《The Sleepless Nights!》Aazadi ki keemat

Advertisement

Ye dharti , ye hawa , ye nadiyan, aisa kya hai inme,

Jo hume sukoon itna deti hai.

Ye to sab jagah hai, yha ka kuch khas to ni,

Kyu hum puri duniya bhi ghum aaye, to bhi saare jahan se acha 'hindustan' ko hi khenge.

Sochne wali baat hai na?

Nahi.

Mehsoos krne wali baat hai.

Ye jo dharti hai na ,

Ye seenchi hui hai saalo tk, sadiyon tak ,

Paani se ni...

Lahoo se .....

Laal lahoo kayi masoomo ka , kayi veero ka,

Garam rakt iski daraaron me is tarah sama chuka hai,

Ki ab use iss mitti se alag krna namumkin hai.

Waise to ek maa apne bachhe ko kokh me rakt se seenchti hai,

Par is dharti maa ko uske baccho ne apne khoon se bhigoya hai.

Dono hi surato me ek atoot rishta to bnega hi.

Ye jo hawa hai jisme kabhi gunpowder ki gandh bahaa karti thi,

Jo is desh ke logo ke seene ko chhhalli krne wali goliyon ka hisab bhi na rakh payi,

Aaj wo aazzad hawa hmari saanso me behti hai,

Khaas kse na ho?

Ye jo nadiyan hai , aaj jinme Pani Beh rha hai, Kabhi laal thi, shaheedo ke khoon se.

Ye jo sunheri subh hai aazadi ki,

Iske aagaaz se phele is aasman ne kayi kaali raatein dekhi hain,

Is ummed me ki bhor ki ek nanhi kiran,

Swatantra ki subh leke aayegi.

Ye jo aazaadi hai , ye hmara sirf haq nahi,

Ye hum par kabhi na chukne wala karz hai ,

Hazaro -lakhon sune-ansune , swatantrata senaniyon ka,

Jo haste haste is desh pr mar mite.

'Inqalab zindabad' ke naaron ki goonj Aaj bhi kano me jab padti hai,

To ronngte khade ho jate hain,

Ye aazadi mili ni hme,

Hmare logo ne ise khrida hai, apna rakt se , apne aaansuon se , apne balidanon se.

Advertisement

Itni kimti hai ab ye mitti,

Ki ab iska mol ni chukaya ja sakta.

Ye jo aazadi ka jashn hai, ye mukurahatein hai,

Ye karzdaar hai un maao ka jinka aanchal soona reh gyi,

Isliye ki ye dharti maa ki kokh na ujde.

Ye karzdaar hai un behno ka ,

jinki raksha ka vaada krne wale bhaiyo ki kaliyaan suni reh gyi,

Jinki raakhi intezaar krti rhi,

Par unka intezar kabhi khtm ni hua.

Karzdaar hai un jawano ka,

Jinki Anginat chiitthiyo ke kabhi jawab ni aaye.

Aaj bhi ye raktsanhaar thama ni hai,

Jawan jate hain uniform me saj kar,

Aate hain tirange me lipat kr.

Ye aazadi ka din sirf ek jashn ni,

Ek yaad ka paigaam hai un beto ki , un bhaiyo ki, un patiyo ki, un pitao ki,

Jinki kurbaaniyo ke badle,

Hm aaj ek swatantra bharat me saans le rhe hai.

Vande Mataram ❤️

Jai Hind! ❤️

🇮🇳

    people are reading<The Sleepless Nights!>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click