《My One And Only》30

Advertisement

Arsam's pov

"Ye ladki hai kaun jisse haadi shadi kar raha hai?" Nanajaan asked in the car, on the way to home.

"Haadi bhai shadi kar rahe hai? Mujhe toh nahi pata iss baare me naanu" i acted innocent.

"tumhe nahi pata?,accha,sab pata hai tumhe, batao mujhe "

"Arey naanu,aap kasam le le, bhai abhi shadi hi nahi kar rahe, mom toh khud iss baat se pareshan rehti hai" i said

"Arsam, mai tumhare maa ka bhi baap hu, mere baap na bano, maine internet pe dekhi hai wo saari tasveere haadi aur us ladki ki" As soon as he said, I gulped."ye tumhare maa baap samjhte kya hai, hum logo ki raae ki koi ehmiyat hi nahi hai, haadi ka rishta bhi kar diya, hmse mashwara toh dur, humko batana bhi zaroori nahi samjha" naanu was full on in mood.

"Ab aapse toh mai jhoot bol nahi sakta na naanu...Mai toh bas batane hi wala tha aapko" He looked at me.." actually wo arisha hai, mera matlab arisha bhabhi..haadi bhai pasand karte hai unhe."

"tumhara kehne ka matlab hai ki haadi ne khud ladki pasand ki hai? nahi, haadi aesa nahi hai, ye sab kaam toh tumhare hai, wo toh bohot hi saada tabiyat aur layak hai"

"Toh kya mai nalayak hu? Kya naanu, mai hi aapke paas aata hu sabse zyada.. Aur mai toh aapko airport pick karne bhi aaya, phir bhi aap haadi bhai ki hi tareef karte hai"

"Tum baate na banao zyada aur mujhe batao ke aakhir, ye mila kaha us ladki se? Kaisi family se ta-luk rakhti hai..? Maa baap kaise hai uske?"

"Arey naanu,aap pareshan na ho.. wo dad ke friend ki beti hai..Kaafi acchi family hai unki"

"Mujhe toh ye samajh nahi aa raha ki haadi toh aesa bilkul bhi nahi, ladkiyo se baat karna toh dur, wo toh dekhta bhi nahi tha"

"Haan Bhai toh pehle ekdum pasand nahi karte the arisha ko, har waqt ladai hi hoti rehti thi un dono ki pehle..."

"Ladai ??"

"Haan.. Ye dono toh itna ladhte rehte the... Lekin pata hai naanu, haadi bhai toh uski kisi baat ka bura hi nahi maante.. Jitne gusse wale bante hai na hum logo se.. Arisha ke aage unki ek na chalti "

i laughed

"Acchaa.."

~~~~~~~~~

[At Malik's Mansion]

"Ye saari baate toh theek hai.. Ye haadi aur Usman kab tak aaenge"

Naanu asked mom..

"Abba,wo usman kisi meeting me busy the, aate hi hnge bas or Haadi bhi office me hi tha..rohaid ke sath bhi jaana tha usne...." mom replied.

"Waise nuzhat tum mujhe ek baat batao.. Ye jo ladki haadi ne pasand ki hai.. Iske waledain se baat ki tum logo ne?" Naanu asked

"Jee Abba.. Usman se kaha hai maine, hum log jald hi unki taraf jaenge haadi or arisha ki baat karne" mom said

"Arey nanajaan.. Assalam walekum.." Shiza came smiling and greeted naanu.

"Walekum assalam meri shehzaadi.. Kaha thi ab tak?" Naanu said lovingly.

I must tell you, shiza is naanu's favourite one.. I think he loves her the most among all of us.

Advertisement

"Woh hum bas alizeh aapi ki taraf gae the.. unki mayun hai na aaj..toh bas hum.." She replied indicating towards the doorframe.

I turned to see arisha standing there.

"Or ye kaun hai?" Naanu asked looking at aru..

"Assalam walekum" she greeted nervously.

"Walekum assalam.. Aao bete.. Andar aao.." Naanu replied with a smile and then turned to shiza "tumhari dost hai?"

Kya nanajaan, itni tasveere dekhne ke baad bhi na pehchan parhe aap arisha ko . I mentally laughed.

"Ye Arisha aapi hai..dost bhi hai, behan bhi hai.." Shiza told. Arisha went and sat with mom.

"accha accha.. " he smiled looking at aru.

Kya naanu seriously nahi smjh pae?oh gawwwwd

"Nanajaan....ye wahi hain jinse milne aap itni dur se aae hai" i jumped in the conversation. Aru eyed me to stop..

Darpok.

"Kya MATLAB?"

"Arey nanajaan...thik se dekhe na..arisha hai..mera matlab hamari arisha bhabhi"

Naanu raised his eyebrows and turned to look her.

•••••••••

Haadi's POV

There was an urgent meeting in the office so I had to go there while nanajaan reached home in my absence.. I just hope he don't mind.

I just finished everything quickly and rushed to home.

On my way back... I picked my phone to call arisha..so that I could take her with me.

After few rings.. She finally picked the call.

"Hello arisha."

" hello.." She whispered on phone

"Ye kya, aese kyun bol rahi ho"

" mai Nanajaan ke paas baithi hu"

"What? Tum ghar pe ho? Tum ghar kyun gai? Naanu ne kuch kaha toh nahi tumse? Gussa ho rahe the kya?"

"Shh relax..Mai Shiza ke sath aayi thi, Filhaal toh sab thik hai.. Mujhse kuch nahi kaha hai.. But lagta hai aapki kaafi acche se class lagegi"

"Accha ye..kya naanu samne hai tumhare?"

"Toh tum baat kese kar rhi ho, wo sun nahi rahe kya"

"Wo mujhse baat karte karte so gae.." She chuckled.

"Oh accha" i laughed.

Sach batao.. Nanajaan hi pooch rahe hai ya tum mujhe miss kar rahi ho

"Jee nahi.. Mai koi miss wiss nahi kar rahi kisiko..Accha bas ab aa jae aap.. Mai rakh rahi phone bye."

she cut the call.

As soon as I reached home, i saw mom walking to and fro in the hall.

"Assalam walekum mama.." i kissed the side of her forehead.. "Kya baat hai aap pareshan lag rahi hai.."

"Haadi mai tumse kehti thi, ye jhoot kisi din bohot badi problem create karega" Mom said

"Kya baat hai mom.. Kaun sa jhoot?"

"Ye tumhara aur arisha wala.. Ab batao .. Abba mujhse arisha ke gharwalo se baat karne ka keh rahe h.. Aur to aur wo toh khud hi razi bhai se baat karne ko tayyar hai.."

Mom sounded tense.

"Toh isme itna pareshan hone wali kaun si baat hai?" I said

"Kamaal hai, shadi tumne karni nahi hai arisha se... Mai kya baat karu razi bhai se..mera chorho, mai abba ko kese roku baat karne se" mom put her hand on forehead in worry.

Advertisement

"Toh mat rokein.. unko.. Kar lene dein baat" i said casually.

"Accha... Tumhe toh shadi karni nahi hai.. Toh kya mai arsam ka rishta leke chali jau unke ghar?"

"Mera rishta leke jaane me abhi kaafi waqt hai.. Filhaal aap bhai ke liye hi baat karein" arsam appeared out of nowhere.

"Tum logo ne kya mazaak bana rakha hai.. Tumhara bhai kehta hai use arisha se shadi karni nahi hai.. Tum sab kehte ho rishta le jao.. Akhir tum log chahte kya ho?"

"Mom.. Wo toh pehle ki baat thi.. Ab toh bhai se agar aap aaj kahein toh wo toh aaj hi nikah karke le aaenge arisha ko" Arsam chuckled.. While mom looked. at me in surprise.

"Haadi?.."

She was looking at me with happiness in her eyes.. And I nodded in yes. Mom hugged me..

"Allah khush rakhe tumhe.. Der aae par durust aae.. Mai fauran baat karti hu tumhare dad se"

"mubarak ho bhai jaan" arsam came and hugged me.

"O teri.... Mai to bhool hi gaya.. Bhai aap fauran nanajaan ke ps jaae, bechari arisha waha fansi hai akele naanu ke sawaalo ke beech..aap jao jaldi.." Arsam said and i walked to naanu's room.

When nanajaan got to know who I am actually, he asked everyone to leave the room except me..He said I have to sit there until haadi comes... First he sounded really harsh, but soon he started talking to me normally....He asked about my family and education background...He was actually looking impressed that time.. And while talking he fell asleep,

I was still sitting there waiting for haadi to come.. And then he entered..

he looked at me, and whispered. "are you okay?"

I nodded in yes with a smile..

"Nanajaan toh so rahe hai abhi tak.." He said looking at nanajaan who was peacefully sleeping.

"Hmm, safar ki thakan hogi shayad.."

"Accha thik hai.. But tum yaha q baithi ho, jao ready ho jakar, alizey ki taraf nahi jaana tumko?"

"wo actually nanajaan ne bola hai jabtak aap nahi aa jate mujhe yahi baithna padega"

"Haan toh ab toh mai aa gaya na.. Tum jao ready ho jao jaldi se..ya phir ek second.. Ruko.. Rehne do.. Yahi Raho mere paas.." He sat next to me holding my hand..

"Haadi.. Nanajaan samne hi hai " i told..

"jee, bilkul hai.. Lekin wo toh so rahe hai.. Aur kya mai iss baat ka fayda bhi na uthau" he joked.

"Haadi... mai so raha tha, mara nahi tha" nanajaan said rubbing his eyes..

I quickly freed my hand from haadi's grip.

"Assalam walemum naanu..wo..mai.. Mai.. Wo .. Bas.." haadi stuttered while I chuckled

Its really funny to see him like that.

"Bas.. Pata hai mujhe.." naanu said cleaning his glasses and putting it on.

"Nanajaan Mai paani lau apke liye?" I asked...

"Haan bete.." he replied with a smile.. "Hmm... Kyun barkhurdaar? Kaha the aap abtak?" Naanu asked haadi..

I walked out to bring water for him.

I went to the kitchen.. I took glass and jug of water in the tray..

Arsam entered.. "Arey wah.. Abhi baat pakki hui nahi aur tum toh apne bahu wale role me as gai"

"Kya MATLAB?"

"Matlab tum dhundti raho.. Mujhe ye batao naanu ne zyada gussa toh nahi dikhaya"

"Nahi yaar.. Nanajaan toh bohot sweet hai.. Tumne aur haadi ne toh mujhe faltu itna dara diya tha.."

"accha? Naanu sweet the? Sahi hai.. Aur tum aaj alizey ki taraf nahi jarhi kya"

"Jaungi yaar... Bas tum ek kaam karo.. Mere ghar jao... Meri dress aur accessories le aao jake"

"O hello.. Mai tumko dikhai kya de raha hu..Mai itni dur jau..wo bhi Sirf tumhari dress lene.. Wah..."

"Arsam, chale jao na yr.. Tum mere acche wale dost nhi ho?"

"Ohoho madam.. taras khao mujhpe, mai kal se kaafi up down kar chuka hu, pehle mom ko lene gaya, phir naanu ko .. Aur abhi tum.. Yaar insaan hi hu mai bhi"

"Accha chalo koi nahi.. Mai ayaan se kehti hu.. Hania ko bhi le aega, aur meri dress bhi..tum araam karo" i said and walked to naanu's room.

"waise itna bhi koi thakan nahi hai mujhe, mai chala jaata hu.. Hania ko aur tumhari dress le aunga." arsam said from behind.

"Are you sure? Phir mujhe na kehna ki mai tumko pareshan karti hu"

"Arey haan yaar.. Mai le aunga.. Balki mai toh bas ja hi raha tha..waise bhi ayaan ke ghar mein function hai, wo kese jaega.. Mai chala jaata hu.."

"Okay..as you say.. Mai hania ko message kar dungi..aur suno.. Jaldi aana"

I said and walked to nanajaan's room.

•••••••

Hania's pov

I was getting all ready to go.. When the bell rang.. "It must be arsam" i opened the door.. And there he was.

"Tayyar ho.. Chalo aajao" he said.

"arsam tum do minute Idhar wait karo mai dus minute mein aai"

"Oo.. Mai yaha farigh nahi baitha hua..jaldi karo.. Bohot kaam hai mujhe, wo toh aru ne mujhe zabardasti bhej diya tumhe pick karne"

"Toh nahi aana tha na..Mujhpe kya raob jhaag rahe ho tum.. Baitho idhar, mujhe time lagega"

"Dekho hania.. Mai iss waqt bilkul bhi ladai ya behes karne ke mood me nahi hu.. Panch minute me ready ho jao warna mai jarha wapas"

" Dhamki kya de rahe ho haan.. Mai kya akele aa nahi paungi.."

He rolled his eyes "ek kaam karo, aru ka jo samaan hai wo mujhe dedo.. Phir tum araam se aana akele"

"Arey yaar.. hadd hai.. chalo chal rahi hu, tum toh waise bhi yahi chahte ho ki mai acchi na dikhu"

I took arisha's bag and locked the apartment.

"Tumhe accha dikhne ke liye makeup ki zarurat hi nahi hai"

"Huh really?"

"Haan aur kya.. Thode paise kharch karo aur surgery karwao...."

"Huh tumne kabhi apni shakal kayde se dekhi hai..tum kya bohot handsome samjhte ho khud ko"

" Ab yaar..log toh yahi kehte hai...aur phir insaan ko na sacchai se kabhi bhagna nahi chaiye"

"Arsam bohot bakwas karte ho tum.. Ye batao.. tumhare nanajaan ne aru ko dekh ke kya kaha.."

"Naanu ne.. Pata nahi.. Mere samne koi baat hi nahi hui..bs haan mom dad shayad bohot jald razi uncle se baat karne wale hai"

"Baba se baat? Aru aur haadi bhai ke rishte ki baat? " i jumped in excitement.

•••••••••

Hello lovelies,

ere's a new chapter

    people are reading<My One And Only>
      Close message
      Advertisement
      You may like
      You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
      5800Coins for Signup,580 Coins daily.
      Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
      2 Then Click【Add To Home Screen】
      1Click