa hi sab kuch hota hai.... sirf paiso se hi ghar me khushiyan aa sakti hai.... Bacche jid nahi karte toh kya kabhi unki koi iccha puri karni hi nahi hai kya....
Aj- Dekho mai is baat par aur behes nahi karna chahta... tum jaldi se khana laga do....
An- Ha ha lagati hu... vaise bhi is ghar me meri koi sunta kaha hai..... Rajesh...Nisha.... chalo aao khana laga diya hai...
R.N- Aa rahe hai ma.....
An- Kitni baar kaha hai tumse... mujhe mummy kaha karo..... vo sunne me bhi amiro jaisa lagta hai....
R,N - Ha mummy.....
After rajesh and nisha have their food they go to sleep..... Antara is still upset...
Aj- Tumhara mood abhi bhi kharab hai.... Chodo na ab...
An(sobbing lightly)- Tumhe kya jata hai bolne me.... vaise hi tum aapne vaade tod dete ho....Pichle hafte hi, tumne vada kiya tha ki sab milkar movie ke liye jayenge... mai aur bacche tayar hoke intajar karte rahe.... maine kitni shan se padosiyon ko kaha tha, mera pati mujhe multiplex vale theatre leke jayega... par kya hua, tum us din, baki dino se jyada late aaye.... pata hai sare padosi has rahe the mujhpe..
Aj- Par tumhe unhe ye batane ki kya jarurat thi?
An- Are kya jarurat thi matlab..... jab maine unhe yeh bataya toh unke chehre dekhne layak the...unhe mujhse jalan ho rahi thi.....
Aj- Sirf unhe jalane ke liye , tum sare pados me dhindhora pit rahi thi?
An- Dekho baat ko mat palto... tum samajte kyu nahi...
Aj- Bas bas bas, sab samaj gaya mai... ab sone do kal office bhi jana hai.....
Advertisement
An- Ha ha, vaise bhi tumhe aaj kal meri baate sunna kaha accha lagta hai....
This senario keeps on repeating every second day....
(Voiceover)
Ek din antara ghar pe nahi thi.... aur baccho ko bhook lagi thi.... vo intezaar karte thak gaye aur mere pass aa gaye....
R- Papa bohot bhuk lagi hai, mummy kab aayegi..
Aj- Mujhe nahi pata vo kab aayegi... ghar me khana nahi banaya kya....
N- Nai papa, kuch bhi nahi banaya.... Hum kuch leker aaye kya bahar se....
Aj- Are bahar jane ki kya jarurat... mai banata hu khana( and he starts going to kithcen)
R&N(following him)- Papa aapko khana banana aata hai...
Aj- Phir... tum dono ko papa ke hath ka khana dekhna bohot accha lagega...
R&N- Yipeeee!!!!
Akshat makes food for them and they love it...
N- Wow papa , ye toh bohot badhiya bana hai...
Just then antara comes back..
An- Yeh sab kya ho raha hai....
R- Dekho na mummy papa ne humare liye kitna badhiya khana banaya....
An- Kya.... matlab ab tumhe bhook nahi hai.....
N- Papa ne banaya hua khana to itna tasty tha, maine to bhar pet kha liya....
Antara throws the bag in her hand and goes from there angrily...
N- Yeh mummy ko kya hua...
Aj- Tum dono jau khelo, mummy ko mai dekhta hu......
Akshat goes inside.....
Aj- Kya hua antara... naraj kyu ho tum...
An- Mai naraj hu kyunki tumne meri sari mehnat bekar kar di...
Aj- Kya matlab.....
An- Mai pechle kai maihno se paise bacha rahi thi... mai hum sab ke liye top quality ka chicken lane gayi thi... pata bhi hai vo kitna mehenga hota hai... ghanto tak line me lagi thi mai... aur tumne aur baccho ne khana kha bhi liya....
Aj- Are naraj kyu hoti ho... raat ko chicken bana lena.... Chalo ab gussa thuk do aur khana kha lo.....
Antara haves food and at night makes chicken.At dinner....
An- Kaisa bana hai....
R- Bohot accha bana hai mummy......maja aa gaya......
N- Ha mummy, bohot accha hai.... Par papa ke hath ka bana khana bhi badhiya tha...
R- Vo taste to abhi bhi meri jaban par hai....
N- Papa aap apna restuarant kyu nahi kholte.....
R- Ha papa, bohot famous ho jayega... fir job karne ki jarurat nahi hogi....
Aj- Vaise mera bhi man hai aapna ek restuarant kholne ka...
An- Bilkul nahi... business me kuch nahi raha hai... naukri hi acchi hoti hai , Har mahine ghar pe paise aane ki gurantee hoti hai..... aur aapko aurto ke kam karne ki koi jarurat nahi hai......
Akshat feels sad hearing this......
(Voiceover)
Yahi chalta raha, meri to vo ek nahi sunti thi, magar mere sapno ko bhi kabhi usne support nahi kiya......Ek din mai kaam se late ghar ja raha tha....ghar thodi hi dur par tha isliye paidal jane ka socha.... vaha andhera tha.... aur mujhe tab ek ladki ki chillane ki avaj sunai di..... maine jake dekha to... koi admi ek ladki par jabardasti karne ki koshish kar raha tha.... Maine jake us ladki ko bachaya.... aur use sahi salamat ghar tak choda...
Aj- Lo yahi pe hai na tumhara ghar....
Advertisement
Ladki- Ha , thank you so much , agar aaj aap vakt pe na aate to (starts crying)
Aj- Are shant ho jao... kuch nahi hua thik hai sab... namm kya hai tumhara..
Ladki- Mera nam Guddan Gupta hai...
Aj- Accha, par tum itni raat ko vaha kya kar rahi thi...
G- Mai ek architect hu, vo jo admi tha na , usse meri shadi tai hone vali thi, perv nam hai uska. Vo mujhe office se pick karne aaya tha, usne sharab pi rakhi thi... isliye maine usse ghar jane ko kaha.. to vo mujhpe jabardasti karne laga.... mai baghte baghte gir gayi aur usne mujhe pakad liya... par uski vakt aap aaye aur.....
Aj- Thik hai thik hai, ab please roiye nahi... aap apne ghar pe sab kuch sach sach bata dijiye... aur agar kabhi bhi meri help lagi to ye mera card hai... aap mujhe contact kar sakti hai...
G- Thank you so much...
Aj- Accha ab mai chalta hu....
Here guddan in present remembers everything, and goes into flashback when she reaches home....
Re- Are di , kaha thi aap , pata hai hume kitni chinta ho rahi thi aapki...
K- Ise to shauk hi hai, hume tension dete rehna... taki hum stress ki vajah se mar jaye ek din..
B- Bas karo.... guddan kaha thi tum.. aur ye chot kaise lagi..
K- Ha ha ab koi alag bahana ya kahani sunaygi yeh..
B- Tum chup rahogi jara.. revti first aid box le aao... guddan tum batao kya hua...
Guddan narrates everything that happened, and also abut akshat..
B- Bhala ho us insan ka jisne tumhari jaan bachai...
Later revti finds guddan lost in her thoughts...
Re- Kya baat hai di, kya soch rahi ho...
G- Chutki... vo admi jisne mujhe bachaya ... uska chehra meri ankho ke samne se hat hi nahi raha....
Re- Di kahi appko.... unse pyaar to nahi ho gaya....
G- Shayad.. aisa lag raha tha unke sath mano ye vakt yahi ruk jaye....
Re- Oh ho di... ab jyada ho raha hai... aap unse ja kar milti kyu nahi... unhi aapne dil ki baat bata dijiye....
G- Ha yahi karti hu.....
Next day, she goes to a shop and buys a recorder.... then she records her feelings in it and sends it to akshat's house.... Antara recieves it... but does'nt open it... When akshat comes back home... they listen it together... Antara gets angry listening to it and throws it away...
An- Himmat to dekho is ladki ki.. ek shadi shuda mard ke piche padi hai... Kal hi mai iski akal thikane lagaungi....
Next day Guddan recieves her tape back, as she hears it she realises that he is married and also has kids... Se gets upset and stops eating food .. she remains lost in her thoughts... her dad and revti start worring for her... they come to know about whole truth.. but can't do anything.... Kaushalya gets frustrated due to this... One day kaushalya's brother Karan visits them...
Ka- Kaisi ho behna... yeh ghar ka mahol aisa kyu hai....
K- Kya batau bhai.. us guddan ne nak me dam kar rakha hai... pehli aapni maa ko nigal gayi aur ab mujhe khane par tuli hai....
Ka- Hua kya hai batao to sahi..
Kaushalya tells him everything...
Ka- Kya nam bataya tumne... uski biwi ka...
K- Antara Jindal... kyu....
Ka- Kya ye vahi antara hai....
K- Kaun?
Ka- Are maine tumhe bataya tha na , mere dost ka bhai jo mere liye bhi bhai jaisa tha... use antara nam ki ladki ne pyaar ka jutha natak karke paise nikale aur fir chod diya... us bechare ko sehen nahi hua aur usne suicide kar li..... bas..... agar ye vahi antara hai, to ab mai ise nahi chodunga....
K- Kya karoge tum bhai....
Ka- Ek plan hai.... mai us antara ko paiso ka lalach dikhata hu.... par uske liye use guddan aur uske pati ke shadi ke liye ha kehna hoga.... Vo ha kahegi to mai use 5 crore dunga... aur is bare me kisi aur ko pata nahi chalna chaiye...
K- Par ye karne se kya fayda....
Ka- Do fayde hai.... ek vo guddan is ghsr se chali jayegi... aur agar paise leke unhone ise chod diya to tum bhi usne mat lena ye kehke ki usne aapni marji se kiya hai ye sab... aur dusra fayda ye mai us antara ko barbad kar sakta hu...pati ko chodne ke baad bhale hi paise ho, par vo kahi ki nahi hogi...paiso ko kharch karke vo kangal ho jayegi... yani...
K- Ek tir se do nishan...
They both laugh like devils....
Next day when antara is coming back from market a man stops her...
An- Are kaun ho tum, kya chahiye?
Man- Kya aap ka nam antara jindal hai?
An- Ha hai to...
Man- Chaliye humare sath.. humare boss ko aapse baat karni hai...
Antara goes there..
Ka- Aaiye Mrs.Jindal, baithiye... Maine suna hai koi ladki hai guddan nam ki, use aake pati se shadi karni hai...
An-Ha hai, to usse aapko kya...
Ka- Aapne unki shadi ko ha nahi kaha?
An- Mai pagal hu jo aapne hatho se aapne pati ko kisi aur aurat ke hath me dedu?
Ka- Aapko ha to karni padegi...
An- Main kyu ha kahu , aur aap hote kaun hai ye batane vale?
Ka- Mai kaun hu ye jaruri nahi hai, agar aap is shadi ko ha kahengi to main aapko 5 crore rupaye dunga....
An- 5...5..5 crore????? Aap sach keh rahe hai?
Ka- Ha aap ha kahiye aur shadi hote hi 5 crore aapke... aur use lautane ki bhi jarurat nahi.... ye raha us baat ka agreement....
Antara reads it, and is shocked....
An- Agar aisi baat hai to mai is shadi ko ha kehti hu....
Ka- Good, ek aur baat, is contract ke bare me na guddan ko pata chalna chahiye na tumhare pati ko.. ye baat sirf humare bich rahegi....
An- Thik hai, manjoor hai mujhe....
Ka- Thik hai to in dono copies par sign kijiye.....
Antara signs and goes home to convince akshat, and here karan laughs as his plans is getting succeeded....
Antara comes home and tries to convince akshat that he should get married....
Advertisement
Origin of Chaos (Rise of Anarchy Book 1)
A stream of cataclysmic incidents. A tide of horror and sadness interspersed with small moments of light. What drives Nyx forward? Is it the need for revenge that haunts his dreams? Is it his beloved comrades he leaves behind, with the promise of returning? Is it the demons ravaging Earth, his homeworld he abandoned over five-hundred years prior? When Nyx passes through realms in his return home, Chaos builds, and the balance is shifting. Unwittingly he becomes both its catalyst and harbinger. This is his story. Note from Author: Things have come up irl so I have had to put the story on a (hopefully) short hiatus.
8 100The Planetfall Generation
A colony ship is sailing through space to an unexplored planet. Shocking data sent through by a few lucky probes launched this quest to the far side of the galaxy. In these images, gargantuan beasts, breathtaking vistas and unbelievable flora crafted by an unknown energy filled the land. The fauna and flora had the magical ability to bend the laws we humans so believed in. The discovery which took it from dream to action was the conjecture from scientists, that humans could also gain these powers. Thus began a new era; After Eden. --------------------------------------------One chapter or more per day. Extra Chapters all week 14.8-19.8 Please enjoy. Vlue
8 115KOREAN COUPLES UZZLANGS❤
pics of couples (asian couples) for ur amino accounts or authestics ;)
8 157Ninja Style || Human!TMNT x Reader
"They're the most popular, most TALENTED, boys in school. Why would they EVER want someone like you?"For the most part, you're an extremely normal high school girl. You focus on your studies. You have two best friends. You have your ever-so-popular enemies. Normal.Your Junior year changed everything.Four brothers, with exotic Renaissance names, but with expertise Japanese martial arts skills, enter the school, and already seem to know your two best friends, so they practically treat you like a princess. Why?
8 195Aftermath || Robert Baratheon
they married for duty.they ruled for the realm.they fought for justice.but they healed for each other.A story in which two broken souls, brought together by chance, find solace with one another in the aftermath of a war.▪︎•▪︎•▪︎•Pre and Post Robert's Rebellion (Based on the plot and characters of Game of Thrones by George R.R. Martin)
8 113Mike x Reader (fnaf ship)
This is a story about a ship about y/n (your name) and mike from Five Nights at Freddy's Hope you enjoy! ♥️⚠️ Slight/foul language and trigger warning!⚠️Love ya!*DISCONTINUED*
8 201