In Serial

Mo'arka e karbala

8 57 26
Author: Type:Male
BISMILLAH HIR-RAHMAN NIR-RAHIM.
Assalamu alaikum wa rahmatullah;
Duniya me aise bahot se waqiyat aur haadse guzre hain jo insaniyat aur sharafat ke naam par badnuma daag hain. Jin ki yaad kuch waqt tak baqi rehti hai phir khatm ho jati hai.
Lekin HAADSA-E-KARBALA ek aisa dard naak waqiya hai, aur is me aisi darindgi aur wehshi pan tha ke is ki yaad zamana bhi na mita saka. Balki aaj 1350 saal guzarne par bhi is ki yaad taaza hai.
Is ki wajah ye hai ki Hazrat Imam Husain(r.a) ne dashte karbala me jis sabr, shuja'at aur himmat ka sabut diya hai, us ki nazir(misal) nahi milti. Aap par intehai be-rehmana aur wehshiyana zulm kiye gaye. lekin Aap ne sachai ka sath nahi chhoda, ALLAH SUB'HANAHU ko Aap ki mazlumi, be-kasi, aur be-chargi aisi pasand aai ke
Aap ka zikr baaki rakha aur In sha ALLAH qayamat tak
baaqi rahega.
Bhook pyas ki shiddat, azizon ki maut ka sadma, aurton ki be-hurmati ka khayal ye sab baatain sabr aazma thi. Magar Aap ne har sadma har taklif ko
bardasht kiya. Aap kis daur se guzar rahe honge is ka andaza lagana bhi mushkil hai.
Yaqinan ye waqiya dil toh kya ruh tak ko jhinjod kar rakh dene wala hai, Lekin logon ne is ki Asliyat ko nahi samjha ya toh Husn-e-aqidat me doob kar asliyat ka inkaar karne lage. Logon ne aisi riwayatein gadhli hain jinka koi wajud hi nahi tha.
Is qisse "Mo'arka-e-karbala" ko Husne aqidat se likha
gaya hai, is me koi andhi taqlid ya gair taarikhi waaqiya
shamil nahi hai. Balki jahan tak mumkin hosaka hai galat
riwayaton ki tardid ki gai hai. Hamara maqsad logon ko
sahi waqiyat se waqif karana hai.
"Ma'arka-e-karbala"
Author: Maulana Muhammad Sadiq Husain Sardhanvi.
Aap tak pahonchane ki koshish : ف۔ش۔
Advertisement
You may like
You can access <East Tale> through any of the following apps you have installed
5800Coins for Signup,580 Coins daily.
Update the hottest novels in time! Subscribe to push to read! Accurate recommendation from massive library!
2 Then Click【Add To Home Screen】
1Click