《An Akshan FF- Sauda(deal of love)》Chapter 5

Advertisement

It's night time... Akshat is sleeping with book on his chest.... Guddan comes and leans over him removing his specs.. this wakes him up she keeps the book... Akshat looks at her strangely and sleeps with his back facing her.. guddan also sleeps beside him cuddling him from back... But he removes her hand... She again cuddles him but he jerks her hand off and gets up...

Aj-(angrily) Kya baar baar vahi vahi... Tumhare dimag me aur kuch nahi aata kya....

He gets up and goes away from there... Guddan gets sad... Akshat enters study room and closes the door.... He sees this awards there...

Aj- Akshat Jindal... The famous chef.. Akshat Jindal...businessman.. Akshat Jindal...business tycoon.... Akshat Jindal... Jo sirf insaan ko dekhke uski iccha ko pehchanne wala...(starts sobbing)

He throws everything away and starts crying...

Here guddan calls her dad...

G- Papa... Aajkal bohot jyada gussa ho jate hai mujhpe.... Kyu mujhe bhi samaj nahi aa raha hai...( akshat hears that guddan is talking to someone) meri bimari se shayad pareshan ho jaye hai... Aur papa.. jab mere pet me dard hota hai na..to main na bohot ajeeb harkate karti hogi....usi ka ye natija hoga..... Nahi main unki complaint nahi kar rahi hu... Par aap mera ek kaam karenge papa... Aap unhe ek baar phone karke puchiye na.... Vo mujhse pareshan to nahi ho gaye na....

Akshat takes the phone and keeps it... Guddan looks at him...

Aj- Sorry... I'm sorry...

She sobs lightly and they join their forehead...and she hugs him tightly...

The next day.. Akshat and Guddan are going to go somewhere...

P- Dekho mujhe ye accha nahi lag raha hai.. aise ilajo se vo thik nahi hone wali...

Aj- Tum keh rahe ho vaisa ho bhi sakta hai par... Mujhe koi bhi possibility baki nahi rakhni....

P- Par aise ilajo se use taklif...

Aj- Main 24 ghante uske sath rahunga... Jis vakt uski aankho mein mujhe taklif dikhegi main use vapas le aaunga....

P- Tumhare jaise padhe likhe log aise behave karne lage toh...

Aj- Insaan ki ashayein padhi likhi nahi hoti... Vo sirf bholi hoti hai... Chalta hu...

Akshat and Guddan go from there... In car...

G- Kaha ja rahe hai hum??

Aj- Guddan jab mai tumhare sath hu to tum ye sawal kyu puch rahi ho..

Guddan rests her head on Akshat's shoulder....

On the other hand... Archana goes to met Vikram.... He is busy doing some sculpture.....

Ar- Sorry par.. kisi aur ko nahi par mujhe pata hai... Galti bhabhi ki hi thi...

V- Nahi... Hum unhe dosh nahi de sakte... Vo bimar hai...

Ar- Aap Madras jane wale the..

V- Ha.. 10 days ke baad posting hai... Actually main hi jaldi kar raha tha... Par somehow vo manage nahi hua... Sabhi chize jaisa hum chahte hai.. vaise kaha hota hai...

Ar- Main chalti hu...

As she starts going..

V- Ek min...

He gives her flowers...she takes it..

Ar- Main aane wali hu..pata tha aapko?

V- Nahi... Shayad in flowers ko pata tha.. aaj achanak se padosi ye flowers rakh gaye... Shayad in flowers ke bagair humara milna bhagwan ko bhi manjoor na ho...

Advertisement

Ar- Agar chize humari marzi se na ho rahe ho to...kuch adate fakt rehte chod dena accha hota hai...

She keeps the flowers and goes from there...

Here Akshat and Guddan reach meditation centre... Guddan goes with a lady while Akshat sits near the priest...

Pr- Akshat ji.. kabhi guava khaya hai... Pua fal hum kha lete hai aur uski ek seed humare dant me atak jati hai... Vo seed chotasa hota hai.. par hume bechain kar deta hai.. vaise hi aduri iccha rakhne wala atma is seed ki tarah hota hai..hume bechain kar deta hai..

Akshat and Guddan attend meditation classes there and listen their lectures... Guddan does everything seriously... Akshat and priest are walking..

Pr- Akshat ji , insaan mar jata hai.. vahi uski journey khatam ho jati hai..aisa science ka kehna hai.. par spirituality ki najar se vaisa nahi hota... Aatma ki ek alag journey shuru ho jati hai.. spiritually death is just a short break... Aur uske baad jo journey shuru hoti hai vo satisfaction ki ho sakti hai ya fir revenge ki bhi..

Days pass and both of them attend everything nicely... Now it's time to leave for them..

Pr- Akshat ji.. 7 days pure ho gaye.. guddan puri tarah thik ho gayi... Ab chinta ki koi baat nahi hai... Kuch laga to jarur batayiye ja..

Aj- Jarur.. thank you..

Both of them touch the feet of priest..

Pr- Khayal rahiye...

Aj- Hum chalte hai ab...

Pr- Ji..

The both go from there.... In car...

G- Ab humare ghar na?

Aj- Of course...

G- Jindal Saab.. kal se office join karne ka soch rahi thi...

Aj- Khushi se... Kitne jaldi tumhara routine shuru hoga utna mujhe...

G- Aapko bohot thaka diya na meri bemari ne...

Aj- Thakya nahi sikhaya...

G- Kya....

Aj- Akshat me se guddan ko nikal diya to kuch nahi bachta...

G- Kuch bhi...

Aj- Are sacchi.. tumhare papa aaye hai humare ghar.. anniversary je din aa nahi paye the na.. isliye ab hume blessings dene aayi hai...

They both reach home.. Archana comes running and hugs guddan..

Ar - Bhabhi.. kaisi ho...

G- Thik hu Tum thik ho na..

Ar- Ha..

Aj- Kaisi ho tum..

Ar-( hugs akshat) thik hu...

As they come...

Aj- Are Papa...

Guddan goes near ....

B- Kaisi ho beta...

G- Kaisi lag rahi hu?

B- 9 saal pehle jaise tumhe bida kiya tha na vaisi hi lag rahi ho....

Archana does the arti...

G- Sab kuch aapke damad ki vajah se hai... Badalne ke mauka hi nahi dete...

As archana does arti then akshat takes blessing from papa but guddan goes in... Akshat looks at her .... Guddan goes and sits on chair holding her head... Akshat is doing something in the cupboard.. papa comes inside...

Ar- Main pani leke aati hu...

G- Papa.. aapke pair chuye hi nahi maine...

B- Tum baitho.. main aata hu...

Guddan goes a bit near him.. As she touches feet...

B- Khush raho....

Guddan removes her clip and jerks the hand away... She holds Papa's neck...

G- Buddhe... Beti ki aisi khush haal jindagi dekh sako isliye..muje baju kiya na... ( Akshat tries to move her away) Tumhari beti ki jindgi se kisi pathar ki tarah phek diya mujhe...

Advertisement

Aj- Guddan chodo unhe...(she jerks away)

G- Par main vapas aa gayi hu... Saye ki tarah hu mai ...

Aj- Chodo unhe...( He strangles guddan's neck through his hand..) bohot ho gaya.. aaj tak bohot seh liya... Aaj tumhari jaan liye bagair main nahi rukunga... Bohot ho gaya...

G- Aa.. kya kar rahe hai...

Akshat turns her around and holds her neck ..

Ar- Bhaiya chodo unhe..

Aj- Tum jhuti ho.. tum jhuta behave kar rahi ho....

G- Maine kabhi aap se jhut nahi bola...

Aj- Tum guddan nahi ho...

G- Aa...Kyu maar rahe hai mujhe... Main jhut nahi bol rahi hu...( He loosens grip.. and leaves her..)

Aj- Tum guddan ho..(she nods) ... Tum sach keh rahi ho( she nods) tum sach me guddan ho( she nods and slowly holds his face) guddan...

They join their forehead and then hug each other crying... Archana also starts crying...

Aj- Nahi seh pa raha hu ab main.. kya ho raha hai ye sab..

Later.... Akshat calls Vikram...

V- Hello..

Aj- Main Akshat bol raha hu... Mujhe sorry' kehna chahiye kya...

V- Nahi akshat.. shayad agar mai tumhari jagah hota... To aisa hi karta...

Aj- Mujhe milna hai tumse... Ghar pe akela hu main....

Vikram comes home...

Aj- Vapas Madras ja rahe ho?

V- Ha... Yaha rehke bhi kya karna hai...

Aj- Sach kaha ... Yaha rehke kya karna hai...

V- Bhabhi... Kaisi hai ab...

Aj- Jaise the.. kabhi Antara..kabhi guddan.. aur ab control karne ke liye tum bhi nahi ho...

V- Mai... Ek baar baat karke dekhta hu unse...

Aj- In temporary ilajo se kuch nahi hone wala Vikram.. ab permanent ilaj chahiye..... Main abhi aata hu...

He starts going out of the house..

V- Akshat... Archana kaha hai?

Aj- Archu college gayi hai ... Uski viva hai na... To vakt lagega use aane mein... Main abhi aata hu... Tum baitho.... Bell off kar deta hu... Kharab ho gayi hai.. bajti rehti hai.. current bhi lagta hai... Door band kar deta hu... Guddan upar hai...

Vikram finds something strange... Akshat goes out and closes the door.... He starts going and stops at the fence and starts sobbing helplessly.. Vikram comes and pats on his shoulder...

V- Tumhari koshish main samaj sakta hu..

Aj- Vikram... Meri biwi ko..meri biwi ko jo chahiye vo use de do...

V- Kya bol rahe ho tum akshat...

Aj- Guddan ko hone wali takleef main aur nahi dekh sakta... Aur is tarikese agar uski takleef humashe ke liye jana wali ho.. to hume ye karna chahiye...

V- Akshat.. bhabhi hai vo meri....

Aj- Ilaj karte vakta.. rishte nahi dekhe jate.. sirf bimari dekhi jati hai ...

V- Main itna tough nahi ban sakta...

Aj- Tumhe tough hona padega.. main janta hu meri biwi bohot khubsurat hai par...

V- Vahi to problem hai na.... Vo khubsurat nahi hoti ...to shayad mere liye itna mushkil nahi hota... I'm sorry Akshat... Par ye possible nahi hai...

Aj- Vikram..kya tum nahi chahte ki guddan thik ho jaye?

V- Bilkul chahta hu... Bilkul..par uske liye ye? Ye galat hai.. paap hai...

Aj- Ye main tumhe karne ke liye keh raha hu.. to ye paap kaise hoga? Is paap aur punya ek aage ek sach hai.. jise jina kehte hai.. agar saans hi nahi bachi .. to ye sare concepts ka kya matlab hai... Mujhe meri guddan thik chahiye Vikram..

V- Mai ye nahi kar sakta...

Aj- Mai tumhe force nahi karungi.. par tumhari ek ha..3 logo ki jindgi khush kar sakti hai..

V- Par...

Aj- Dukhi insan ko khush karna jaruri hai.. uske liye kounsa raasta apnaya ye jaruri nahi hota...

V- Ye sab as a theory bohot accha hai.. par practically ye mumkin nahi... I'm sorry...

Vikram goes away from there...

Guddan's papa is sitting and packing his bag .. akshat comes and sits near him..

Aj- Sare raste karke thakne ke baad kya karte hai papa?

B- Samarpan kar dena chahiye.. main nahi janta aap in sab baato ko kitna mante hai... Par hum devi ma ka bhajan rakhe kya...

Aj- Usse kya hoga??

B- Mera vishwas hai isliye..

Aj- Thik hai... Par aapki astha se pehle.. meri koshiho ke kya results aate hai ye dekhna hai mujhe...

Days pass.. guddan keeps sittting alone lost in her own thoughts.. everyone is in tension... Whenever guddan tries to go near akshat he just walks away... She stops eating and is always lost in her own thoughts.. Archu also misses Vikram... She goes to meet him... Guddan tries to cut her wrist but akshat takes the blade and slaps her... She remains sitting like a statue.. Days pass by...

On the day on bhajan... Guddan is alone in the house.. she comes in her room after bath... She starts finding her clip everywhere...

G- Jindal Saab bhi na... Saman thik rakhne ke naam par chize idhar udhar rakh dete hai...

She comes out of the room...

G- Archu... Archu...

She roams in the house searching her hair clip... She goes in Akshat's study room... And accidentally plays the tapes... As she is about to go.. she hears the noise coming from the tape....

Tape- Akshat ab hume sab kuch batao.. aur ye recording khud hi tumhe aapne sare sawalo ke jawab khud hi degi.. batao.. ek ek detail batao...( Guddan goes and sits there) Ye Antara Akshat Jindal koun hai???

Guddan gets shocked hearing Antara's name... And as akshat narrates everything in the tape she goes into the flash back....

Hey all.. I know you all must be mad at me for not updating.. but I was really very busy with my college work... Now holidays have started so I updated immediately... From next part Flashback will start and I hope you all are excited for it... So I'll try to update next part as soon as possible.. Till then... Happy Diwali 🎉🎉

Thanks ☺️

    people are reading<An Akshan FF- Sauda(deal of love)>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click